Fan Fiction

RagLak ff by vini – Tum mere Ho (Part 2)

Hi guys.. a big big thank you to all of you from me, vini.. for appreciating and liking my FF Tum Mere Ho so much.. ? So now here’s the next part of the FF..keep reading and enjoying.. ?

<3 TUM MERE HO <3
By #Vini
★Part-2★
Laksh (black shirt…black pant..brown blazer) came to a historical place with amar and jeet..laksh was wearing goggles..wasn't looking interested in roaming there..and jeet was just staring girls around..

Jeet: OMG.. Just look at her..
Laksh: (a bit frustrated) Jeet..tu yaha ghumne aaya hai yaa ladkiya'n dekhne aaya hai..?
Amar: Haan yaar.. Kya tu bhi jeet..
Laksh: Main to bore ho raha hu..
Jeet: Abey oh.. Pehle hi itni aarti kar ke laaye hain tujhe hotel se..
Laksh: Haan.. Issey to better hota ki main hotel me hi rukk jaata.. Yaha se zyada khubsoorat sights to humare room ki balcony se dikhti hain..
Jeet: Really?
Amar: Come on yaar.. Chalo.. (Looked at a food corner) waha chal ke kuchh khaa lete hain..
Laksh: No yaar.. Let's go back to hotel..
Jeet: Chal naa.. Bhook lag rahi hai..
Laksh: Kya..? Abhi abhi lunch kiya hai humne.. Chalo wapis hotel ab..
Amar: Aisa kya hai hotel me? Come on lucky… Tujhe bhook nahi hai tu mat khaana.. Hume khaane de.. Chal..
Jeet: Haan please chal naa..

And laksh made a frustrated face but..

Laksh: Ok..chalo..

And then they moved to the food counter.. They entered in and sat down on a set of table chair.. Jeet went to get something for them but laksh denied.. Amar and jeet then got their food items and they started eating..

Jeet: Lucky.. Le naa..
Laksh: No thanks.. Ab jaldi bharo..

Amar and jeet started eating… While laksh looked around removing his frustrated eyes.. But then his eyes stipped on someone.. Ragini..who was sitting with tanu.. Laughing.. talking.. Laksh got his eyes stuck on her again.. He put a elbow on the side arm of the chair and put a hand folding his fingers on his lips.. Staring her.. He was observing her.. She was so simple.. So gentle.. Very innocent.. He forgot the all world around and was staring her only..mesmerised.. She laughed.. She smiled.. Talked.. Then amar looked at laksh..

Amar: Lucky yaar bada ajeeb lag raha hai.. Hum khaa rahe hain aur tu.. (He was lost) lucky?
Laksh: (looked at him) hmm?
Amar: Kaha khoya hai bhai?
Jeet: Main batata hu kaha…. (Looked at tanu and ragini) Wo dekh..

Amar looked at them..now they trio were looking at them.. And they thought that he's staring tanu.. Then tanu and ragini got up and were going out of there..

Amar: dekhne se kya hoga bhai? Jaa jake chance maar..
Laksh: (smirked) Shakal dekh uski.. Hi bhi bolunga to Rone lag jaayegi..
Jeet: Accha.. Chal dekhte hain..

And he got up.. Ragini and tanu moved out.. And the boys came out too..then..

Jeet: tum dono ruko.. Main nayi girlfriend bana ke aata hu..
Amar: Par kaunse wali?
Jeet: Wo skirt wali.. Suit wali to sach me rone lag jaayegi..

Laksh smirked and jeet too.. Then he moved after them setting his hair while laksh and amar remained there.. And he came after tanu and ragini..

Jeet: excuse me.. Excuse me you two.. Oh tum..Miss skirt wali..

Tanu and ragini stopped.. They both looked at eachother..then they turned.. Laksh's eyes were on ragini only.. And jeet smirked at them..then he came forward..

Jeet: (to tanu) uff.. Heavenly beauty… Kab se dekh raha hu tumhe.. Badi khubsoorat ho.. No..actually you are too hot..
Tanu: What?
Jeet: yeah baby.. Look bade baap kaa beta hu.. Paisa hi paisa hai.. Be mine.. Paiso ki barsaat kar dunga..

Ragini was just observing him.. And laksh was observing ragini.. Then..

