Fan Fiction

RagLak ff by vini – Tum mere Ho (Part 3)

a biggg Sorrrryyyyyyy for d ppl who want dis ff in english i m not d writer of dis ff i just copy paste here for ul 2 read it m in class 10 so my father does not let me use internet for more dn 30 minutes so i cannot write in english .. i will get my phone in march 2017 n i promise dt i will post dis ff again in english till den plss wait
hey fellas.. vini here.. Thank you for appreciating and liking my FF ‘Tum Mere Ho’. hope you’re enjoyed reading it.. Now ready for the next part..? So here we go.. 😀

<3 Tum Mere Ho <3
By #vini
★Part-3★

Laksh came back to kolkata..and he entered in MM..

Laksh: (calling) Maa..?

He came downstairs with a confident smile.. Swara who was sitting on the sofa in main hall saw him and she got a smile on her face.. She got up..

Swara: Bhai? (A bit confused) Itni jaldi?
Laksh: kyu..? Aa nahi sakta?

Then ap and sujata came out..

Ap: Hum keh rahe hain naa sujata hume laksh ki awaz.. (And she saw laksh) Laksh? (She got a smile) aa gaye tum..?
Sujata: Naa itti jaldi?

They both came to him and he hugged ap..

Ap: Tum itni jaldi wapis aa gaye.. Dekh liya lucknow..?
Laksh: (smirked) Hmm.. Saare lucknow ki khubsoorti mere room ko balcony se hi dikh gayi..
Ap: Offo tum bhi naa..
Laksh: Chaachi.. Jaldi se apne jaisi hot si coffee bana laao mere liye.. Main fresh hone jaa raha hu..
Sujata: naa main hot? Jijji.. (Put ap's hand on her own forehead) maahre ko bukhaar ho raha hai ke?

Laksh laughed a bit and turned back going in his room.. And swara laughed too..

Ap: oh ho sujata.. Koi bukhar nahi ho raha..chalo coffee bana do.. Waise laksh achaanak se itni jaldi wapis kyu aa gaya..?
Sujata: Naa jijji.. Baha coffee naa mili hogi laks ko maahre haath ki..
Ap: Haan..

Then she laughed and they went back to the kitchen…
After that..
@Laksh's room
Laksh (white dotted shirt..blue jeans) was standing infront of the mirror closing his shirt's buttons but reminding ragini only.. He had a mesmerised smile on his face and only her eyes..her smile.. Her angery face. Were roaming around in his mind.. Then his door knocked..laksh came back to reality and looked at the door..and ap was there with a cup of coffee.. Laksh smiled a bit and she came in to him smiling..

Ap: tumhari coffee..
Laksh: Aap kyu laaye..? Chandan ko kehna tha naa laane ko.. Maa aap log bhi naa naukaro ko sar par chadha kar rakhte ho..
Ap: Arey baba bass.. (Offered him his coffee) Lo..

He took the coffee from her hands.. And started sipping it..

Laksh: Waise naukar se yaad aaya.. Sanskaar kaha hai?
Ap: (scolding him a bit) Laksh.. (Laksh removed his eyes smirking) Aaj subah hi apne ghar gaya hai..
Laksh: Sanskaar kaa ghar wahi hai..?
Ap: Haan wahi hai.. Par aaj tum kyu puchh rahe ho?
Laksh: Nahi.. I mean waise to saara dinn yaha par pada rehta tha.. Aaj dikha nahi so..
Ap: Chhodo wo sab..aur hume ye batao ki tum to keh rahe the 2-3 baad aaoge..phir aaj acchaanak wapis aa gaye.. Kyu?
Laksh: (being a bit angry) Maa.. Aap log mujhe dekh kar khush nahi hue kya?
Ap: arey? Aisi baat nahi hai.. Hum to bass aise hi…
Laksh: (smiled a bit) arey maa..Maine aapko bataya naa.. Saare lucknow ki khubsoorti maine apni balcony se hi dekh li..
Ap: Tum bhi naa laksh.. Humari samajh ke baahar ho… Chalo tum araam karo.. Hum khaana banaate hain..

