Fan Fiction

RagLak ff by vini Tum mere Ho part 23

Tum Mere Ho <3
By #vini
★Part-23★
Ragini wasn't ready to accept that laksh has done all this.. She was damn sure that there is something else in his mind.. But what..? Laksh was now gone from there and then..

Swara: Chalo ragini..sanskaar..adi..bhai ne ghar jaane ke liye kaha hai..
Ragini: swara..hume nahi lagta hume laksh par itni jaldi vishwaas karna chahiye…
Swara: Lekin ragini bhai ne kaha ki…
Ragini: Hume unpar bilkul bhi bharosa nahi hai..
Aditya: Lekin ragini..aaj pata nahi kyu par bhai ki aankho me sacchai thi.. Maine aaj se pehle kabhi bhai ki aankho me aansu nahi dekhe.. Lekin aaj jab wo tumhari baat kar rahe the to.. Mujhe nahi lagta ki iss baar bhai kuch bhi koi jhooth bol rahe hain..
Ragini: aditya.. Unko samajhna bohot mushkil hai.. Par jaha tak hum unhe samajh paaye hain to hume nahi lagta ki unn par itni jaldi bharosa kiya jaa sakta hai.. (Looking at sanskaar) Bhai.. Aap aur swara yahi rahiye.. Ghar par sirf hum jayenge.. Waha kuch gadbad hui to hum aapko bata denge aur phir aaplog yaha se kahi aisi jagah chale jaaiyega jaha wo aap tak nahi pahonch paaye…. Theek hai?
Sanskaar: Par laado main tujhe chhod kar kaise jaa…
Ragini: bhai please.. Humari chinta mat kijiye.. Hume kuch nahi hoga…aap bass abhi apna aur swara ka khyaal rakhiye..
Aditya: Ragini..main chhod deta hu tumhe ghar tak.. Waise bhi..main bhi bohot dino se nahi mila maa se.. Unse bhi mil lunga..

Ragini nodded in yes..Then they both went from there…Sanskaar looked at swara..she also looked at him..

Sanskaar: Kya?
Swara: Kya?
Sanskaar: I love you..
Swara: (cried) I hate you..
Sanskaar: sachme?

She hugged him.. And they both hugged eachother tightly.. On the otherhand.. ragini and aditya reached maheshwari mansion.. They saw that the whole mansion was being decorated.. They came in being amzed and confused..

Aditya: Ragini… Ye sab.. ?

Just then anpurna came there..

Ap: arey ragini.. Accha hua tum aa gayi.. (Looked at aditya) aditya? kaise ho beta.. (He bent down to touch her feet) jeete raho..
Ragini: maa ye sab..
Ap: Haan.. Jab tum ghar se gayi to laksh ka phone aaya tha ki koi khaas mehmaan aane wale hain.. Isliye ghar ki thodi sajaawat karni hai.. Kaun aane wala hai waise.. ? Tumhe to bataya hi hoga na laksh ne..?
Ragini: Ji.. Nahi.. Hume to..
Sujata: Arey maahra aditya..

She came to them and hugged him..

Sujata: Kaisa hai maahra chhora? Dekho to jijji kitna dubla ho gaya..aaja thaare ko kuch khila du pehle..
Aditya: arey maa par..
Sujata: tu chal maahre saath chup chaap..
Ap: Accha ragini tum ek baar dekh lo ki sab theek se ho raha hai yaa nahi..
Ragini: ji maa..

Ragini was in a completely confused state.. She doesn't know either she should be happy or scared.. She looked around.. The house was actually being decorated.. She came in her room.. She sat down on the bed and thought with so many questions in eyes..

Ragini: (To herself) Laksh sachme bhai ki swara se shaadi karwa rahe hain..? Nahi.. Wo aisa kyu karenge..? (Grinded teeth) Wo to kisi ki khushi bardaasht kar hi nahi sakte.. Unke jaise matlabi insaan ko indono ki shaadi karwa kar kya milega..? Haan ragini.. Tum sahi soch rahi ho.. Inn sab ke piche zarur koi aur wajah hai.. (Confused) Lekin…kya….?