Tanu: No thank you.. (Got a bit nervous) Ragini.. Chalo..
Jeet: arey.. ? Kyu chalo..? Look.. Mere jaisa kahi koi nahi milega..
Tanu: Chalo ragini..

she held ragini's hand and took her with herself and they turned back going from there.. Laksh got a smirk..and amar too laughed..then..

Jeet: arey… Oh skirt wali..? Maan jaao yaar.. Accha chalo tum chhodo.. Oh miss suit wali.. Tum hi maan jaao.. Khubsoorat to tum bhi ho.. Arey trust me paiso ki barsaat kar dunga.. Din aur raat dono rangeen kar dunga tumhare.. Sunn rahi ho tum..?Arey Kya naam hai tumhara..? Ragini…..?

Ragini stopped.. Tanu stopped ultimately.. Laksh got surprised.. And jeet smirked.. Tanu looked at her shocked..and she turned back smiling at jeet.. Jeet smiled more.. Laksh was just amazed..it was something that was too strange.. And she came to jeet..

Jeet: Arey wah.. Apni uss morden friend se zyada intelligent to tum ho.. I understand.. Suit wali ladkiyo ke bhi to sapne hote honge.. Don't worry baby..main tumhare saare sapne poore kar dunga..

Ragini was smiling..but then…she slapped jeet hardly.. Jeet got shocked..laksh and amar were shocked too.. Same was tanu.. And jeet looked at her giving a deadly look..

Ragini: (angrily) Din rangeen hua? Haath hatao..dobara se maar dete hain taaki raate bhi rangeen ho jaaye.. Kya samajhte ho khud ko..? Bade baap ke bigde hue bete ho to poori duniya par raaj chalta hai tumhara? Nahi..tum jaise bade gharo ke bigde hue ladko ko theek karna aata hai hume.. (showed him a finger) Agli baar kisi ladki ko chhedne se pehle apne gaal ki iss laali ko..aur apne chahre ke iss udde hue rang ko yaad kar lena.. Samjhe?
Jeet: (angrily) How dare you…?
Ragini: (shouted more) shut up.. Ab iske baad tumne zara bhi badtameezi ki to hum shor macha kar bula lenge baaki logo ko.. Aur phir log tum jaise ladke ki kya haalat karenge uska tumhe andaaza bhi nahi hoga..isliye behtar hai ki chup chaap jaa ke apne iss gaal par koi cream laga lo taaki humari ungliyo ke nishaan chhup jaaye.. Chalo tanu…

She then turned back and went with tanu.. Jeet kept standing like that.. Laksh was just looking at ragini and there was a kind of smirk on his face..
After that..
In late evening.. Laksh was in his room with jeet and amar..they both were sitting on sofa while laksh was standing aside putting his elbow on the back of sofa..smirking..

Jeet: (angrily) uski itni himmat ki usne mujh par haath uthaya…
Amar: (laughed) abey haath uthaya hi nahi.. Thappad bhi maara..
Jeet: Stop it.. Its not funny.. Wo shayad jaanti nahi hai ki main kaun hu..
Amar: To kisne kaha tha us pe chance maarne ko..? Tu to skirt wali ke peeche gaya tha..
Jeet: Abey maine socha seedhi si hai.. Zyada se zyada kya hoga.. rone lagegi..
Amar: (laughed) par usne tujhe rula diya..
Jeet: Enough yaar.. Usey to main nahi chhodunga.. She will have to pay for this.. Lucky.. I want revenge yaar..
Laksh: Naam kya hai uska..?
Jeet: Ragini…
Laksh: (smirked) Ragini…
Jeet: Bhai.. Badla lena hai mujhe ussey.. (Grinded teeth) usey to main..
Laksh: Umm..hm.. No.. Tu nahi main.. Main dekhunga ab usey..
Amar: Dekh to liya bhai…Bohot khubsoorat hai wo..
Laksh: Hmmm.. Khubsoorat to hai..khubsoorat si mystery.. Jisey ab laksh maheshwari solve karega..ab to usey aur kareeb se dekhna padega..
Amar: Bhai Its not that easy..
Laksh: Laksh Maheshwari love challanges..
Jeet: Jo bhi ho lucky.. Tujhe mera revenge lena hai..
Laksh: Bade baap kaa bigda hua beta hu.. Dekhta hu wo mujhe kaise theek karti hai… Ab yaa to wo hogi..yaa main.. Ragini baby.. Laksh Maheshwari is coming..

