Fan Fiction

RagLak ff by vini Tum mere Ho part 18

um Mere Ho <3
By #vini
★Part-18★
All of the elders were sitting on the dining table for breakfast.. And ragini was (pinkish heavy zari lehenga with silver blouse and translucent pinvkish dupatta) was setting plates for everyone..

Ap: sujata.. Aditya??
Sujata: aane bala hai jijji..
Ap: Ragini… Laksh kaha reh gaya?
Ragini: j..ji maa.. Aate hi honge..

Then laksh (white shit..black jeans..brown coat) came from the upstairs with a smile..He was holding some papers in his hands.. From the other side aditya came.. Laksh stood in the main hall..

Laksh: (shouted) Chaachi aditya kaha hai?
Aditya: Bhai.. Peeche..

Laksh turned back and smiled.. Then he came aditya.. And put a hand on his shoulder.. Aditya was still angry on laksh for what he did to ragini..he looked at his hand on his shouler and then at his face with straight face..

Laksh: Maine tere liye ek bohot hi acchi opportunity nikali hai.. (Putting the papers forward to him) ye le..

He handed over the papers to him and turned back walking towards the dinning table..confused aditya started reading the papers.. Then laksh came to the dining table..just behind ragini and the moment she turned back she got bumped with him.. They both looked at eachother.. And laksh smirked.. Ragini took a look if somebody else saw this.. But nobody did..she then tried to go..but laksh didn't give her space..she tried to move to the otherside but he did same again.. he wasn't giving her space to go so she got irritated and looked up at him angrily.. He chuckled and gave way for her to go.. Then laksh pulled his chair back and was about to sit but aditya who was reading those papers got disturbed of something so he came forward..

Aditya: (confused) bhai ye kya hai?
Laksh: (turned back in a bit attitude) padha nahi tune?

Everybody got confused.. Even ragini and swara..

Aditya: (confused and shocked) aap mujhe aapki baadi ke paas wali company ka MD bana rahe hain?
Laksh: Haan.. Wo company ki zimmedaari ab tujh par hai..

Swaragini got shocked.. They both looked at eachother.. Then at laksh and aditya.. Sujata and anpurna got happy.. Dp and ram were confused…

Aditya: Par kyu bhai..? Main to..
Laksh: kyunki tu mera chhota bhai hai..
Aditya bhai main itni badi zimmedaari kaise sambhaal paunga?
Ram prasad: Haan laks.. Je chhote mote kaam ke darr se to ghar me baitha rehbe hai.. Je ke sambhaalega bo company?

Aditya got a bit hurt.. And laksh came to defend him..ragini was totally confused about what he is going to do by this..

Laksh: Chacha ji..zimmedaari badhegi to sambhaalna bhi seekh jayega..
Dp: Hume lagta hai laksh..tumhe ek baar soch lena chahiye..
Laksh: papa maine soch liya hai.. (Came to Aditya and held his shoulders smiling) main chahta hu ki ab mera chhota bhai bada ho jaaye..
Sujata: Haan aur kya.. Na..agar laks ko itna bharosa hai apne bhai pe to thaare ko ke dikkat hai? Maahre chhore ko kabhi aage na badhne denge je log..
Laksh: (turned back) chaachi aap chinta mat kijiye.. Main hu na..?? (Smirked) aur haan aditya…(turned back to him) tujhe aaj se hi apni post sambhaalni hai..so tu abhi chala jaa..
Aditya bhai.. Wo company to yaha se bohot dur hai..
Laksh: Haan dur to hai… (Being a bit tensed) Tujhe roz aane jaane me problem ho jayegi na?
Sujata: To ke hua.. Maahra aditya chala jaabega..
Laksh: ek kaam kar tu.. Tu apna samaan company ke paas wale apartment me hi shift kar le.. Aur weekends pe yaha aa jaya karna.. (Smiled) simple? But agar tujhse nahi ho payega to bata de.. Main kisi aur ko dhundhta hu…

Now ragini understood all his drama..

