Fan Fiction

RagLak ff by vini Tum mere Ho part 26

Tum Mere Ho <3
By #vini
★Part- 26★
Jeet nodded in no in disbelief..and then he went from there.. laksh freed himself..It was silence for some minutes.. Laksh looked at ragini.. She was crying and looking at him too.. Both were thinking that what will happen now..and then she removed her eyes and laksh also removed his eyes down..

Dp: Laksh… Jo kuch bhi jeet ne kaha wo sach hai?
Laksh: (without looking up) Haan papa..wo..wo sab sach hai..
Ap: (crying) hume yakeen nahi hota laksh.. Tum humare bete hoke kisi ladki ke saath aisa kar sakte ho..

Laksh closed his eyes hearing such words from his beloved mother who never even raised her voice on him.. Then he opened his eyes..

Ap: kyu kiya laksh tumne aisa? Kyu?
Laksh: (looked up) kyunki main ragini se bohot pyaar karta hu maa.. Bohot chaahta hu main isey..
Dp: (a bit angrily) Laksh.. Hum chaahte hain ki ab hume saari baat pata ho… Btao hume ye sab kaise hua..?
Laksh: (a bit worried) papa main..
Dp: jo pucha hai.. Sirf wo batao..
Laksh: (determined) Maine pehli baar ragini ko lucknow me dekha tha.. Jab main, amar aur jeet waha outing par gaye the.. Mere hotel room ki balcony ke theek saamne ragink ki balcony thi.. Aur wahan meri pehli subah hi ragini ke chehre se hui.. (Looked at ragini) Aur jab maine ragini ko dekha..to bass dekhta hi reh gaya.. Uss ehsaas ko samajh nahi paaya par laga ki ye mere liye bani hai..Ragini meri hai… (Ragini's tears rolled down..laksh's eyes got teary..both were looking into eachother's eyes..then she removed down her eyes and he looked at dp) Phir uske baad.. (And then he explained everything..how all this happened) Aur sanskaar ki azaadi ke badle me isne bhi mujhse shaadi ke liye haan bol diya..aur phir..phir humari shaadi ho gayi..
Sujata: Accha.. Na..to matlab je hi bajah thi ki je chhori apni saadi me bhi khus naa thi..
Ap: (crying) aur hum sochte rahe ki ye apne gharwalo ko yaad kar rahi hai isliye shayad.. Laksh.. Hume tumse ye ummeed nahi thi.. Tumne bohot dil dukhaya aaj humara..
Laksh: (Laksh's tears rolled down hearing his mother's words) Maa maine jo kuch bhi kiya wo sirf isliye kiya kyunki main.. Main ragini se bohot pyaar karta hu.. Bohot chaahta hu main isey.. Pata nahi kyu apne pyaar ko zidd samakh baitha aur ye sab kar diya.. Lekin main sach me ragini se bohot pyaar karta hu.. (Looking at ragini) ragini batao inn sabko ki main kitna pyaar karta hu tumse.. Tum to jaanti ho naa ki main kitna pyaar karta hu tumse… ? Batao inhe ragini..

Ragini was just crying.. And..crying…sanskaar couldn't see her like this anymore.. He came to her.. She looked up at him crying and hugged him..he also hugged her back..crying..