He smirked..and jeet and amar too..
Next morning..
Laksh (grey jacket..grey lower) was in his balcony.. Exercising..but his eyes were only on ragini's balcony.. He was waiting to see her when she comes out.. He then stopped being irritated and looked at his watch..

Laksh: Kal to issi time nikli thi.. (Looked up at her balcony) Aaj kaha hai..

He then sipped his glucose and was waiting for her to come out.. But she didn't came out.. He got frustrated and came back in his room..

After sometime..
Laksh (black pant..black shirt and red velvet blazer) was setting his hair infront of the mirror..

Jeet: (came to laksh) bhai.. Kya socha hai tune…?
Laksh: (setting his hair) Pehle pehle pyaar se hi manaunga..
Jeet: Wo nahi maanegi..
Laksh: Manna padega usey..
Jeet: aur nahi maanegi to…?
Laksh: To utha lunga usko.. Par chhodunga nahi.. Tera badla le kar hi rahunga.. Tu bass chill kar..

After that..
Ragini (blue anarkali with a fish braid) was in her room sitting infront of the mirror setting her dupatta just then her door knocked.. She looked at it and moved to to it..she opened the door and saw..Sanskaar..a happy smile came on her face..and she immediately hugged him..

Ragini: Bhai.. Kaise hain aap? Aur itni der kyu laga di aane me..? (She broke the hug) Accha chaliye aaiye..
Sanskaae: (smiling coming in) kaisi hai meri laado..?
Ragini: dekhiye.. Bilkul waise ke waise hain hi hum.. Lekin aap.. Aap ko kya hua..itne kamzor kaise ho gaye aap..?
Sanskaar: (sat down on a sofa) Haan bhai.. Ab koi khyaal rakhne wala to hai nahi to ye hi haal hoga naa..waise ek baat bata..tu to keh rahi thi ki ek do din rukne wali hai yaha..to phir itni jaldi kyu bula liya mujhe?
Ragini: sach bataye? (Sat near him and held his hand) Hume yaad aa rahi thi aapki..to humne socha ki kal kaa saara dinn tanu ke saath bita lete hain taaki jald se jald aapko bula kar wapis apne ghar jaaye aapke saath…aur waise bhi jabse aapne wo surprise wali baat kahi hai tabse hum aur bhi excited hue jaa rahe hain.. Ab bass jaldi se kolkata le chaliye hume..

Sanskaar smiled and kissed on her forehead.. Then..

Sanskar: yaad to mujhe bhi bohot aa rahi thi teri.. Anyways.. Bag pack kar liya..?
Ragini: Haan.. Subah se wahi to kar rahe hain..
Sanskaar: Chalo phir.. Chalte hain..
Ragini: haan chalte hain par tanu aane wali thi humse milne..
Sanskaar: Lekin laado.. Hume late ho raha hai..kal bade papa ki meeting hai.. Wo laksh bhi nahi hai..sab kuchh mujhe hi arrange karna hai..
Ragini: Offo.. Accha..chaliye phir..

Sanskaar smiled.. And they started collecting the luggage..
After that..
Ragini and sanskaar were setting the luggage in the car.. Then..

Ragini: Bhai.. Hum ye room ki chaabi lauta kar aate hain..
Sanskaar: Hmm..jaldi aana…
Ragini: Ji..

Then she moved and walked to the PG reception.. And she returned to the keys to the PG owner..

Ragini: Ye lijiye.. Humne room khaali kar diya hai…
PGO: Haan ragini gadodiya..?
Ragini: Ji..Humare bhai aa gaye hume lene ke liye..
PGO: Accha.. Lekin tumse koi milne aaya hai.. Jaane se pehle milkar jaana..
Ragini: (confused) Humse milne..?
PGO: Hmm.. Jaao..wo waha waiting area me hai..

Ragini got a bit confused.. And she moved to the waiting area.. And saw… Tanu.. She looked at ragini..they both got smiles on their face and they both hugged eachother happily..

Tanu: Mujhse mile bina hi jaa rahi thi.. ?
Ragini: Nahi tanu..aisa ho sakta hai ki hum tumhe mile bina hi chale jaaye..?
Tanu: To.. Phir thodi der wait nahi kar sakti thi mera..

Ragini then started explaining her..and meanwhile laksh entered in the PG but he didn't notice ragini meeting tanu in the waiting area..