Sujata: arey nai nai.. Uski koi jarurat naa hai.. Maahra aditya baha reh lega? (Looked at adi with a hope) Haina? waise bhi to je apni naani ke ghar hi rehta tha pehle apne parivaar se dur.. Ab bhi reh lega..
laksh: so bol aditya? Is it ok? Dekh main tujhpe koi pressure nahi daal raha..
Sujata: arey bol na ke tu kar lega.. Soch kaae raha hai aditya..?
Aditya: Ok bhai.. Main kar lunga..
laksh: (chuckled) I knew it..I knew it that won't prove me wrong.. Aaja breakfast karte hain..

Then they both sat on their respective chairs.. Everybody seemed happy.. Except ragini.. She was in her thoughts..laksh looked at her.. In an evilish way..

Laksh: Ragini waha kya khadi ho…? Chalo aao..

Anpurna looked at her.. She also looked at laksh and then anpurna.. Then she came and sat down beside laksh.. Then they had their break fast.. After sometime aditya was ready to go with his bags..swaRagini were tensed and clueless.. Swara looked at ragini and she also looked at her.. Then they both looked out to bid a goodbye to aditya.. He took blessings from all the elders.. Then laksh hugged him.. After that he went towards swara to hug her.. Swara was looking at him with teary eyes.. He faked a smile… Then his eyes fell on ragini whose eyes were teary too.. Ragini looked at him.. Then she wiped her tears and went back in the house to her room.. He removed his eyes turning back and tears fell down from his eyes..then he wiped his tears.. sat in the car and drove away.. Laksh noticed this and smirked..

Dp: chalo laksh.. Ab hume bhi office chalna chahiye..
Laksh: ji papa.. Man car ki keys leke aata hu..

Laksh also went to his room.. He entered in and He saw ragini who was coming back from the balcony wiping her tears.. She looked up and saw laksh.. Her expressions got changed as she wanted to ignore him..

Laksh: (smirked and came forward to her) in kaatilaana nazro'n me ye aansu..pata nahi kyu par.. Aadat si hone lagi hai inki..
Ragini: (looked up with her teary eyes) bohot accha lagta hai na aapko..hume ye takleef aur ye aansu dekar..?
Laksh: (seriously) Tumhe bhi to bohot accha lagta hai..mujhe takleef dekar.. Mujhe tadpa kar.. By the way ye aansu? Aditya ke liye hain na? Oh shit.. Ab to wo chala gaya.. Ab to jab main office jaaya karunga to bhi tum dono saath me time spend nahi kar paaoge haina..?
Ragini: (shouted) laksh..!

Laksh: (shouted as well showing her a finger) chillao mat ragini.. Main acchi trah se jaanta hu ki mere peeche se yaha kya kuch hota hoga.. Tumse main itna pyaar karta hu.. Wo to dikhayi nahi deta tumhe.. Aur wo aditya.. Uske liye in aankho se aansu tapak rahe hain.. Kya matlab samjhu main iska?
Ragini: (being angry and crying) nahi laksh.. Ye aansu aditya ke liye nahi hai.. Ye aansu to aapki soch ke baare me soch kar aa rahe hain.. Khair.. (Wiping her tears) aapki jaise insaan ke dimaag me ye ghatiya soch ke siva aur kuch ho bhi sakta..

Laksh looked at her angrily.. Ragini moved a bit forward to go but just then he held her hand and locked her in his arms from behind.. She tried to remove his hands..

Laksh: (grinding teeth angrily..giving an fed up look..saying in her ears) bass ragini.. Now its enough.. Ab bohot ho gaya.. (She stopped) Ab aur ladna nahi chahta main..ab aditya nahi hai.. Ab bass tum ho aur main hu..aur Ab hum apne rishte ki nayi shuruwat karenge.. (He turned her and she stood straight facing him in his arms) Pati- patni ki trah.. Pyaar se..

