Fan Fiction

Rang Pyar Ka (KOI SHART HOTI NAHI PYAR MEIN) – An OS by Asmita…

Hi guys… Its again Asmita …
Thank you so much for your lovely comments… I can’t tell you how happy I was after reading your comments on my previous One Shot… I never thought that you all would appreciate my OS so much… I was on cloud nine…
Thank you so much guys… thanks a ton for your love…
After getting overwhelmed by your precious comments…I am again trying to write One Shot for this show… Plz do read, if possible…

Today morning I was cooking food and listening song “KOI JAB TUMHARA HRUDAY TOD DE, TADPATA HUA JAB TUMHE CHHOD DE…” when the line came… “KOI SHART HOTI NAHI PYAAR MEIN….. I remembered Dev” and “MAGAR PYAAR SHARTON PE TUMNE KIYA… I remembered Ishu” and suddenly after yesterday’s episode… This OS also clicked in my mind… so my OS will continue after yesterday’s episode only…
Plz do read… if possible…

Sona saw Dev with her doctor and can sense that something is fishy… she confront Dev, but it looks like Dev is fully determined to tell her nothing…
Dev takes annoying Sona home… He asks he not worry as everything will be fine… but Sona knows that something is not right… but she does not know WHAT IT IS…
She is worried about BABY… but does not know that no baby exists in her womb… and now or then she has to face this bitter truth…
On the other side… Dev is also worried… I must say more than Sona he is tensed… but not about the existence of baby… but about his wife and his mother… above all he is scared what his mother’s reaction will be after knowing the truth…about negative reports…
Ishu is so desperate for becoming grand maa… after knowing Sona’s pregnancy she suddenly turns into caring mother from vamp SAAS who is possessive for her son, who thinks that her son is only her personal property and she is not ready to share her possession with even his son’s love… Now ishu is happily ready to share Dev with Sona and even takes care of Sona before Dev… its shocking for all including Dev and Sona too…
Sona is also very happy to know about her pregnancy… not because she is going to be mother… but because… only after knowing her pregnancy, Ishu turns into mother; a drastic change in Ishu… thatsy Sona is happy coz this unborn baby is the only reason who makes her close to Ishu… she is happy to get Ishu’s love… before that she knew that Ishu has still not accepted as bahu; Ishu only considered Sona Dev’s wife… but now Sona is Ishu’s achchi bahu who is going to make her DADI…
And what to say about Dev… he has mixed emotions… he is too happy to see Sona and Ishu’s newly MAA-BETI bonding, which till now he was only dreaming… coz he also knew that Ishu has not accepted Sona as her bahu and has some unsaid grudges… though Sona is trying her best to win her heart but Ishu does not let her get into it… it seems no place is left for Sona there…and he is sad too what will happen when Ishu will come to know about negative report… will Ishu be remain same for Sona [newly MAA-BETI bonding] or will she again convert into “MERA GHAR, MERA DEV” possessive mother ? He is trying his best to sort out the situation but don’t know how much he will succeed.

Next morning –
Dev gets up with dull face so does Sona…
Dev gets ready fast and leves for office as he does not want face Sona’s rapid fire round. But he does not know that Sona is Sona only. He forgets that he himself gives her the title SONAKSHI BYUMKESH BAKSHI… Poor Dev… and now He is gone (God plz help him)…
After Dev left… Sona comes to Ishu… and Ishu again shows her extra concern towards Sona (seriously I can’t digest this extra cheesy love)… Sona tells Ishu that Dev went to meet Doc and she comes to know about some complications, she further adds that both Dev & doctor are not ready to tell her anything… Ishu gets worried… Sona asks her to give permission to meet doctor and Ishu says yes by adding that she is also coming with her… Sona agrees… they both leave for hospital…
Both are sitting outside doctor’s cabin fully worried waiting for their turn. Nurse comes asks Sona to go inside, only Sona not Ishu… Ishu is not allowed to go inside as doctor knows the reason of Sona’s sudden visit… Sona goes in and Ishu desperately waits outside…