Just then…

Laksh: Khud se baate kar rahi ho? (She looked up getting her eyes big..he came to her…smirked) Sahi soch rahi ho tum.. (Sat down on bed beside her) In sabke piche kuch aur hi wajah hai..
Ragini: (looking at him with fires in eyes) Jaante hain hum.. Aap aise to hai hi nahi ki kisi dusre ko koi khushi de sake..
Laksh: Exactly… Anyways.. (He took out two small ring boxes and opened them infront of her) Ye rings kaisi hain?

Ragini looked at the rings.. Confused..disturbed..and then she looked up at him..

Laksh: Arey swara aur sanskaar ke liye hain.. I hope unko pasand aa jayengi..
Ragini: (irritated) kyu kar rahe hain aap ye sab? Karna kya chaahte hain aap?

Laksh looked at her.. Half raised eyebrows with a smirk.. He came closer to her putting his hands on the bed keeping her in between and she backed off turning her face.. He brought his face to her ears and wispered..

Laksh: (smirked) bohot kuch.. (Remoced her hair flick softly and put that behing her ear) Infact sab kuchh.. (Ragini was breathing fast..and he chuckled getting back) Par abhi nahi.. (Ragini looked at him) Kyunki abhi to swara aur sanskaar ki engagement hogi..waise wo dono kab aa rahe hain..?
Ragini: (got up) nahi aa rahe wo..
Laksh: (shocked) Kya? (Got up) Par kyu? Maine unse kaha tha na aane ke liye phir?
Ragini: wo yaha aa jaaye taaki aap phir unki beizzati kare.. Swara ko phir se rone ke liye chhod de..? Humare bhai ko phir se maare peete..?
Laksh: ragini aisa kuch nahi hoga..

Ragini smirked a bit in disbelief.. She then got her expressions of anger back and moved ahead crossing him..but he held her hand..pulled her to himself.. She bumped into him with a shock..he was looking quite angry..

Laksh: (grinding teeth) Ragini main keh raha hu na aisa kuch nahi hoga.. Main sachme swara aur sanskaar ko ek karna chaahta hu..
Ragini: (pushed him getting seperated) Hum maan hi nahi sakte ki aap…
Laksh: tumhari kasam.. Tumhari kasam ki main unhe dil se ek karna chaahta hu.. Aur main saari duniya ki jhoothi kasam khaa sakta hu par tumhari nahi..
Ragini: Kyu? Kaise maan le hum ki aap humari jhoothi kasam nhi khaa sakte..?

Laksh was looking at her like that.. But then he came forward and held her hands in his hands softly..

Laksh: Because I love you.. I seriously love you so much ragini.. Bohot pyaar karta hu main tumse.. Pata nahi kab kaise..par beintehaan pyaar ho gaya hai mujhe tumse.. (Ragini got her eyes teary while looking into his eyes that were full of emotions) Ragini maine aaj tak sirf khud se pyaar kiya tha.. Lekin aaj tumse karta hu.. Khudse..sabse..kisi se bhi zyada pyaar krta hu main tumse.. Bass tumse.. Pata ni ye sab kab hua.. Par ab to ho gaya.. I love you.. Tum meri ho..aur ab to tumhe khone ke khyaal se bhi darta hu main.. To phir tumhari jhoothi kasam kaise khaa sakta hu ragini? Khud hi soch kar dekho.. Jis insaan ke har pal me tumhara khyaal ho.. Jiski har saans me tumhara naam ho.. Jiski har dhadkan me tum basti ho.. Wo tumse alag hone ke baare me soch bhi kaise sakta hai..

Ragini was just looking at him.. His eyes were full of intensity and emotions.. This was something she had never seen in his eyes..She knew that he can't false sweare of her.. Her tears dropped down from her big stunned eyes and then she somehow removed her eyes from him and snatched her hands back.. Laksh was looking at her.. She wiped her face..