Ragini got irritated so she removed her eyes and turned her head towards left..laksh looked at her smirking and brought his face to kiss her.. His nose touched her cheeks and she got a bit shocked.. She tried to push him back..just then swara's voice came.. " Bhai…..? Bade papa wait kar rahe hain.." Ragini pushed him away angrily…laksh got a bit angry and made an irritating face..

Laksh: (shouting) Aa raha hu..

He looked at ragini.. And she also looked at him.. Then he moved towards the drawer and took out the keys and went towards the door crossing ragini.. Ragini looked down and started adjusting her clothes.. Just then laksh came from behind.. He held her face and kissed tightly on her cheek.. Ragini got shocked and even angry she tried to remove his hands pushing him away.. And she did it.. Ragini looked at him angrily and he smirked..

Laksh: Bye baby… I love you..

He chuckled and then he went out of the room.. Ragini's anger turned into tears.. She tightly cleaned her cheek with her hand.. And took a sigh to control her anger.. Then she also went out..

After sometime..
@swara's room..

Ragini and swara both were sitting on the bed and were talking..

Swara: (amazed) Mujhe to ye samajh nahi aa raha ragini ki laksh bhai ko adi ka khyaal kab se aa gaya… Apni company ka MD bana diya usey..
Ragini: Tumhe lag raha hai ki unhone aisa aditya ke baare me soch kar kiya hai…? Nahi swara..unhone aisa isliye kiya hai taaki aditya ko iss ghar se alag kar sake..
Swara: par kyu?
Ragini: kyunki.. Unhe lagta tha ki jab wo office me hote the to hum unke peeche se aditya ke saath waqt bitaya karte the..
Swara: what?? Huhhhh… Mujhe kabhi kabhi bohot afsos hota hai ye sochke ki wo mere bhai hain..
Ragini: Tum wo sab chhodo swara.. Aur ab ye socho ki hum log sanskaar bhai ko kaise dhundhenge..
Swara: Haan ragini.. Ab jo bhi karna hai.. Hum hi dono ko karna hai..
Ragini: Haan.. Swara.. Par hum karenge kya..

They both started thinking for some idea..but then swara's eyebrows raised..

Swara: Ragini tum ek kaam kyu nahi karti..apni badi maa ke ghar call kar ke pata karo..kya pata uske baad sanskaar waha wapis aaya ho..
Ragini: haan swara.. Tum sahi keh rahi ho.. Hum abhi call karte hain..

Then ragini dialled a number.. again a lady picked it up..

Ragini: Hello..?
Lady: hello..ji kaun?
Ragink: Ji..hum ragini bol rahe hain.. Humne kuch din pehle phone kiya tha..
Lady: uhhh….haan..yaad aaya.. Haan bolo..
Ragini: Ji..wo hum puchna chaahte the ki wo sanskaar naam ke koi insaan aaye the kya waha badi maa ke jaane ke baad?
Lady: Nahi.. Koi sanskaar naam ka ladka nahi aaya..
Ragini: (got upset) Ji..theek hai.. Par agar aaye to hume phone karke bata dijiyega please..humara number likh lijiye..
Lady: Theek hai.. Ek minute ruko……haan ab bolo…
Ragini: 9874…….please..agar aapko kuch pata chale unke baare me to hume btaiyega..
Lady: Haan theek hai..

Then ragini ended the call.. Swara got upset..

Ragini: swara tum chinta mat karo.. Hum jald hi bhai ka pata laga lenge..

Swara's tears fell down looking at ragini.. Then she hugged her and they both cried silently..

@Raglak's room
Ragini came into the room and saw laksh standing near the bed and was looking into some papers and files… He looked up and smiled at ragini.. And came forward..

Laksh: Kaha thi tum..? Kitna kaam karti rehti ho.. (Held her arm to drag her to the bed) aao tumhe kuch dikhana hai..

Ragini was confused and angry on him.. So she pulled her hand back.. He got a bit upset..

Laksh: yaar tum aise kyu karti ho.?? Keh raha hu na kuch dikhana hai..

