Fan Fiction

RagLak ff by vini Tum mere Ho part 17

Part-17★
Door knocked when ragini was crying in her room.. She got alert and immediately wiped her face.. And opened the door with a fake smile.. Anpurna with maasi came to her..

Ragini: arey maa..maasi ji aap? Kuch kaam tha to hume bula lete..
Ap: nahi ragini.. Koi kaam nahi tha.. Bass jiji tumse milna chahti thi..
Maasi: Haan.. Apne laadesar ki beendni se milna tha maahre ko..

Ragini smiled nervously.. And a voice came from behind.. “Anpurna..?” Dp was calling her..

Anpurna: ji aayi.. Jiji aap ragini se baat karo hum inhe dekh ke aate hain..

Maasi smiled.. And she went out of the room.. Ragini was nervous and was looking down..

Maasi: bohot pyaar kare hai je anpurna apne pati se.. Tabhi to kitna khyaal rakhe hai unka.. Haina?

Ragini: (nodded in yes and looking down) Ji..
Maasi: (suspeciously) tu bhi kare hai maahre laadesar se pyaar?

Ragini looked up at her with big eyes.. She doesn’t understand what to say as maasi loved laksh a lot and if she says no she might get angry.. So she looked down and thought for a while..

Maasi: arey bol na?
Ragini: Ji.. K..karte hain..
Maasi: to phir..je itna sochne wali ke baat thi?
Ragini: J..ji wo..wo hu…
(Interrupted)
Maasi: kyunki jhooth bola tune.. Haina..(Ragini got shocked looking at her with big teary eyes and maasi was in slight anger) ekh beendni.. Main umar ke jiss padaav pe hu na.. Baha’n se sab dikh jaabe hai ki pati patni ke beech kaisa rista hai.. Aur tum dono ka rista.. Pyaar ka to na hai.. Je baat main acche se samajh gayi hu.. Maahre laadesar thaare se pyaar kare hai.. Par tu na karti wa se pyaar..(Ragini was looking down and her eyes were teary) Aur isliye laks ne jabardasti saadi ki thaare se..

Ragini was shocked hearing all this from her mouth she was stunned looking at her.. And tears started rolling down from her eyes.. Then maasi came forward to her and touched her face with her hand..

Maasi: Maahre ko kabhi beti ka sukh na mil saka.. To apni bahu ko hi beti bana ke rakha.. Maahra beta bhale hi aadarsh hai par ussey bhi zyada laadla maahra laks hai..aur hamesa se kaamna ki thi maine ki usey aisi beendni mile jo ussey pyaar kare.. Uska khyaal rakhe.. Par jo usne thaare saath kiya.. Wa galat hai.. Bilkul galat.. Dekh beendni.. Je maahra ghar naa hai.. To kuch kar to na sakungi main thaare liye.. Par.. Itna jarur kahungi ki saadi bohot pavitra bandhan hobe hai.. Kisi ke saath saat phere lena uske saath saat janam nibhane ka waada hobe hai.. Maahre laks ne thaare saath je phere liye hain to iska matlab to je hi hai ki bo thaare ko bohot pyaar kare hai.. Main maanti hu usne jo tareeka apnaya wa galat hai.. Par ab.. Ab to wa thaara pati hai.. Thaara suhaag hai.. Aur har suhaagan ke liye uske pati se badh kar kuch na hobe hai.. (Ragini’s eyes were crying continuously while she was staring at her) main bass..je hi bolne aayi thi thaare ko ki.. Thoda baqt lagega.. Par..thaare ko bhi pyaar ho jaabega laks se.. Wa thoda bigdail jarur hai..suru se laadla raha na sabka… Par dil ka bura naa hai.. Aur tera pyaar milega to sambhaal lega wa khud ko..

She smiled at her and put her hand on her head.. Then she went out of her room.. Ragini reminded the way her badi maa used to teach her such lessons..

[Ragini’s memory..

Ragini was sitting down on the floor infront of her badi maa who was sitting on the sofa and doing oil massage in her hair..

Ragini: Badi maa.. Geeta bua ke pati unhe bilkul ehmiyat nahi dete..unke hote hue kisi aur aurat se shaadi kar li.. phir bhi Geeta bua chup hain.. Unke khilaaf complaint karna to dur ki baat hai.. Wo to abhi tak apni maang me unke naam ka sindoor tak lagati hain..
Badi maa: wa pati hai uska isliye..
Ragini: pati hai to kya hua? Apni patni ke saath galat karne ka adhikaar mil gaya usko..
Badi maa: nahi aisa naa hai laado..
Ragini: to kaisa hai badi maa? Kyu itna kuch sehti hain wo?
Badi maa: kyunki saadi hui hai uski uss insaan se.. Dekh laado.. Aadmi chahe kitna bhi bura ho.. Par uski patni ke liye.. Wa uski duniya hobe hai.. Ek patni ke liye uska pati hi sabkuch hobe hai.. Jab thaari saadi hogi na.. Tab samajh aabega thaare ko..
Ragini: par humara pati aisa hua na to hum to usey chhod ke bhaag aayenge aapke paas..
Badi maa: dhatt.. Maahri laado ka pati aisa kaae hoga.. Maahri laado ka pati to bohot pyaar karega maahri laado se.. Bass ab jaldi se koi rajkumaar dhoondh ke saadi kar dungi apni laado ki..
Ragini: (turn back and placed her head in badi maa’s lap) nahi.. Hume nahi karni kisi rajkumaar se shaadi.. Hum to yahi rahenge.. Humesha apni badi maa ke paas..]