Laksh smiled..and she moved out..
Late evening..
Laksh was standing infront of a door and he knocked it.. And sanskaar opened it who was wearing his casual wears.. He got shocked to see laksh and laksh got a smile full of attitude on his face..

Sanskaar: laksh? Tu?
Laksh: Hmm.. Main..

And he got in without his permission.. He looked around.. Sanskar was a bit shocked and confused too..

Sanskaar: tu..tu wapis kab aaya?
Laksh: Abhi..

His eyes were searching someone.. Ofcourse ragini.. And sanskar came infront of him looking at him.. And he also looked at him..

Sanskaar: Yaha kyu aaya hai?
Laksh: (removed his eyes in attitude and sat down on a sofa) I think ghar par jab mehmaan aata hai to pehle chaaye paani puchte hain..

Sanskaar removed his eyes being a bit frustrated..laksh smirked sitting in attitude..

Sanskaar: Rukk main paani laata hu..

And he walked from there towards kitchen.. Laksh then got restless.. He just wanted to see ragini.. He was observing his house.. And then sanskaar got water for him..

Sanskaar: Hmmm.. Paani..

And laksh took the glass of water.. And drank it…

Sanskaar: Ab tu mujhe bata ki.. Tu yaha kyu aaya hai?
Laksh: Wo kal papa ki meeting hai naa.. Jaa uski details laa kar de mujhe.. Abhi..
Sanskaar: Wo details main tujhe kal subah office me bhi de sakta tha..
Laksh: (got some attitude) Jitna kaha hai utna kar..

Sanskaar was irritated by him but moreover he was confused..

Sanskaar: Ok rukk.. Main laata hu..

And sanskaar moved from there in a room.. While laksh smirked.. Then he got up moving his hair back with his hand and he moved to a room.. Sanskaar's room.. He came in and looked around.. It was a simple middle class room.. Then he moved towards his bed and on his night stand a photo frame was kept.. Laksh smirked and moved to it.. He then picked it up and it was ragini and sanskaar's photo.. Laksh looked at ragini in that photo and a mesmerised smile came on his face.. Meanwhile.. Sanskaar came out from study with a file but got shocked and confused seeing that laksh is not there.. He then looked around and saw that curtain of his room is moving.. He placed file aside and entered in his room..and saw that laksh who was looking at his photo with ragini..then..

Laksh: (without turning back) arey wah sanskaar.. (Turned back smirking..looking at him) Tune kabhi bataya nahi ki teri ek behen bhi hai.. Wo bhi itni khubsoorat..

Sanskaar got a bit shocked and he moved to him.. He snatched the photo frame from his hand.. And laksh smirked..

Sanskaar: wo.. Kal ki meeting ki details baahar padi hai.. Jaa ke dekh le..
Laksh: Teri behen yaha nahi rehti?
Sanskaar: (looked at him frustrated..then he removed his eyes) nahi..
Laksh: to phir kaha rehti hai?
Sanskaar: Lucknow..
Laksh: (smirked) Lucknow se to tu le aaya usey.. (Sanskaar got shocked..he looked at him..and laksh got attitude) Tu ye bata ki ab wo kaha hai..?
Sanskaar: (got some anger and determination on his face) Kyu batau main tujhe..?
Laksh: (a bit angrily) Kyunki sanskaar.. Mujhe naa teri behen ragini pasand aa gayi hai.. Lucknow me meri pehli subah hi uske chehre se hui hai.. (Got lost in her memories) Ek khubsoorat saa chehra.. Badi badi aankhe.. Bheege hue se honth..bheegi hui zulfe.. Delicate saa badan..bilul chhui mui (Touch me not plant) ki trah.. mujhe to laga main usey haath bhi lagaunga to rone lagegi.. Lekin wo..? Jeet ko thappad maara usne.. Ab apne dost ka badla to lunga hi naa main.. Don't worry.. Main badla bohot pyaar se lunga.. Par ab mujhe ragini chahiye.. At any cost!