Doctor’s cabin –
Sona comes in. She again throws bunch of questions towards doctor and at last doctor does surrender and tells her everything (only 7% chances of her conceiving… she is not pregnant… reports are negative… Dev lied for Sona and Ishu’s sake… Dev wants IVF… and all)
After listening all this Sona becomes lifeless… she is more worried about Ishu’s reaction than anything else… she fears what to tell Ishu… she gets angry on Dev for not to tell her the truth… now she has the same fears which Dev is having… She gets numb; lifeless… Sona doesnot listen a single word said by Doctor now… she walks outside like a person who lost her everything… she wants to cry hard but it seems tears forget their way to come out…
Outside Ishu is getting restless for knowing what is going inside… suddenly Sona comes and walks ignoring Ishu… Ishu is shocked to see Sona’s condition…
Ishu brings Sona home and is scared too about what happened in hospital… she continuously asks Sona but it seems that Sona does not know to speak… she does not utter a single word… Ishu takes Sona into their room, makes her sit on bed, comes out and calls Dev, tells him what happened… Dev gets hell shocked… and rushes to home… coz he knows the reason of Sona’s reaction…
Ishu comes back to Sona, sits beside her silently… suddenly Sona hugs her and starts crying loudly… Ishu is so scared but Sona is not speaking anything but crying…
Dev comes and rushes to Sona… Ishu comes out of the room leaving them alone… but stands near the door to listen their conversation…
Sona – Dev aapne aisa kyun kiya ?
Dev(teary eyes) – Tumhare liye ? tumhari khushi ke liye?
Sona(angrily) – mere liye? Meri khushi ke liye?
Dev(slowly) – haan…
Sona – aapko lagta hai ki aapke itne bade jhooth se mujhe khushi milegi… aap aisa soch bhi kese sake ho? Aapko pata bhi hai ki mujhe kitni taklif hui hai isse… maa ko kitni taklif hogi ye pata lagne ke baad…mujhe to samjh hi nahi aa raha ki main ye maa ko kese bataun ?
Ishu is listening this shockingly but unable to understand anything.
Dev – Sonakshi tumhe kya lagta hai ki is sab se mujhe taklif nahi ho rahi… tumhe aaj ye sab pata laga to tumhe itna bura lag raha hai… mujhe to ye sab humari shadi ke pehle se hi pata hai; tum andaza bhi nahi laga sakti ki mujh par kya bit rahi hai…
(haaaaaawwwwwwwww… ooooooooooppppppsssssssss… Dev shuts his mouth… he is hell angry with himself for what he said unknowingly in flow)
(sona stares at him with widely opened mouth)
(Ishu is still looking confused)
Sona – kya? Aapko ye pehle se hi pata tha… aapne mujhe bataya kyun nahi Dev? Aap mere sath… maa ke sath esa kese kar sakte hain? aapko koi haq nahi banta humare emotions ke sath khelne ka… (sona is still crying)

Dev – achcha… agar main tumhe bata deta to kyat um tab bhi mujhse shadi karti ?
(sona looks at him as she does not understand what he said… thn suddenly she got it )
Sona – haan… main aapse shadi nahi karti… aur wahi sahi hota… main aapse pyar karti hoon aur main ye kabhi nahi chahti ki meri wajah se aapko koi pareshani ho…
Dev – Tum to ese keh rahi ho jese main tumse pyar hi nahi karta … tum jo karti wo sahi hota… aur maine pyaar me jo kiya wo galat…
(Sona looks at him with anger… love… mixed emotions)
(ishu still confused but silently listening all)
Sona – Dev… par ye galat hai na… ab hum maa ko kya kahenge… kya batayenge unhe… unhone to abhi se itne sare sapne saja liye hain… kese bataunghi unhe main… unke sapno ko tootte hue main nahi dekh paungi…
Dev – main bhi maa se jhooth bol kar khush nahi hoon Sonakshi.
Sona(holds his collar and shouts) – phir kyun jhooth bola aapne sabse ki main maa banne wali hoon… kyun nahi bataya ki main kabhi maa hi nahi ban sakti. Aapne aisa kyun kiya, Dev? Kyun?
Ishu is hell shocked. Aisa laga jese Ishu ke pairon tale ki zamin sarak gayi. She is not able to listen anything but she is unable to move an inch also. She is completely freezed after listening this horrible news.
Ishu POV – dev ne mujhse itna bada jhooth bola… ab kya hoga… agar sona maa nahi ban sakti to mere vansh aage kese badhega… kya mera vansh aise hi khatam ho jayega… mujhe DADI koi nahi bolega… Dev aisa kese kar sakta hai?
(Ishu is now full on angry and about to go inside)
Dev – tumhare liye aur….. maa ke liye…
(Ishu soon stops by Dev’s words)
Sona – maa ke liye ?
Dev – Tumhe kya lagta hai Sonakshi ki mujhe kuch dikhayi nahi deta? Main kuch bolta nahi hoon iska ye matlab nahi hai ki mujhe kuch nazar nahi aata… mujhe sab samjh aata hai ki maa abhi tak tumhe apne mann se nahi apna payi hai… kahin na kuch abhi bhi adhura hai… kuch to hai jiski wajah se maa tumse alag hi rehti hai… tum kuch bhi kar lo; kitna bhi kar lo, par maa tumse kabhi khush nahi hoti… tum chahe kitna bhi achcha kar lo, par maa har baat me koi na koi kami nikal hi leti hai… mujhe iski wajah kabhi samjh hi nahi aayi…
Iishu and Sona both are listening this preicelss speech silently)
Dev continues – jab maa ne humari shadi ke liye haan bola to mujhe laga ki maa ne tumhe bhi accept kar liya hai… par main galat tha… ye baat mujhe baad me samjh aayi… maa tumhe sirf meri wife ke roop me dekhti thi… unhe ghar ki kisi bhi baat me tumhara interfere karna kbhi pasand nahi aaya… har baat par, har baar, pata nahi kyun, par maa humesha tumhe hi galat manti thi… wo kabhi ye sochna hi nahi chahti kit um bhi sahi ho sakti ho aur wo galat… chahe meri bimari ki baat ho ya Riya-Ayan ke rishte ki… ya phir neha ke sasural se laut aane ki… maa tumhari baat kabhi sunti hi nahi thi… humesha tumhe feel karwati thi ki jese tum is ghar ka is family ka hissa hi nahi ho…
(ishu is super super shock by her son’s words… she could not even think in her wildest dream that Dev has noticed all this)
(sona is still listening with widely opened mouth)