Sanskaar: Bass.. Bass… Mujhe nahi pata tha ki mere laado itni badi ho gayi hai.. (He made her look at himself cupping her face in his hands) Mere liye tu itna sab kuch sehti rahi aur mujhe laga ki tu badal gayi.. Meri zindgi ke liye..meri jaan bachaane ke liye tune apni zindgi..apne sapno ko daav par laga diya..? Itna sab kuch sehti rahi..? Lekin bass.. (Wiped her face) ab bohot ho gaya…ab tera bhai aa gaya hai…
Dp: Sanskaar.. Tumne hume kabhi kyu nahi bataya ki tumhari ek behen bhi hai..?
Sanskaar: (looked at dp) Kyunki bade papa main nahi chahta tha ki jis trah se main aapke ehsaan ke tukdo par pala badha hu uss trah se meri behen bhi badhe.. Meri maa apne akhri palo me ragini ko mere aur meri badi maa ke haatho me saump kar gayi thi.. Ye keh ke ki kabhi isey unki kami mehsoos naa hone paaye.. Saari duniya se mehfooz karke rakha hua tha maine apni laado ko.. Usey aatmvishwaas se bhari zindgi di thi maine.. Har pal ki ek befikri muskurahat di thi maine.. Aur ab..(looked at crying ragini) Dekhiye to zara..kya haal ho gaya hai meri behen kaa..
Dp: Jo kuch bhi tumhare aur tumhari behen ke saath iss ghar me hua hai.. Hum uske liye bohot sharminda hain.. Laksh ne hume kuch kehne ke layak hi nahi chhoda.. Galti to uski bhi nahi hai.. Galti humari hai..laksh humara eklauta beta hai..sabka laadla hai..isliye..Bachpan se lekar aaj tak jis cheez par haath rakha isne.. Wo cheez humne iske kadmo me laa kar rakh di.. Kabhi kisi cheez ke liye koi sangharsh (hardwork) nahi karna pada isko.. Jo chaaha wo mil gaya.. Humari issi kami ki wajah se shaayad ye insaan aur khilauno ke beech ke fark ko bhool gaya..Ragini beta.. Hum jaante hain ki tum maafi jaisa shabd sunna tak nahi chaahogi lekin phir bhi.. Ho sake to hume maaf kar do.. (Joined his hands and ragini looked at him crying and shocked) Ye tumhari zindgi hai.. Aur tumhari zindgi ke faisle lene ka haqq bhi sirf tumhe hai.. aise rishto ka koi wajood nahi hota jisme majboori aur zabardasti ho..to ab tum chaaho to iss rishte se khud ko azaad kar sakti ho..

Laksh's eyes got bigger looking at dp.. He looked at ragini and nodded in no…

Sanskaar: Laado..Ab main tujhe yaha nahi rehne dunga.. (Laksh got shocked) ab bohot ho gaya.. Ab tu aur nahi sahegi..
Laksh: Sanskaar nahi.. Sanskaar tu ragini ko nahi le jaa sakta.. Sanskaar please..
Sanskaar: (looked at laksh) Bass laksh.. Teri wajah se bohot kuch saha hai meri behen ne.. Aaj tak jiski aankh me maine kabhi aansu nahi aane diya tha.. Tere saath rehkar harr pal sirf roi hogi wo..

Swara came forward and held sanskaar's hand.. crying..

Swara: Sanskaar please.. Bhai sachme bohot pyaar karte hain ragini se..
Sanskaar: Nahi swara.. Main jaanta hu ki laksh ne tumhe aur mujhe milwaya hai..humari shaadi karwa raha hai wo lekin uske iss ehsaan ke bojh tale dab kar main apni behen ki zindgi..uske sapne barbaad hone nahi de sakta.. Main apni behen ko le jaa raha hu.. Phir wo chaahe to iske baad tumse mera rishta tod sakta hai.. Main.. (Removed his teary eyes) main reh lunga tumhare bina…

Everybody was upset and sad.. Swara was crying and she left sanskaar's hand in shock.. Ragini looked her face.. And her tears rolled down.. Anpurna came to sanskaar..

Ap: Sanskaar aisa mat karo.. Humne ragini ko humesha apni bahu nahi beti maana hai.. Jaante hain bohot kuch galat hua iske saath lekin hum tumhe vishwaas dilaate hain ki ab kuch galat nahi hoga.. Ragini ko mat le kar jaao sanskaar.. Humari bahu ke bina soona ho jayega humara ghar..
Sanskaar: (joined his hands) Main aapki bohot izzat karta hu badi maa.. Humesha apni maa ko dekha hai maine aapke andar.. Aur ussi naate aaj aapse request karta hu.. Aaj meri maa ki trah mere halaat ko..meri majboori ko samajhne ki koshish kijiye.. Aur mujhe maaf kar dijiye..

Then he again held ragini's hand and took her with him.. Laksh got shocked seeing this.. He looked at ragini..

Laksh: (crying) Ragini..ragini please.. Please mujhe chhod kar mat jaao ragini.. Ragini please………!!

But she didn't react.. And moved from infront of him..crying..after sanskaar.. Laksh was also crying.. He moved ahead to stop her just then anpurna held his arm.. he looked at her..and she nodded in no..telling him..not to stop her now..