Sanskaar got shocked..and laksh smirked looking at the photo in his hand..

Laksh: waise mujhe nahi pata tha ki jisey main naukar samajhta hu uske ghar itna khubsoorat heera hai.. Par look.. Ye heera naa.. Teri iss jhopdi me accha nahi lagega.. To tu isey mujhe de de.. Bata de ragini kaha hai..?
Sanskaar: Never.. (Angrily) Main tujh jaise ghatiya insaan ka to saaya bhi padne nahi dunga uss par..
Laksh: (laughed.. Then) arey kaha chhupayega usey mujhse? Aur kab tak?. Dekh.. Tu mujhe bata de ki ragini kaha hai.. Otherwise.. (Grinded teeth) main tere aur swara ke affair ke baare me sab ko bata dunga.. (Sanskaar got shocked) Aur iss trah se bataunga ki.. Tu kisi ko apna muh nahi dikha paayega.. (Removed his eyes) Phir chaahe uske liye mujhe apni behen ko hi kyu naa badnaam karna pade..
Sanskaar: K.. Kya batayega tu?
Laksh: (smirked) yaad hai jab swara trip par jaane ke bahaane se tere paas aayi thi tera b'day celebrate karne hotel royal me.. Tab mera friend amar bhi waha tha.. Apni gf ke saath.. Usne tumhe dekha to mujhe waha bula liya.. (Grinded) Mann to kar raha tha ki ussi waqt teri jaan le lu.. Lekin maine aisa kiya nahi coz I knew it.. Mujhe pata tha ki ye b'day date kisi naa kisi tareeke se to mere kaam aayegi.. Par wo aise aayegi.. Ye nahi pata tha..(he smirked..then)..waise.. Phir maine tum dono ko b'day celebrate karne ke baad ek room me bhi jaate hue dekha tha..
Sanskaar: Ye jhooth hai.. Main aur swara kisi room me nahi gaye the.. Iske baad swara mere ghar rahi thi aur main ragini se milne lucknow gaya tha..
Laksh: (smirked) Ye main jaanta hu.. Tu jaanta hai.. Amar jaanta hai..aur swara bhi jaanti hai.. Par ghar wale to nahi jaante naa.. Wo to wahi maangenge..jo unhe amar batayega aur jo unhe in photos me dikhega..

He showed him some photos on his phone..in which swara and sanskaar were happily celebrating his birthday.. Swara was kissing him on his cheeks..and sanskaar too.. Sanskaar got shocked seeing that..

Laksh: And you know.. Ghar wale wahi maanenge jo unka laksh unhe batayega.. iske baad tujhe apne aap ko innocent prove karne ke liye teri behen ragini ko sabke saamne lana hoga.. (Smirked) Mere saamne laana hoga… (grinding teeth) Ab tune meri behen ke saath ye kiya hai.. To mujhe to badla lena hi padega naa.. (He came to him in attitude and put a hand on his shoulder) Sanskaar..tu ek baat kaan khol kar sunn le.. Mujhe teri behen Ragini chahiye to bass chahiye.. Look agar tune mujhe ragini ka pata de diya to main khud tere aur swara ke rishte ke liye gharwalo ko manaunga..lekin agar tune nahi diya to (he showed him his phone) You know what I can do to you.. Soch le.. Poori raat hai tere paas acche se soch le ki seedhi trah se apni behen mujhe dega yaa phir.. (Grinded teeth) main apne tareeke se chheen lu usey..?

Sanskaar looked at him with his teary frustrated eyes..he smirked..and went out of his room and his house.. Sanskaar looked at his photo with ragini and his tears rolled down.. He then looked up and reminded a moment..

[Flashback
Swara and sanskaar were sitting on a hotel celebrating his b'day..