He again held her hand..tightly this time.. And dragged her to the bed.. And showed her the papers..

Laksh: (smiling) Surprise..
Ragini: (confused) ye kya hai?
Laksh: khud dekh lo..

She took the papers and started reading.. Laksh moved ahead crossing her..

Ragini: Ye to…
Laksh: Visa forms hain.. Tumhare.. In par jaldi se sign kar do.. So that hume jald se jald tumhara visa mil jaaye..
Ragini: (turned back..still confused) Par ye..ye kisliye..
Laksh: (turned back and came to her) Kyunki tum aur main paris jaa rahe hain..
Ragini: (shocked) kya?? Par kyu?
Laksh: Oh god… Ragini humari nayi nayi shaadi hui hai.. Aur shaadi ke baad har couple honeymoon par bhi to jaata hai.. Isliye hum bhi honeymoon par jaa rahe hain..paris..
Ragini: Honeymoon? Aur aapke saath..? (Smiled in a teasing way) Kabhi nahi..
Laksh: (in a bit anger) Mere saath nahi jaaogi to kiske saath jaogi…han?
Ragini: Hum kisi honeymoon par nahi jaana chahte.. (Putting those files in his hands..) Apne paas rakhiye ye papers.. Hum sign nahi karne wale..

She was about to go just then He held her arm angrily…

Laksh: (Angrily) Tum jaana chahti ho yaa nahi mujhe fark nahi padta.. Mujhe bass itna pata hai ki main tumhare saath honeymoon par jaana chahta hu.. Aur main jaunga bhi.. To ab batao ki tum pyaar se manne wali ho yaa main apne tareeke se manau?

Ragini turned back angrily…

Ragini: (determined) jo karna hai kar lijiye.. Par hum sign nahi karenge..
Laksh: (smirked) Ok.. Aur ab iske baad tum sign karogi.. Just wait and watch..

Ragini got a bit nervous about what he was going do…he smirked and dragged her towards the main hall..

Ragini: (walking behind him) kaha le jaa rahe hain hume? Chh..chhodiye…

Both of them reached the main hall.. Everybody were there… Sujata and anpurna were sitting on the sofa and were making garlands for the mandir.. Swara was sitting on the other sofa reading some magazine..and Durga prasad and Ram prasad were also sitting on the sofa discussing something.. Ragini got confused.. Laksh left her arm..he came forward and sat down on his knees near anpurna..

Laksh: Maa… Ek baat batao… Shaadi ke baad aap aur papa saath me baahar ghumne gaye the yaa nahi..?

Everybody looked at laksh..

Ap: (blushing) laksh.. Ye kya puch rahe ho?
Laksh: Arey isme sharmaane wali kya baat hai? Batao na..
Ap: (blushing and smiling) Haan gaye the..
Laksh: Aur chachi aap.. Aapko bhi to leke gaye the na chacha ghumne ke liye baahar..?
Sujata: (blushing) Haan.. (Suddenly her expressions changed) lekin tu maahre ko bo jaad naa dila.. Maahre to aansu hi aa jaabe hain..bo baat sochke..
Ap: Arey kyu?
Sujata: Arey jijji…thaare ko jaad naa hai.. Maahre ko ghumane leke gaye the.. Aur wahi bhul ke aa gaye the maahre ko ghar bapis…thaare ko pata hai laks.. Poore aadhe ghante tak bahi khadi roti rahi main.. Tab jaake inko khyaal aaya maahra..
Ram prasad: arey tu hi ghum ho gayi thi to isme maahri ke galti hai…?

Swara laughed a bit..

Sujata: Na..thaare ko ke hassi aa rahi hai chhori..? Aur aap na rehne hi do.. Socha hoga ki maahre se peecha chhoot jaabega to koi nayi beendni le aabenge..
Ap: Sujata..bass bhi karo.. Waise laksh..tum ye sab kyu puch rahe ho…?
Laksh: Maa.. Main ye sab isiliye puch raha hu kyunki ye jo aapki bahu hai na… Isko meri koi baat samajh me nahi aati..