Ragini: (without looking at him) bharosa kar rahe hain aap par.. (She looked at him)
Ummeed hai aap humara bharosa nahi todenge..
Laksh: (smiled) Never jaan.. (Smiled more) chalo ab jaldi se phone kar do swara sanskaar ko..

Ragini removed her eyes and nodded in yes.. Then she picked up her phone and called sanskaar..

Sanskaar: hello..haan laado.?
Ragini: Bhai aap.. Swara ko leke yaha aa jaaiye..
Sanskaar: You sure? Matlab sab theek hai?

Ragini looked at laksh.. He was looking at her smiling..

Ragini: abhi tak to sab kuch theek hi lag raha hai..
Sanskaar: Theek hai.. Main aur swara pahonch rahe hain..

Ragini ended the call..

Ragini: (looked at laksh) Wo aa rahe hain..
Laksh: (took a sigh) Oh.. Thank god..

He turned back to go just then ragini held his hand..

Ragini: Laksh..

He stopped.. He looked at his hand..smirked.. Then looked at her..she realised it and left his hand immediately..

Ragini: Wo hum soch rahe the ki aapke gharwale.. Humara matlab hai ki aapke papa aur chacha ji humare bhai ko accept karenge..
Laksh: (smiled) kyu nahi karenge..? Tumhe bhi to accept kiya na?
Ragini: Humari baat alag thi.. Wo to aapki wajah se… Humara matlab hai ki wo nahi manenge..
Laksh: Maanenge.. Zaroor maanenge.. Unhe maanna hi padega..
Ragini: Kaise..?
Laksh: Jaise humari shaadi ke liye maane the waise..(smirked) you just wait n watch..

Then he winked at her and went out of the room.. Ragini was still worried.. she came to the main hall after him..Durga prasad and ram prasad also came back from office..they were also surprised to see the decorated house..

DP: (looking at laksh) Ye sab kya hai laksh.. ? Anpurna ne bataya ki tum kisi party ki baat kar rahe the..? Ye achaanak se kaun si party yaad aa gayi tumhe?
Laksh: Haan.. Papa.. Wo main aap sab ko kuch batana chaahta hu..
Ap: Batao laksh.. Hum intezaar kar rahe hain..
Laksh: Maa..wo baat ye hai ki.. Maine socha hai ki ab meri shaadi ke baad hume swara ki shaadi ke baare me bhi sochna chahiye..
Sujata: Haan.. Je to bilkul theek kaha taine laks.. Na..jijji.. Maahra laks kitna samajhdaar ho gaya na saadi karke.. ?
Laksh: (a bit irritated) Chaachi main humesha se hi samajhdaar tha..
Sujata: (smiled) Haan bo to tu tha hi lekin saadi ke baad jyada ho gaya naa..
Laksh: (irritated) chachi aap bhi naa..
Dp: Haan…to laksh..tum kuch keh rahe the?
Laksh: Haan papa.. Main swara ki shaadi ki baat kar raha tha..
Ap: Laksh.. Aaj achaanak swara ki shaadi..?
Laksh: Maa aaj mujhe feel hua ki.. Swara ki life me ek adhura pann hai.. Wo adhura pann tabhi dur hoga jab uski shaadi hogi.. Wo bhi ek aise insaan se jo ussey bohot pyaar karta ho..
Ap: bilkul theek kaha tumne laksh..

Laksh smiled.. Ragini was still worried..

Ram prasad: Wo sab to theek hai.. Par tune abhi se itti sajaabat kaae karba di? Abhi to ladka bhi na mila hai..
Laksh: Maine apni behen ke liye ladka dhoondh liya hai chacha ji..

Everybody got shocked..

Dp: Laksh..saaf taur par batao ki tum kya chaahte ho? Aur kis ladke ki baat kar rahe ho?
Ap: Haan laksh.. Hume batao kaun hai wo ladka.. ?
Laksh: Ji maa..