Swara: I love you sanskaar.. Ab nahi raha jaata mujhse aise..
Sanskaar: Same here swara.. Mujhse bhi nahi raha jaata..
Swara: Tum gharwalo se baat kyu nahi karte? Bata dete hain unhe that we love eachother..
Sanskaar: swara tumhe lagta hai ki maheshwari parivaar apne ghar ki princess ko mere jaise naukar se pyaar karne ki permission dega?
Swara: (got angry) Sanskaar.. Tum naukar nahi ho.. Aise mat kaha karo please.. Aur main koi princess nahi hu.. Main bass apne sanskaar ki swara hu.. I love you..
Sanskaar: I love you too.. Lekin ye baat aise bade papa aur papa ko bata kar hum unka trust nahi tod sakte..
Swara: (teary eyes) matlab kya hai tumhara..? Tum unka trust nahi tod sakte par mera dil tod sakte ho..
Sanskaar: (cupped her face) Arey maine aisa kab kaha.. Mere kehne kaa matlab sirf itna hai ki.. Main bade papa aur papa ke liye kuchh aisa karna chahta hu jissey wo tumhara haath khud mere haath me de de..
Swara: Aur aisa nahi hua to..
Sanskaar: (teary eyes) To hum alag ho jayenge..

Swara was about to cry..and sanskaar burst into laughter looking at her..she then hitted him crying a bit and then they both hugged eachother..

Flashback ends]
And sanskaar's tears rolled down.. He sat down on bed holding his head.. And started thinking what to do now.. On a hand..there was his love.. His girl swara..and on the other there was his sister.. Ragini.. Who was more important than his own life..He didn't know how to save his sister from laksh now.. Then he looked up realising something..

Sanskaar: Nahi.. Main tujh par ek aanch bhi nahi aane dunga ragini.. Baba se waada kiya tha maine ki tujhe ek kharoch bhi nahi lagne dunga..aur uss laksh..laksh ki to nazar tak nahi padne dunga main tujh par..

Then he took out his phone and called ragini..

Sanskaar: Laado?
Ragini: Ji bhai.. Kya hua? Aap hume lene kyu nahi aaye abhi tak?
Sanskaar: Laado tu.. Tu badi maa ke ghar hi rahegi..
Ragini: Kya? (Found it strange) bhai aap theek to hai? aapko awaaz..
Sanskaar: Jab tak main wapis nahi aa jaata tab tak tu waha se kahi nahi jayegi..aur yaha to kisi bhi qeemat par nahi aayegi..
Ragini: (confused) Lekin bhai..
Sanskaar: Lekin wekin kuchh nahi.. Jitna kaha utna karna.. Aur.. Aur kabhi koi bhi maheshwari mera naam use karke tere paas aaye to uss par bharosa nahi karna..
Ragini: Bhai…kya baat hai…? Aisa kya hua hai?
Sanskaar: main.. Main baad me baat karunga tujhse..
Ragini: Bhai…

And he ended the call..ragini on the other hand got worried with teary eyes..

Ragini: Kya hua hai..? Bhai ne aisa kyu kaha..?
Badi maa: (was sitting near her) Ke kaha sanskaar ne?
Ragino: Bhai bohot pareshaan the badi maa.. Keh rahe the ki hum yaha se kahi naa jaaye.. Aur ye bhi ki…ki kisi bhi maheshwari par kabhi bharosa naa kare..
Badi maa: Hey maahra khaatu syaam ji.. Je sanskaar ke saath maheshwariyo ne kuchh kiya to naa…
Ragini: Nahi badi maa.. Bhai ne hume bataya hai..durga prasad ji bohot pyaar karte hain bhai ko..
Badi maa: Sab kehne ki baat hoti hai laado..warna je bade gharo ke log bohot matlabi hobe hain.. Jarur apne matlab ke liye sanskaar ko kisi musibat me daal diya hoga..
Ragini: (tears rolled down..panicked) Nahi badi maa.. Hum.. Hum yaha nahi baith sakte.. Hume jaana hoga bhai ke paas..
Badi maa: Naa laado… Tu kahi naa jaabegi.. Jab tak sanskaar bapis naa aata main thaare ko kahi naa jaane dungi..
Ragini: lekin badi maa bhai..
Badi maa: Kaha naa maine.. Sanskaar ne thaare ko ke bola hai.. Kahi aisa naa ho ki thaare jaane se uski musibat aur badh jaabe..tu atthe hi reh.. Samjhi maahri baat…

Ragini was stunned and shocked.. Her tears were rolling down…
Next day..
Ragini (creamish coloured anarkali) was standing in her window and was trying to call sanskaar.. Her eyes were fillsd with tears.. She called it again.. And..