Laksh: (crying..panicked) Maa.. Nahi..maa.. Please.. Ragini ko rok lo maa please.. (Ragini reached the stairs and he shouted..looking at her) Ragini…. Ragini please mat jaao ragini.. Main tumhare bina nahi reh paunga.. Ragini I love you.. Ragini I love you so much.. (She was crying but ignoring him. She was stepping up on the stairs with sanskaar..he shouted again) Ragini please.. Please.. Rukk jaao ragini.. Ragini main nahi reh paunga tumhare bina.. (She reached at the centre of the stairs..all the moments she spent here were striking in her mind..she reminded when she got married to laksh) Ragini……..??? Ragini mat jaao please… Ragini main… Main marr jaunga tumhare bina……

And she stopped stunned hearing this.. Her tears dropped down.. Laksh's heart that was coming out of hos mouth also got some relief..Sanskaar stopped too and looked back at her… She looked at sanskaar..

Sanskaar: Laado.. Kya hua? Chal..

She was stunned..she nodded in no.. Sanskaar got shocked..

Sanskaar: Laado ye tu kya keh rahi hai? Chal…
Ragini: Bhai… Hum…hum kaise jaa sakte hain yaha se..? Humari shaadi hui hai ghar me.. Ye humara sasural hai.. (Sanskaar was so shocked..and she smiled a little while crying) Aap jaante hain badi maa kya kehti thi.. Wo kehti thi ki..shaadi ke baad ladki ka sasural hi uski duniya hota hai..
Sanskaar: aisi kaisi duniya ragini jisme tu khush hi naa ho..
Ragini: Aapse kisne kaha ki hum khush nahi hain bhai..? Hum khush kyu nahi honge.. Yaha humare paas sab kuch hai.. Ek maa hai..papa ji hain.. Chaacha ji hain chaachi ji hain..swara hai..wo sab log hain jinke pyaar ke liye hum bachpan se tarse hain..
Sanskaar: Aur laksh?
Ragini: (stopped for a second.. Then she took a sigh) unse shaadi hui hai humari.. Humare pati hain wo.. Ek pal ke liye hum unke saath humare rishte ko bhool kar aage badh sakte hain lekin.. Lekin iss.. (Touching her forehead) iss sindoor.. (Touched her mangalsutra) iss mangalsutra ko nahi bhool sakte.. Shaadi ke baad ek ladki ki akhri vidaayi uske sasuraal se hoti hai.. Jab uski arthi utthi hai.. Isliye hum yaha se nahi jaa sakte.. Ye humara ghar hai.. Aur hum yahi rahenge…

Sanskaar was looking at her shocked.. She was crying but was determined.. Sanskaar smiled a bit looking at her..

Sanskaar: Itni badi badi baate? Tu itni badi kab ho gayi?

Ragini smiled a bit and hugged him.. He also hugged her.. Then she wiped her tears and turned back.. Anpurna smiled.. And laksh was just blank.. She came downstairs to anpurna and hugged her.. Anpurna cupped her face and kissed on her forehead.. Then she looked at swara.. Swara also smiled a bit looking at her.. And they both hugged eachother.. Then sujata also came and hugged ragini.. Then she stepped back.. Laksh was just looking at her.. Then he stepped forward..held her hand..pulled her to himself and captured her in a bone crushing hug… Ragini got shocked.. Pushing him a bit away..

Ragini: (in a low voice) Laksh..ye kya kar rahe hain aap..? Laksh chhodiye hume.. Laksh..laksh sab dekh rahe hain..

Laksh couldn't hear anything.. He was just hugging her in a way that he'll never let her go.. And Then after a few minutes laksh realised that he is in the main hall.. He slowly loosened his arms and ragini got seperated from him.. Both were looking at eachother.. Ragini then looked down being embarrased.. Laksh also looked at others being embarrased.. He looked down lifted his hand up and moved his fingers in his hair…anpurna was looking at him seriously.. But then..she burst into laughter.. Sujata also started laughing.. Then everybody laughed a bit..

Anpurna: (putting a hand on her head) hey bhagwaan..
Sujata: Jijji.. Thaare baawle chhore ki je ek hi doctor poori duniya me..

Laksh smiled blushing.. He wiped his tears..anpurna came to ragini..