He turned back to ragini..and asked her in expressions.. She nodded in yes a bit still being worried.. And then she look out at the centre of the stair cases..engulping..laksh also looked up following her.. And swara entred with sanskaar's hand in her hand..every body got stunned.. Shocked… Laksh smiled and turned back..

Laksh: Papa..maa..chacha ji..chachi.. Main jaanta hu aap log sanskaar ko dekh kar shocked ho.. Lekin.. I think..hume swara ke liye sanskaar se better koi ladka mil hi nahi sakta..

Then he turned back.. Ragini got nervous but laksh smiled.. He went upstairs and held swara's hand..

Laksh: Arey tum dono yaha kya khade ho? Chalo andar..

He took both of them downstairs ans was about to take them ahead in the main hall just then..

Dp: wahi ruk jaao laksh..

He stopped in shock… Ragini also got stunned..swara was nervous and so was sanskaar..

Dp: Tumne soch bhi kaise liya ki hum swara ki shaadi is sanskaar se..
laksh: Papa lekin kyu? Kya problem hai sanskaar me..?
Ram prasad: (angry and coming to sanskaar) arey iski itni himmat ki ye meri beti ke sath..

Laksh came in front of ram prasad to defend sanskaar..

Laksh: nahi chacha ji..

Ragini was so shocked.. Lakah was defending her brother sanskaar? Really?

Ram pasad: laks..tu pare hat jaa.. Je chhore se maahri beti ki saadi karwane ke baare me to main soch bhi nahi sakta..
Laksh: Kyu nahi soch sakte chacha ji..? jab main apni marzi se apne pyaar se shaadi kar sakta hu to swara kyu nahi? papa aap btaiye mujhe.. Kya aap apne baccho ko aisi zindgi dena chaahte hain jisko wo jiye to sahi..lekin majboori me..? Papa.. Aapne meri shaadi bhi to hone di na Ragini se..? Toh phir swara ki kyu nahi…?
Sujata: Hey bhagbaan.. Na..tune ke soch rakha hai laks? Je ghar ke saare phaisle tu lega? Na hum bade log marr gaye hain?
Laksh: Chaachi agar main aisa sochta to swara aur sanskaar ki shaadi ke liye aap logo ko nahi mana raha hota.. Balki kabki inki shaadi karwa ke swara ko vida kar chuka hota..
Dp: Laksh tum acchi trah se jaante ho.. Swara aur sanskaar ki shaadi kyu nahi ho sakti? Tum apni behen ki shaadi ek naukar se kaise karwa sakte ho?
Laksh: Papa.. Aap shayad bhool rahe hain ki jab mujhe ragini se pyaar hua tha aur jab maine ussey shaadi ki thi tab wo bhi iss ghar ki servant hi thi.. Jab aap apne bete ki khushi ke liye uski shaadi ek servant se karwa sakte hain to main apni behen ki shaadi kyu nahi karwa sakta?
Ram prasad: Kyunki shaadi ke baad teri beendni ki haisiyat badal gayi.. Wo iss ghar ka hissa bann gayi.. Lekin je baat dusri hai.. Shaadi ke baad sanskaar ki haisiyat na badalegi.. Je naukar tha aur naukar hi rehbega..
Laksh: Accha.. To baat sirf haisiyat ki hai.. Theek hai chacha ji.. Aapki iss problem ka bhi solution bhi hai mere paas.. (Looking at ragini) ragini.. Main abhi jo office se file leke aaya hu wo leke aana please..

Ragini was worried she nodded in yes with teary eyes.. Then she went up and brought the file.. Laksh took out a pen and signed some pages from the file..