A voice: The number you're calling is currently switched off..

Ragini got frustrated and she ended the call.. Her tears started rolling down..and then badi maa came to her..
Badi maa: Ke hua laado..
Ragini: Badi maa.. Bhai kaa phone nahi lag raha..
Badi maa: Lag jaabega chhori.. Tu chinta kar.. Khud phone kar lega sanskaar thaare ko..
Ragini: (tears rolled down) Pehle kabhi aisa nahi hua badi maa.. Hum..humara mann bohot ghabra raha hai.. Hum jaake dekhte hain..
Badi maa: naa laado.. Main thaare ko kahi naa jaane dungi tu sunn le maahri baat bass..

Meanwhile @Sanskaar's house..

Laksh: (white dotted shirt..blue jeans) Was standing in sanskaar's house with ragini's photo in hands.. And he was talking to her photo..

Laksh: Look ragini.. Kitna kuchh kar diya maine tumhare liye..ab to aa jaao.. Tumhe apne bhai ki bhi chinta nahi hai? Atleast aake dekh to lo ki wo hai kaha? Kahi usey kuchh ho to nahi gaya..? Nahi.. Itni matlabi behen nahi ho sakti tum.. (He smiled) I'm sure tum aaogi.. Apne bhai ke liye hi sahi par tum aaogi.. Tumhe mere paas to aana hi hoga ragini.. Aana ho hoga..

And he smirked..
And from the day onwards… He daily checked in sanskaar's house if ragini came back.. On the the other hand..ragini was getting more worried.. A month passed and ragini was getring frustrated waiting for sanskaar..on the other hand.. Laksh was frustrated too waiting for her.. A more month was going to end and now ragini's patience broke.. Ragini (orangish red anarkali) then called in MM..and Dp picked it up..

Ragini: Hello?
Dp: Ji…kaun?
Ragini: Ye durga prasad maheshwari ji ke ghar ka number hai?
Dp: Ji..
Ragini: wo…wo aapke ghar s…sanskaar naam ke aadmi..
Dp: (got fires in eyes) Yaha koi sanskaar nahi hai.. (Ragini got stunned) Dobara yaha phone karne ki zarurat bhi mat kijiyega..

And he ended the call..ragini fell down on floor tears rolling down..stunned.. And badi maa came to her holding her shocked..

Badi maa: Ke hua laado?
Ragini: Ye.. Ye nahi ho sakta.. Ye nahi ho sakta.. Bhai agar waha nahi hai to… To wo kaha jaa sakte hain..? Do maheene hone wale hain badi maa.. Uss raat se hume humare bhai ka kuchh ata pata nahi hai.. Kabse humne awaaz tak nahi suni unki.. (Cried) Wo.. Wo to itne waqt tak humse mile bina reh hi nahi sakte.. Kuchh galat hua hai badi maa unke saath.. Kuchh bohot galat hua hai… (Wiped her tears being determined) hume..hume jaake dekhna hoga.. Hume pata karna hoga..
Badi maa: Nahi laado..
Ragini: Nahi badi maa.. Ab hum nahi rukenge.. Ab hume waha jaana hi hoga.. Hum dekhenge ki humare bhai kaha hai aur kya galat hua hai unke saath..

She then got up being determined and went in her room..

Precap- The very first meeting of Ragini-Laksh!! 😮 <3

How was it guys..? how much excited are you for the next part? 😀 ^_^

Share
Published by