Ap: Ragini..hum jaante hain laksh ne jo kuch bhi tumhaare saath kiya wo galat hai.. Lekin iske sabhi galat kaamo me..jhooth me ek cheez thi jo bilkul sacchi thi.. Wo hai iska tumhare liye pyaar.. Ye hum isliye nahi keh rahe kyunki hum iski maa hain.. Isliye keh rahe hain kyunki tum hume apni maa samajhti ho.. Hume ummeed hai ki tum jo kuch bhi hua usey bhool kar laksh ko bhi apna logi.. Koi jaldi nahi hai.. Tumhe jitna samay chahiye..utna samay lo.. Lekin..lekin apni zindgi ko jiyo.. Apni marzi se..Hmm?

Ragini nodded in yes.. Anpurna smiled..

Anpurna: Bass.. Ab bohot ho gaya ye rona dhona.. Ab chalo.. Sab milke shaam ki aarti karte hain..

She held ragini's hand to move her ahead just then..

Ragini: Ek minute maa..

She freed her hand and turned her head around.. Every body looked up at the centre of the stairs.. She looked at sanskaar.. Then she moved back and walked towards him.. She held his hand and took him to swara.. She then smiled and held swara's hand up and put her hand in sanskaar's hand.. Swara looked at her smiling and crying.. Ragini also smiled putting her hand on her cheek with with teary eyes.. Everybody smiled happily seeing them.. Then ragini stepped back..swara looked at sanskaar.. He also looked at her.. Then she changed her expressions and pulled her hand back.. Everybody got shocked a bit.. She then turned back showing him her anger.. Sanskaar came infront of her and held his ears asking for forgiveness in expressions..swara looked at him and laughed.. He also laughed and she held his hand.. Everybody got happy..

Anpurna: Chalo.. Ab aarti karte hain..

And they all came in the house mandir.. And did pooja and aarti.. First anpurna and durga prasad did the aarti together..after them sujata and ram prasad did it..then..

Ap: Ragini.. Laksh.. Chalo aao aage..

Laksh looked at ragini.. She also looked at him.. Then laksh nodded in yes looking at anpurna..Then they both came forward and did the aarti together… Ragini was nervous but determined.. Laksh was happy.. releaved and was smiling.. Then swara and sanskaar also did the aarti and in the end aditya..

In the night..
@Raglak's room
Ragini was standing infront of the mirror wearing purplish saari and floral blouse.. Then laksh came in the room.. He was wearing grey lower..grey jacket over black T-shirt..He looked at her and smiled.. She was taking out her bangles.. He came just behind her.. She looked up at him in mirror.. He also looked at her with a slight smile..then he raised his hands and held her slinding them softly on her waist.. Ragini's nervousness increased with this..and he locked his hands infront of her belly..

Laksh: (turning her face towards hers a bit) I love you ragini.. I love you so much.. Aaj agar tum chali jaati to.. To pata nahi mera kya hota.. Ab tumhare bina main apni life imagine bhi nahi kar sakta.. Pata nahi kya kiya hai tumne par.. Bohot chahta hu main tumhe.. Bohot pyaar karta hu tumse.. (Ragini's eyes got teary.. And he turned her back with a smile and held her from her shoulders looking into her teary eyes with a smile) Aur.. Ab iske baad hum apni life ki nayi shuruwaat karenge.. Ek perfect pati patni ki trah..

Ragini got her eyes bigger.. She removed his hands from her shoulders and stepped back being stunned… Laksh's smile got vanished..

Ragini: Hum..humne yahan rehne ka faisla sirf isiliye kiya hai kyunki..kyunki hum iss ghar ki bahu hain.. Par iska matlab ye nahi hai ki humne aapko apne pati ke roop me swikaar kar liya hai.. Hum aaj bhi sirf iss ghar ki bahu hone ke naate yaha khade hain..
Laksh: (got shocked for a moment.. But then he removed his eyes.. Chuckled a bit on himself..nodded in disbelief..and then looked at her with a slight smile) Tum chaahe kuch bhi kaho ragini.. Mujhe sirf itna pata hai ki tum meri patni ho.. Aur aaj tum yahan isliye khadi ho kyunki mera tumhare liye pyaar saccha hai.. Main abhi bhi tumse utna hi pyaar karunga jitna main karta tha.. Aur dekhna.. Mera pyaar hi kheench laayega tumhe meri baaho me.. Jaise aaj kheench laaya hai tumhe yaha.. Aur wo dinn bhi dur nahi hai jab tum khud aa kar mujhe gale lagaogi…