Laksh: Ye lo chacha ji.. (Looked up) Aaj se sanskaar meri company me aditya ka partner hai.. aaj se sanskaar meri company me as a finance manager kaam karne wala hai.. (Everybody got shocked and stunned even swaragini and sanskaar himself) Bass? Ab to theek hai?
Ram prasad: Thaara dimaag kharaab ho gaya hai ke laks?
Laksh: Nahi chacha ji.. Infact ab samajh aa gaya hai mujhe.. Suppose aapne swara ki shaadi kisi aur se karwa di to kya wo khush reh payegi… Zabardasti ki shaadi se naa to wo khud khush reh paayegi.. (Looked at ragini with eyes full of emotions) aur naa hi uska pati.. (Looked back at ram prasad) aur wo swara se pyaar nahi karta hoga to ultimately wo swara ko chhod dega.. Aise rishte banane se kya fayda chacha ji.. Main jaanta hu ki meri behen ko sanskaar se zyada pyaar karne wala koi nahi milega..
Dp: Laksh..hum tumhari baat samajh rahe hain lekin..
Laksh: Papa lekin wekin kuch nahi.. Meri behen ki shaadi ussi insaan se hogi jisse wo pyaar karti hai.. Aur jo ussey pyaar karta hai.. Main karwaunga swara aur sanskaar ki shaadi.. Aaplogo se main bass request kar sakta hu ki agar aap usko uski nayi zindgi ke liye aashirwaad denge to hume bohot khushi hogi.. Otherwise.. Shaadi to hoke rahegi..
Swara: (crying..coming to dp) bade papa.. Please.. Please.. Aisa mat kijiye please.. Aapke aashirwaad ke bina main apni nayi zindgi kaise shuru kar paungi? Bade papa please.. (She held his hand in hers and started crying putting her forehead on hands) please..please bade papa…

Durga prasad thought for sometime.. Anpurna and sujata were crying.. Ragini was also crying.. Just then durga prasad put his hand on her head.. She looked up at him and he carresed her hair..

Dp: Maana ki hum sakt hain..lekin patther dil nahi..hum tumhari shaadi sanskaar se karwane ke liye taiyaar hain..
Ram prasad: Lekin bhai sa…
Dp: Ram.. Hum bade hai.. Aur baacho ke acche bure ka faisla lene ka haq hume hai..lekin sirf tab tak jab tak wo khud ye faisle lene ki zimmedaari naa samajh paaye.. Aajtak hum apne baacho ki zindgi ke faisle lete rahe.. Lekin ab jab humare bacche ye faisle khud lene lage hain to hume bhi ehsaas ho gaya ki ab wo apni zimmedaari khud utha sakte hain.. Aur raha sawal sanskaar aur swara ka to hum ye samajhte hain ki swara ki khushi sanskaar ke saath hai.. Theek ussi trah jaise laksh ki khushi ragini ke saath thi.. Agar hum apne bete ki shaadi uske pyaar se karwa sakte hain.. Agar hum apne bete ko pyaar karne ka haq de sakte hain.. To apni beti ke saath bhedbhaav kyu karenge..? Humari beti ko bhi pyaar karne ka haq hai.. (He went towards sanskaar) sanskaar.. Kabhi tum humara dahina haath hua karte the.. Laksh ke baraabar ka darja diya karte the hum tumhe lekin uske baad jo humne tumhare saath bohot galat kiya.. (Joined his hands) uske liye hum behad sahrminda hain..
Sanskaar: (held his hands) arey bade papa ye kya kar rahe hain aap?aisa mat kijiye aap mujhse bade hain..aisa mat kijiye.. Aapne humesha ek pita ka pyaar diya hai mujhe.. Aur mere pita mujhse maafi maange.. Ye main hone nahi de sakta..

Dp held his shoulders and hugged him.. Every body smiled…ram prasad came to them..

Ram prasad: Dekh chhore.. Waise to maahre ko tu bilkul bhi pasand naa hai.. Lekin tujhpar bhai sa ne bharosa kiya hai to theek hi hoga.. Isliye thaare haath me apni beti ka haath dene ko taiyaar ho raha hu..

Sanskaar joined his hands..