Swara looked at ragini.. Ragini also looked at her in bit nervousness..

Ap: Kaisi baat?
Laksh: actually maa main ye visa ke papers laaya tha ragini ke liye..
Swara: (coming forward) visa ke papers..? Aaplog kahi baahar jaa rahe hain?
Laksh: (got up looking at her) haan.. Main chahta tha ki main aur ragini paris jaaye ghumne ke liye.. Humari shaadi itni jaldbaazi me hui ki..humdono ekdusre ko time hi nahi de paaye..

Swara got shocked and looked at ragini.. Anpurna got happy…

Sujata: arey thaara matlab bo ke kehbe hain..?haan hebi moon par?
Laksh: (laughed) heavymoon nahi chaachi honeymoon…
Sujata: haan bo hi..
Anpurna: haan to jaao..saath me waqt bitao..samjho ek dusre ko..kya dikkat hai..?
Laksh: Ab wo to aap apni bahu se puchiye.. Kyunki ye madam to jaane se mana kar rahi hain..
Anpurna: (got up and came to ragini) kya hua ragini? Kyu nahi jaana chahti tum ghumne..laksh jaa to raha hai na tumhare saath..
Ragini: (looked up at anpurna with nervousness) n..nahi maa.. Wo darasal.. Hum..hum chahte hain ki pehle hum ye ghar grahasti ko sambhal le..
Ap: (smiled) Uski tum chinta mat karo.. Wo to tum sambhal hi logi hum jaante hain.. Abhi to tumhari shaadi hui hai.. Aur tum dono ko ekdusre ke saath waqt bitana chahiye.. Ekdusre ko samajhna chahiye..(looked at Dp) haina ji..?
Dp: Haan ragini beta.. Anpurna bilkul theek keh rahi hain.. Jin halaato me tum dono ki shaadi hui hai uske baad hume lagta hai ki tumhe ekdusre ko samjhne ke liye sath me waqt bitana chahiye..
Ragini: Par..papa ji hum…
Ap: Ragini itna mat socho.. Aur chali jaao laksh ke saath.. Tumhe bohot accha lagega waha jaa kar..humara vishvaas karo..

Laksh came forward to ragini..

Laksh: meri baat nahi maanti to theek hai.. But ab kamse kam maa papa ki baat to maan lo ragini.. (Smiled) Please sign kar do..

He offered her pen and papers.. Ragini got hatred for him in his eyes.. She looked at the papers.. And then at anpurna.. Anpurna smiled..then she faked a smile to her and took the papers and pen..and looked at laksh..he smirked.. Then she hesistated for a while but finally signed on them..she handed over the papers back to him.. Laksh got happy seeing her sign..

Laksh: (smirking) thank you so much.. (Looked at anpurna) maa main ye forms submit karke aata hu..

Then he went out of the house.. Everybody got busy in there works again except swara..

Anpurna: Araam se.. (Laughed) ye ladka bhi na… Aao ragini..

Swara looked at ragini.. Ragini was a bit stunned.. She came forward and sat down near anpurna and sujata.. Swara also came and sat down with her..

Sujata: Jijji..ek baat bolu thaare ko?
Ap: haan bolo..
Sujata: (smiling) je laks pyaar to bohot kare hai ragini se..
Ap: Haan wo to hai.. Bohot khushi hoti hai usko khush dekh kar.. (Looked at ragini..and put a hand on her head) Bhagwaan tumdono ki jodi aise hi banaye rakhe..

Ragini got shocked hearing this..she looked up at anpurna and her eyes got teary seeing her releaved smile.. Then she looked down.. And wiped her tears.. Swara put a hand on her shoulder.. She looked up at her.. Swara slowly blinked her eyes to tell her to have patience.. And ragini nodded in yes..

Precap- RagLak ka honeymoon..! 😮 Laksh's growing love and care for Ragini.. RagLak's closeness.. <3

Share
Published by