Ragini was looking at him like that… There was a confident smile on his face.. She then removed her eyes and went towards the bed..and lied down.. Laksh also came to the bed and lied down.. He turned off the light and closed his eyes.. Ragini looked at him..and all the incident of the day came in her mind.. Jeet's words…"arey wo chaahe to roz ladki badle..lekin pata nahi kyu tum jaisi ladki ke liye pagal hua baitha hai….. Iss ladki ko chaahta hai jisey naa to teri kadr hai.. Naa hi tere pyaar ki.." Laksh's words.." Tune meri ragini ko haath kaise lagaya? Main teri jaan le lunga… Ragini.. Ragini main tumse bohot pyaar karta hu.. Main marr jaunga tumhaare bina" and her eyes got teary.. Then she reminded durga prasad's words.." Galti laksh ki nahi hai.. Galti humari hai.. Jo chaaha wo diya humne isey.. " and anpurna's words.. " sabhi galat kaamo aur jhooth ke beech ek baat thi jo bilkul sach thi..iska tumhare liye pyaar"

Ragini: (thinking in her mind crying silently) Kyu karte hain aap humse inta pyaar? Kyu?

Then she wiped her tears and closed her eyes to sleep..

Late night..
Laksh felt restless and got up.. He looked at ragini.. She was sleeping.. Then he got up and went out of the room.. He knocked at a room's door.. And anpurna opened it.. She saw laksh standing and got shocked..

Ap: Laksh? Kya hua? Sab theek to hai..
Dp: laksh? Iss samay?
Laksh: Maa.. Mujhe aap logo se kuch baat karni thi..
Ap: Aisi kya baat hai jo iss waqt karni hai..? Khairr..aao andar..
Dp: (got up from bed) laksh..kya baat hai?
Laksh: (with teary eyes..entered in) Papa.. Maa.. Mujhe..mujhe maaf kar dijiye.. Maine jo kuch hi kiya wo pyaar me pagal ho kar kiya.. Lekin main iss guilt ke saath nahi reh sakta ki mere parents ko main galat lagu.. Papa..maine pehli baar kisi se itna pyaar kiya hai..lekin mere pyaar ki wajah se aap sahrminda ho ye main..main..mujhe samajh me nahi raha main kaise maafi maangu aapse…
Dp: (came forward and put a hand on his shoulder) Hum jaante hain..aur hume behadd khushi hai iss baat ki ki tumhari zindgi me koi aisa insaan bhi aaya hai jise tum pyaar karte ho.. Afsos hume sirf iss baat ka hai ki tumhe uss insaan ki bhaavnaao ka sammaan karna nahi aaya.. Khairr.. Ab jo ho gaya.. So ho gaya.. Ab iss baat ko nazar andaaz nahi jaa sakta ki tum aur ragini pati patni ho..bass.. Ab iss baat ka khyaal rakhna ki.. Pyaar ek zimmedaari hai.. Bohot badi zimmedaari jise hume harr haalat me nibhaana padta hai.. Aur kabhi kabhi pyaar ko paane liye bohot kuch sehna padta hai..aur..sangharsh bhi karna padta hai..swara aur sanskaar udaaharan ke taurr par hain tumhare saamne..ummeed hai tum samjhoge..

Laksh nodded in yes.. Anpurna came to laksh..

Ap: (smiling putting a hand on laksh's cheek) Aur jaante ho laksh.. Hume garv hai tumhari pasand par.. Ragini ke jaisi ladki ko to hum diya jala kar bhi dhundhte to bhi nahi milti..

Dp also smiled..

Dp: Anpurna bilkul theek keh rahi hai..

Laksh kissed on anpurna's hand..

Ap: Chalo..ab bohot raat ho gayi hai..jaa kar so jaao..
Laksh: (smiling) Ji.. Good night..

And then he went out of their room to his room.. Now he was releaved and smiling.. He slowly closed doors and came on bed.. Then he looked at ragini and slowly put her duvet up on her.. And he also lied down and slept..