Sanskaar: baba main aapka vishwaas to nahi jeet sakta..lekin aapko itna zaroor yakeen dila sakta hu ki aapki beti ko kisi cheez ki bhi kami mehsus nahi hone dunga.. Apni palko par baitha kar rakhunga usey..
Ram prasad: Je pakki baat hai?
Sanskaar: Ekdum pakki baat hai..
Ram prasad: (smiled) to phir aaja..

He opened his arms and hugged him.. Then swara came to ram prasad and he hugged her too.. Everybody seemed to be happy.. Even ragini she smiled happily with tears in eyes.. Laksh was happy to see ragini happy.. Then swara and sanskaar took blessings of anpurna and sujata too..

Laksh: Arey ab bass karo ye rona dhona..otherwise baadh (flood) aa jayegi yaha.. Mujhe to koi problem nahi hogi coz mera room to upar hai..problem to aapko hogi chaachi.. Aapka room hai neeche..
Sujata: (worried) hey bhagbaan..rona band karo sabke sab.. Na..agar baadh aa gayi to maahre saare kamre me paani ghus jaabega..

Everybody laughed..

Laksh: (looking at DP) papa..maine ye sab decoration isliye karwayi thi taaki hum abhi ke abhi sanskaar aur swara ki engagement karwa de..
Dp: Theek hai laksh.. Anpurna.. Swara aur sanskaar ki sagai ki taiyaari kijiye..
Ap: Ji..
Laksh: aap log uski chinta mat kijiye maa papa.. Maine sabhi arrangements karwa diye hain.. (looking at ragini) Ragini.. Tum swara ko le jaake ready kar do..
Ragini: Ji..

She took swara and went upstairs in swara's room to get her ready..

Laksh: (looking at sanskaar) sanskaar.. Chal.. Tu bhi ready ho jaa..

Sanskaar nodded in yes..and they went upstairs to his room too..
Then..
Laksh came with sanskaar.. Laksh (golden coloured nehru kurta with red coloured design at the collars and button strip and red colored paijaami.) Came dowanstairs with..sanskaar (blue coloured kurta with white coloured pathani salwaar under it) They came in the main hall.. Everybody seemed to be happy..

Ap: Chandan.. Jao..ragini se bolo ki swara ko lekar neeche aa jaaye..
Chandan: Ji badi maa..

@Swara's room..
Ragini was getting swara ready.. She was still worried.. She put the dupatta on swara's head.. Swara was noticing her..

Swara: Ragini tum khush nahi ho?
Ragini: Nahi swara.. Aisi baat nahi hai.. Bohot khush hain hum.. Hume bass..bass darr hai ki iss khushi ko kisi ki nazar naa lag jaaye..
Swara: aisa kyu soch rahi ho..?
Ragini: Swara hum sach bole to..hume abhi bhi laksh par bharosa nahi kar paa rahe hain.. Wo aur tum dono ki shaadi..humara matlab hai ki.. Wo jo bhi karte hain.. Apne matlab ke liye karte hain..
Swara: Ragini.. Tumne khud dekha naa ki bhai ne kaise sabhi gharwaalo ko is shaadi ke liye manaaya.. Aur to aur..sanskaar ko apni company itni acchi post dene ke liye papers sign kar diye unhone.. Sanskaar ko sabse defend kiya.. Aaj humari sagai ho rahi hai to sirf unki wajah se.. Jaanti ho na?
Ragini: Hum jaante hain swara lekin…

Just then the door knocked.. They turned back to see out and saw chandan standing..

Chandan: Bhabhi..badi maa ne kaha ki swara did ko leke neeche aa jaiye..
Ragini: Hum aate hain..

He went from there..

Ragini: Chalo swara..
Swara: Haan chalo ragini.. Jaldi chalo..
Ragini: (stopped) ek minute.. (Teasing) Badi jaldi hai…

Swara blushed and they both laughed a little.. Then they went out of the room and Then they came from the upstairs..

Sujata: (smiled) aa gayi..