Dev further speaks – Aur Sonakshi tum… tum bas har baar kisi bhi tarike se koshish kar ke maa ko khush karna chahti thi… tumhe lagta tha ki kabhi to maa tumhe apni beti ki tarah pyar kare… par tum kabhi kamyab nahi ho pati thi… tumne mujhse kabhi nahi kaha… par tumhe bhi kahin na kahin ye pata tha ki maa tumhe dil se accept nahi kar payi hai… is wajah se kitni baar tum hurt hoti thi… par tume kabhi mujhse shikayat nahi ki… tumne meri family ko apna liya par maa tumhe kabhi puri tarah se nahi apna payi, na hi wo tumhe is ghar ka hissa hi maan payi…
(ishu starts crying)
Dev – jab mujhe pata chala kit um sab ko galatfehmi hui hai ki tum maa banne wali ho to maine socha ki main sab ko sach bata dunga…
par jab maa ko pata chala ki tum maa banne wali ho… tab se sab kuch badal gaya… maa ne tumhe achanak se pure dil se apne aap apna liya… ab tumhe mujhse jyada pyar karne lagi hai wo… mujhse khud tumhara dhyan rakhne ko kehti hai… mujhe tumhare sath share karne ko bhi taiyaar hai, wo bhi khushi se… tumhe ek minute mein bahu se beti bana liya maa ne… aur tum… tum bhi to kitna khush thin a maa ke is behave se… tumhe to jese sari duniya ki khushi mil gayi… tum maa banne wali ho is baat se jyada khush to tum is baats e thi ki maa ne tumhe apna liya… maa aur tumahari bonding kitni achchi ho rahi thi… kuch dino me ye bonding bahot strong ho jati…
maa ke andar ye sudden changes shayad tumhe ajeeb nahi lage… tum to isi baat se khush thi ki maa ab tumse bhi pyar karti hai… mujhe pata tha ki tumhari jhuthi pregnancy ki baat thode dino me sabko pata chal hi jayegi par tab tak maa aur tumhare beech ka ye naya maa-beti wala rishta itna majboot ho chukka hota ki phir koi bhi pareshani koi bhi mushkil is rishte ko tod nahi pati…
(sona and ishu… silently crying)
Dev – agar main maa ko sach bata deta to kya maa tumhare sath itna pyar se rehti… kya wo tumhara itna dhyan rakhti…
Maa se jhooth bol kar mujhe achcha nahi lag raha… par sach batane ke baad tumhara kya hota…
Agar main tumhe ye baat pehle bata deta to shayad tum mujhse shadi hi nahi karti…. Shayad nahi, mujhe pura yaqeen hai kit um mujhse shadi nahi karti… main janta hoon kit um mujhse bahot pyar karti ho… par main ye bhi janta hoon ki meri khushi tumhare liye bahot important hai… par Sonakshi tum bahot strong ho aur meri khushi ke liye tum mujhse door chali jati… par main itna strong nahi hoon… main tumhare bina kisi bhi halat mein nahi rhe sakta… rehna to door ki baat hai, main to tumhare bina jeene ki soch nahi sakta…
Par ye sari baaten na main tumhe samjha pata aur na hi maa ko… (smile) tumhe to pata hi hai naki main feeling express karne me kitna bura hoon… isiliye to tum mujhe Mr. Obhodro kehti ho… tumi ekdom boka kehti ho…
Mujhe nahi pata ki maine jo kiya wo sahi tha ya galat… par tumhe apne sath, apne paas rakhne ke liye mujhe jo kuch bhi karna padega main wo karunga…
Sona hugs Dev tightly and Dev concoles her.
Outside Ishu starts crying.
Ishu (in her mind) – main aisa kese kar sakti hoon… jis bête par mujhe itna garv hai… jo beta mujhe bhagwan manta hai… jo apni har chhti se chhoti baat bhi mujhe bataye bina nahi re pata…wo itna pareshan tha… par kabhi mujhse keh nahi paya…