Next morning..
Ragini came out of the washroom after bathing wearing pink coloured lehnega with blue coloured blouse.. She saw laksh was lying on bed even after his exercise… She got a bit confused..she stood infront of mirror.. Then she applied her sindoor and her mangalsutra.. Then she wore her bangles she made sound from them so that laksh get to know that she has came out from washroom.. And now he can go.. But he didn't react..she got a bit more confused and nervous.. She then looked at the clock.. She came to laksh… And saw that he is sleeping..

Ragini: Ye bhi koi sone ka waqt hai..? Laksh…? Laksh aapko office ke liye der ho rahi hai..

Laksh didn't react and was sleeping.. Ragini got worried..she hesitatingly came forward..

Ragini: (hesitatingly touching his arm shaking it a bit) Laksh..? Laksh…uth jaaiye.. Aapke…aapke office ka time ho raha hai..

Laksh was still lying like lifeless body… Ragini now got worried… She sat beside him on bed..

Ragini: (hesitatingly and getting nervous) laksh…? (She hesitatingly touched his face) Laksh..?

But he was lying lifelessly.. She got more worried and her eyes got teary..

Ragini: (touching his face) Laksh..? Laksh uthiye naa… kya ho gaya hai aapko? uthiye na laksh…

And there came a smile on laksh's blank face..

Laksh: Pyaar ho gaya hai.. Beintehaan pyaar ho gaya hai..

Ragini got shocked..and he opened his eyes smiling.. Her expressions changed in anger and she took her hand back getting up..just then laksh held her hand and pulled her and she fell lying back on him.. Looking at him shocked..

Laksh: darr gayi thi?
Ragini: Na..nahi..
Laksh: jhooth..
Ragini: Hum jhooth nahi bolte..
Laksh: Accha.. To phir ye batao ki main tumhara kaun lagta hu?
Ragini: (removing his hands) Chhodiye hume..
Laksh: No..answer me first..
Ragini: (angrily frustrated) pati lagte hain..
Laksh: (smirked) seriously ragini.. Bohot accha lagta hai jab tum mujhe apna pati bolti ho..Finally tumne maan hi liya ki main tumhara pati hu.. You know.. Tumhari aankho me wo jo pyaar..
Ragini: sochiyega bhi mat ki hum aapse pyaar karte hain..
Laksh: Arey nahi karti to karne lagogi..
Ragini: Kabhi nahi hoga aisa..
Laksh: Hoga.. Aisa hi hoga..Tumhe bhi mujhse pyaar hoga I promise.. Aur ye laksh maheshwari ka promise hai.. Halke me..
Ragini: Haan pata hai.. Nahi lenge halke me..bass..??
Laksh: (smirked) Smart ho gayi ho..
Ragini: Ab chhodiye hume..aapko office ke liye bhi late ho raha hai..
Laksh: Nahi..pehle ek aur question ka answer do.. (Ragini looked at him) Tum meri kya lagti ho?
Ragini: (got shocked and frustrated) Hume nahi pata..chhodiye hume..
Laksh: nahi… Main tab tak nahi chhodunga jab tak apni sacchai ka proof nahi de deti.. (Ragini looked at him a bit angrily frustrated) btao kya lagti ho tum meri?
Ragini: (in a rage) Dushman.. Dushman hain hum aapke..
Laksh: (shocked) what?
Ragini: Haan..
Laksh: (laughed) Kasam se.. Aisi dushman se kis zaalim ko mohabbat nahi hogi..
Ragini: Ho gaya aapka? Ab chhodiye hume..
Laksh: (a bit angrily) Haan.. (Left her
) Chhodo mujhe.. (She got up) Office ke liye late ho raha hu main..
Ragini: (shocked and angry) Hum chhode? Humne pakda tha aapko?
Laksh: (got up) Aur nahi to kya.. (Smriked at her) I love you..

Ragini was looking at him like that..he chuckled.. Then he moved to the cupboard..took out the clothes.. And went into the washroom.. Ragini was looking at him in a bit anger..

Ragini: (to herself) humne pakda tha inhe..? Jhoothe kahi ke..

Then she went out of the room..