Laksh turned back and saw ragini wearing a red coloured saari with with golden zari work on it..swara came wearing a light pink colored saree..everybody was looking at swara.. But laksh was just staring at ragini..

Ap: kitni sundar lag rahi hai na?
Laksh: (mesmerised) Haan… Aur iss laal rang me to aur bhi zyada khubsoorat lag rahi hai…
Ap: (looking confused at him) par usne to gulabi rang pehna hai..
Laksh: (still looking at her) maa aapki eye sight weak ho gayi hai? Usne laal rang ki saree pehni hai..

Anpurna looked at both of them and saw ragini wearing red..

Ap: (laughed) laksh… Hum ragini ki nahi swara ki baat kar rahe the..
Laksh: (looked at ap..embarrased) Oh.. Uh… Haan.. (Smiled) Wo bhi acchi lag rahi hai..
Sujata: Thaara chhora baawla ho gaya hai jijji..

He blushed..Ragini and swara reached the main hall.. She made swara to sit near sanskaar..then she came to stand near anpurna.. And on anpurna's other side laksh was standing..

Ap: Ragini….(ragini looked up a bit smiling) tumne aisa kya jaadu kiya hai humare bete par jo isey tumhare siva aur kuch dikhna hi band ho gaya hai..?

Ragini's smiled slowly got shorter..she looked at laksh.. He was looking at her smiling.. While AP was just looking at her.. Then sujata called anpurna to swara..and she went from inbetween them.. Now only they two were standing together.. Laksh was still looking at her.. ragini removed her eyes being a bit embarassed.. Laksh smirked seeing this and he came nearer to her..

Laksh: (looking at swasan) Maa bhi kaisi baate karti hain.. (She looked at him again..and he looked at her too) I mean how can she think ki tumhe kisi ko apna deewana banane ke liye jaadu ki zarurat padegi.. (Looking into her eyes deeply with mesmerised smile) Tum to apni qaatil nazro se hi se hi hazaro qatl kar sakti ho..

She got her eyes bigger.. He smirked..and she removed her eyes.. Just then..

Ap: Ragini..beta wo sagai ki angoothiya'n le aao..
Ragini: ji maa..(offering a hand to laksh..without looking up) Laaiye..dijiye..

Ragini looked up at him..Laksh smiled and nodded in yes.. Then he put his hand in his pocket.. And his expressions changed…ragini got worried.. Laksh put hands in his another pocket..getting a little panicked..

Ragini: (worried) kya hua? Kaha hai angoothiya'n?
laksh: (a bit confused and shocked) Abhi to meri pocket me hi thi..
Ragini: Toh ab kaha chali gayi..
Ap: Kya hua laksh..ragini..angoothiya'n laao..
Laksh: Maa wo room me reh gayi hai shayad..hum leke aate hain.. Chalo ragini..

He held her hand and dragged her upstairs..they both came in the room.. And started searching for the ring boxes in drawers and cupboards..

laksh: Yaar maine khud select ki thi wo rings..bina rings ke sagai kaise hogi…?
Ragini: (realised something and she stopped..she looked at laksh) hume pata tha.. (Laksh stopped..Coming to laksh..he looked at her confused) pata tha hume ki aap aisa hi kuch karenge.. Warna aap humare bhai ke itne shubh-chintak kabse bann gaye..? Itne acche aap kaise ho sakte hain..? Aap aise hi hain..dusro ki khushi bardaasht nahi hoti aapse.. Humare bhai ki muskurahat sehn nahi hui aapse to aapne unki angoothiya'n hi ghuma di..?
Laksh: (smirking at her) bass.. Bol liya tumne yaa kuch aur bolna baaki hai..? Khatm ho gaya? Ab main bolu?

Ragini looked at him in anger..but then she removed her eyes.. She was totally frustrated..laksh came to her.. And lift her face up to make her look up…by holding her chin with a hand..she looked at him..