(somewhere a song is playing –
“KOI SHART HOTI NAHI PYAR MEIN…
MAGAR PYAAR SHARTON PAR TUMNE KIYA…”
Ishu(crying) – sahi to hai bilkul… pyar mein koi shart nahi hoti par maine Sona se sharton par hi pyar to kiya… ab tak main yahi sochti thi ki sona ki wajah se kahin Dev mujhse door na ho jaye, par maine kabhi ye nahi socha ki Sona dev ki zindagi ka ek zaroori hissa ban chuki hai… Dev mere bina shayad reh bhi le par Sona ke bina rehne ki wo kalpna bhi nahi kar sakta… mujhe humesha laga ki Sona is ghar mein kahin meri jagah na le le…
Par Sona ne to humesha mujhe maa hi mana hai… main hi use kabhi beti nahi maan payi… wo humesha is ghar ki bhalaai chahti thi aur mein humesha usme kamiyan hi dhoondhti rahi… kitni galat thi main…
Aur jese hi mujhe pata chala ki Sona mere Dev ke bachche ki maa banne wali hai… achanak se sab badal gaya… mere liye wo apni ho gayi… mujhe use job hi pareshani thi; main wo sab bhul gayi…
Kitni swarthy hoon main…
Aur ab jab Sona ko sach pata laga hai to abhi bhi… use khud se jyada meri fikar ho rahai hai…
He bhagwan ye kya kar diya maine… main ye soch rahi thi Sona ki wajah se Dev mujhse door ho jayega par nahi main galat thi… mere apna beta to khud meri hi wajah se itni takleef bardaasht kar raha hai aur kisi se keh bhi nahi pa raha…
Kesi maa hoon main…
Ishu is feeling gulty.
IShu decides to go into the room…
Dev and Sona still hugging each other.
Ishu – Dev…Sona… maine sab sun liya hai…
Both are shocked and looking at each other asking what to do now?
Ishu – Sona… idhar aao…
Sona silently goes to IShu.
IShu kisses on her forehead and hugs her.
Again Dev and Sona confused.
Ishu – Dev… aaj se tu mere beta nahi hai…
Sona and Dev – whatttttttt???
Ishu – tu to mera beta hai par itna kuch ho gaya aur tune mujhe batana bhi jaruri nahi samjha… aur ye ladki… Sona, jo kuch hi dino pehle is ghar mein aayi hai… use meri chinta tujhse jyada hai… itni badi pareshani se guzrne ke baad bhi Sona ko sabse pehle mera khayal aaya…
To Sona hi meri beti hui na… (Ishu smiles)
Dev & Sona(get emotional) – Maa…..
Ishu – mujhe maaf kar do tum dono… main tumhara pyar samjh hi nahi payi… aur aaj samjh aaya to tumse maafi maang rahi hoon… Sona beta… jab tak tum mere Dev ke sath ho mujhe Dev ki ya mere ghar me kisi aur ki chinta kerne ki jarurat nahi hai…
Aur tum dono bhi bachche ki baat ko lekar pareshan hona band kar do… Sona aaj maa nahi ban sakti to kya hua… aaj kal to bahot sare tarike hote hain doctors ke paas… to tum dono pareshan hona band kar do…
Aur wese bhi mujhe ek bacha to aur mil hi gaya hai…
Dev and Sona give her a questioning look…
Ishu(smiles) – pehle mere 4 bachche the aura b (again hugs Sona) ye 5th bachch…
Sona cries with smile on her face.
Dev – maa main bhi to yahi hoon..
Ishu(laughs) – achcha tub hi aa ja…
By saying this Ishu hugs both Sona and Dev…

HAPPY ENDING…

Haaaaaaaasssshhhh…
Again a big one… again I wrote whatever came in my tiny mind… plz don’t feel bad if you don’t like it… and plzzzzzzzzz do comments whether you like it or not…

Asmita...

Love to be "ALONE"...

Share
Published by