Amar: tu yaha kyu aa gaya lucky?
Laksh: Yaha hi hai wo..
Amar: Kaun?
Laksh: Ragini…
Amar: Kya? Par tujhe kaise pata?

Laksh didn't say anything and then..He came to the PG owner..

PGO: Ji?
Laksh: Iss PG me ek ladki rehti hai.. Mujhe ussey milna hai..
PG: arey bhai iss PG me bohot si ladkiya rehti hain.. Aapko kissey milna hai..
Laksh: Ragini.. Ragini se milna hai mujhe..
PGO: Ragini? Ragini to chali gayi…
Laksh: (shocked) what?
PGO: Haan.. Abhi abhi uska bhai aa kar le gaya usey..
Amar: kitni der pehle..?
PGO: Arey abhi..abhi chaabiya lautayi hai usne mujhe..
Amar: Lucky.. Wo baahar hi hogi.. Chal..

Laksh nodded in yes.. And they were about to move.. Just then..

PGO: ek minute.. (They both stopped) Ussey milne koi aaya tha.. Waiting area me hogi..

Laksh and amar then moved to waiting area and ragini was moving out from the other side.. Amar saw her..

Amar: Lucky.. Wo rahi.. Apni friend ke saath jaa rahi hai..
Laksh: chal..
Amar: Lekin lucky usey lene ke liye uska bhai aaya hai.. Wo bhi hoga..
Laksh: Toh? I don't care.. Main usey haath se jaane nahi de sakta..

And he moved after her.. He came out and moved his eyes around but his eyes stopped on something and he got shocked.. He saw ragini with sanskaar.. Amar also came after him..

Amar: Kya hua ab kyu ruk.. (And he also got shocked seeing them) Oh god.. Ye ragini sanskaar ki behen hai.. ???????

Laksh was just blank.. He was just looking at them.. Ragini then finally hugged tanu..

Ragini: Accha..apna khyaal rakhna..chalte hain..
Tanu: Tu bhi.. I'll miss you ragu..
Sanskaar: Bass bass.. Meri laado ko rulao mat..
Ragini: (laughed a bit..then) Bhai aap bhi naa..
Tanu: Sanskaar bhaiya.. Aap aur ragini aate rahiyega lucknow..
Sanskaar: Theek hai..aate rahenge hum..par pehle chale to jaaye.. Chale laado?
Ragini: Ji.. Bye tanu..
Tanu: Bye ragu…

Ragini then sat down in the car and sanskaar too..and then they went from there..

After that..
Laksh was sitting on sofa in his room.. While amar was telling about whole incidence to jeet..

Jeet: Kya baat kar raha hai..? Wo ragini sanskaar ki behen hai..tune pehle kyu nahi bataya lucky..?
Amar: Abey laksh ko bhi nahi pata tha..infact iski family me kisi ko bhi nahi pata ki sanskaar ki koi behen bhi hai..
Laksh: (lost with a mesmerised smile) Wo bhi itni khubsoorat..
Amar: Lucky to pagal ho gaya uske liye..
Laksh: Hmm… Ab to mujhe wo Ragini chahiye.. Kisi bhi haalat me chahiye..
Jeet: (came to laksh) lekin lucky.. Wo sanskaar ki behen hai to ye to problem ho gayi..
Laksh: Nahi yaar.. Infact saari problem solve ho gayi.. Ab to usey paana aur bhi easy ho gaya.. Wo to ab meri hai…
Amar: Bhai.. Jaisa lag raha hai waisa hai nahi.. Wo sanskaar.. Uske saath chhattis kaa aankda (deadly rivalry) hai tera.. Tujhe lagta hai wo tujhe apni behen ki taraf dekhne bhi dega?
Laksh: (smirked) Dekhne..? Usey khud apni behen ko mere pairo me daalna padega.. Coz laksh maheshwari ko rokna uss naukar ke bass ki baat nahi hai.. Aur ek baar ragini mujhe mil gayi to..
Amar: To..?
Laksh: (smirked widely) To mujhe bhi nahi pata ki main kya karunga.. (He chuckled.. Then) But anyways.. abhi hum wapis ghar jaa rahe hain..apna samaan pack karo..

Precap- What will laksh so now? will he get ragini so easily?

Leave comments and let me know how much you like this one? ^_^
This ff is not by me

Share
Published by