In the evening…
Ragini was in kitchen.. Everybody were in the main hall discussing about the wedding.. As everybody were busy in discussion..laksh (black shirt..black pant..readdish blazer) took a chance and slowly went towards the kitchen.. He came in and saw ragini who was Making dough from flour.. Her hands were totally covered with flour.. And her saari's pallu was disturbing her.. Laksh smirked seeing this.. He came forward with a mesmerised smile.. Ragini was trying to hold her pallu to tuck it in her lehenga on her waist..but she couldn't as her hands were not clean.. She was looking at her pallu being irritated just then her eyes fell on laksh who was coming to her.. She got nervous.. He came closer to her and her heatbeats increased..he came just behind her and she lowered down her eyes being nervous..her heart started beating faster.. Lakah was looking at her face with a mesmerised smile while standing really close to her from behind..then laksh held her pallu slowly..and moved it from her infront.. She looked at his hand.. He moved it to the otherside..took it in his other hand..she turned her face along with the moments of his hands..he also brought his face to her face from the otherside.. Then he slowly tuck it in her lehenga on her waist.. He slided his his fingers in her lehenga touching her bare waist and she closed her eyes with deep breath.. As his hand touched her bare body she felt current in all her body. Then he took his hand out and touched her waist and held her waist pressing his fingers in her soft skin..he moved his face towards hers..and closed his eyes.. Ragini was also closing her eyes.. And then he started moving his hand to her bare stomach..feeling it… While moving his face more closer to hers..his nose was touching her face..And she was getting more nervous and shriveled..Just then she opened her eyes and realised him..

Ragini: Laksh chhodiye hume.. (He didn't bother) Laksh..

He was about to kiss on her cheek just then she got irritated and turned back and tried to push him..she was about to push him with her floury hands..and she touched him..she stopped realising that her hands were floury.. Laksh also got shocked.. And she got scared.. She took her hands back and saw that his coat became dirty..Laksh looked up at her a bit angrily..

Laksh: Ragini ye kya kiya tumne?
Ragini: (nervous and scared) Wo..hum.. Hum…I..I'm s..sorry..
Laksh: Tumne saare kapde gande kar diye mere..
Ragini: (defending herself) To…to galti bhi to aap hi thi… Kisne kaha tha hume…hume aise pareshaan karne ko..?
Laksh: main pareshaan kar raha tha tumhe..? (Coming closer to her) Usko pareshaan karna nahi pyaar karna bolte hain..
Ragini: Laksh..hum keh rahe hai hatt jaiye warna aapke kapde aur gande ho jayenge.. Phir hume mat kahiyega…
Laksh: Ab gande to ho hi gaye hain.. (Coming closer) No problem..
Ragini: Laksh.. (Putting her hands ahead) rukiye..
Laksh: (stopped looking at her hands) accha theek hai.. Tum bass ek baar keh do ki tum mujhse pyaar karti ho..to main chup chaap chala jaunga.. I promise..
Ragini: Nahi karte…bilkul bhi pyaar nahi karte hum aapse..
Laksh: (a bit angrily) Theek hai.. To phir main karunga tumse pyaar..

He grinded teeth with half raised eybrows and was about to hold her again in his arms just then sujata entered.. And ragini turned back to her flour seeing her..

Sujata: Arey laks.. Tu ke kar raha hai atthe?
Laksh: (turned back) wo..ch…ch..chachi main.. Main wo paani peene aaya tha..

Sujata saw ragini's floury hand prints on his coat..

Sujata: Hey bhagbaan.. Je ke kar diya chhori tune..?

Anpurna entered…

Ap: Kya hua sujata..?
Sujata: je dekho jijji..aata je ragini saan rahi hai..aur coat laks ka ganda ho gaya..
Ap: (laughed looking at laksh) Haan.. Ab kaam nahi karne dega to sazza to milegi hi..
Laksh: Nahi maa..wo main..
Ap: Haan bass bass.. Safai dene ki zarurat nahi hai.. Jaao badal lo ye kapde..

And ragini was embarrased.. Laksh smiled blushing and went from there moving his hand in his hair…

Precap- Swasan's sangeet… RagLak's nok jhonk wala pyaar.. And… OMG Laksh got stabbed by goons.. 😮 :'( and ragini's confession..!!

Share
Published by