Laksh: Meri pyaari si wife ragini.. Main tumhare bhai ka shubh-chintak bilkul nahi hu.. Haan..main selfish hu.. Jo kuch bhi kar raha hu..apni behen ke liye kar raha hu.. Meri behen ki khushi tumhare bhai se hai isliye undono ki shaadi karwa raha hu.. Bass.. By the way hume late ho raha hai.. Main ring leke aata hu.. (He smirked)

Laksh left her face and went in washroom..then he took out the ring from the previous clothes he was wearing.. came out to ragini.. And showed her the ring boxes.. Opening them..

Laksh: Lo madam.. Ye rahi rings..
Ragini: (picked up the boxes) Ye..??? aapko pata tha ki ye kaha hai to ye sab naatak kyu kar rahe the?
Laksh: (chuckled) Wo main tumhe apne acting skills dikha raha tha..

Ragini looked at him a bit angrily..and frutrated..

Laksh: Kya? Aise kya dekh rahi ho? Accha baba..main bhul gaya tha.. Ab har time mind me tum rahogi to ye chhoti chhoti cheezo ka khyaal kaise rakhunga..? Chalo ab.. Sab wait kar rahe hain..

Then she removed her eyes and they went downstairs to the main hall.. Ragini and laksh handed over the rings to sanskaar and swara.. then swara slided the ring on sanskaar's finger.. And after that sanskaar did the same on swara's finger.. Everybody were happy.. And clapped for them.. Laksh saw ragini and she was smiling and was looking happy seeing swasan..laksh also got happy seeing them.. After that Aditya played music.. Laksh held swasan's hands and dragged them to centre of the main hall..they initially blushed but then they danced.. Then he dragged Anpurna and Durga prasad in the middle.. After that he dragged..Ram prasad and aditya….

Sujata: Arey maahre ko bhi to leke jaa laks..
Laksh: Arey chaachi aapko to main utha ke leke jaaunga..

He picked up her in his arms…

Sujata: (beeating him) arey chhod maahre ko besaram..

He put her down in the middle of the group and everybody were laughing..

Laksh: Arey chaachi bohot bhaari ho aap…
Sujata: Chup kar.. Na jijji thaara chhora..
Laksh: Arey nahi mazzak kar raha hu.. Meri chaachi to duniya ki sabse slim ladki hai..

Sujata smiled blushing.. And everybody else laughed.. Only ragini was left now.. Laksh then looked at her.. She was nervous as she knew that now he would drag her to dance.. She smiled a bit nervously removing her eyes…He then came to her with a smirk and held her hand.. She looked at him getting her eyes bigger..

Laksh: (smirking) Ab humari baari hai.. Chalo..
Ragini: (pulled her hand back) Nahi.. Hume nahi karna dance..
Laksh: lekin kyu? Tum apne bhai ki khushi me khush nahi ho?
Ragini: hum khush hai lekin..

Ap looked at them and saw them talking standing seperated from all of them..Then she came to them..

Ap: Accha..hum sab ko waha bhej kar dono yaha akele me waqt bita rahe ho..? Maaf karo lekin abhi ye nahi chalega.. (Held their hands) abhi tum log bhi humare saath dance karoge..

Ragini faked a smile looking at her nodded in no.. Then she looked at laksh and he smriked.. And AP dragged them to dance.. DP and ram prasad went from there nd sat aside..Raglak came in between.. Ragini was happy seeing sanskaar happy.. Just then she felt laksh hand on her waist.. She looked down at the hand and then at laksh.. He came infront of her.. With a mesmerised smile.. Then he held another hand of hers in his left hand and lifted it up.. Then he slided his hand on her bare waist to her back and pulled her closer.. She got bumped into him and now they were standing in a perfect dancing pose..looking into eachother's eyes..his eyes were full of passion.. And her eyes were full of nervousnes… And then……

Precap- RagLak romantic dance on 'mujhe pyaar karo'
RagLak – war me pyaar.. Pyaar me war.. :p 😀

plssssssssss comment

Share
Published by