Ragini’S tears were rolling down from her eyes..

Ragini: (looking up at laksh’s photo and crying like hell) inse pyaar kare hum..? Inhe apni duniya bana le? Kaise.. ? (Grinding teeth angrily) jinki wajah se humare sabhi apne humse durr ho gaye..humari badi maa.. Badi maa humse bohot dur chali gayi.. Unhe apni duniya kaise bana sakte hain hum..? Pyaar ho jayega hume inse..? Arey pyaar ke laayak hai bhi ye? Nahi.. Aisa kabhi nahi ho sakta.. Ye humare pati nahi hain.. Aur naa hi kabhi bann sakte hain..

Then she wiped her tears being determined..and got up..

In the evening..
Everybody were standing outside to bid a goodbye to Maasi, aadarsh and parineeta.. As they were leaving.. Ragini and laksh were standing together.. And aadarsh and parineeta were touching feet of every elderly person..

Ap: Ragini laksh.. Chalo ab tum dono bhi jode se aashirwaad le lo jiji ka..

Laksh looked at ragini and ragini also looked at him.. Then he smiled at anpurna and nodded in yes.. They both came forward and touched maasi’s feet..

Maasi: jeete raho.. Tum dono ki jodi sada bani rahe.. (Smiling at both of them) doodho nahao pooto phalo..

Laksh ragini looked at eachother..while bowing down in her feet.. he smirked and ragini got a look full of hatred… Then they stood up.. Then three of them sat in a car and flew away.. All of the family members dispersed to go in..

Ap: Ragini laksh.. Chalo aao andar..

And laksh ragini also started walking in.. Then laksh looked at ragini..

Laksh: doodho nahao..pooto phalo ka matlab jaanti ho? (Smirked)
Ragini: (looking at him angrily) Nahi..
Laksh: (stopped and held her hand pulling her a bit..she bumped into him being shocked) Room me chalo.. Batata hu..

Ragini was disgust looking at him.. He chuckled.. She then pushed him snatching her hand and went in while laksh chuckled looking on at her..
On the dining table..
All of them were sitting except aditya..and ragini came there.. And saw that a seat beside laksh is kept vacant for her..anpurna saw ragini..

Ap: arey ragini beta.. (Pointing out towards that seat) Aao aake baith jaao..
Ragini: J..ji maa..

Ragini came and sat beside laksh..

Ap: Arey aditya kaha hai?
Swara: badi maa wo apne kamre me hai…
Laksh: (looking at swara) kyu? Wo jaanta hai na hum sab saath me khaana khaate hain..to wo apne room me kya kar raha hai?
Swara: Bhai.. Wo uski tabiyat shayad theek nahi hai..
Sujata: haan laks.. Pata nahi ke ho gaya maahre chhore ko.. Itta kamjor ho gaya hai.. Bolta hai kuch na khana hai usey..
Laksh: chaachi kuch khaayega nahi to kamzor hi to hoga na… Anyways.. (Looking at ragini and in a very polite way) Ragini.. Tum jaake usey bula laogi? (Ragini looked up at him in shock)
Swara: (a bit angrily) Nahi bhai…I mean main.. Main bula ke laati hu aditya ko..
Laksh: Swara.. Main ragini ko jaane ke liye isliye keh raha hu kyunki ye humari family me nayi hai.. Ye usko bulane jaayegi to wo mana nahi kar payega..
Sujata: Haan.. Je to theek kaha laks tune..
Laksh: (smiled at sujata) haina chachi.. (Again looked ragini) So ragini.. Usey bula laao please..

Ragini looked at him angrily..

Ap: Haan beta.. Jaao tumhe mana nahi karega wo..

Ragini looked at ap and nodded in yes..she got up..and went upstairs to call aditya while laksh smirked… She knocked at his door..

Aditya: (shouted from inside) maa maine kaha na.. Mujhe bhook nahi hai.. Aap jaaiye yaha se..
Ragini: (hesitated) aditya..hum.. Hum ragini hain..

Aditya who was sitting down on the floor got up..he was crying but he somehow stopped his tears..wiped his face and came out opening the door.. He saw ragini from top to bottom was looking the same but then his eyes fell on her sindoor and got his eyes teary.. He turned back..

Aditya: kyu aayi ho tum yaha?
Ragini: (her eyes were teary too) wo..wo aapko neeche khaane par bula rahe hain..
Adiyya: (moved in) mujhe bhook nahi hai..
Ragini: (came in) kyu..?
Aditya: Ragini please..
Ragini: (crying) aditya please… Please aise mat kijiye aap..
Aditya: (started crying and turned to her) tumne aisa kyu kiya ragini.. ?? (He held her from her shoulders) tum jaanti thi na..? Jaanti thi na ki main tumse.. Ki Main tumse pyaar karta hu? Toh bhi? Toh bhi tumne bhai se… (He turned back and walked in) Aaj tak sab kuch chheente aaye hain wo mujhse.. Sab kuch.. Aaj tak mila hi kya hai mujhe.. Sirf akela pann.. Bachpan me maa papa ka pyaar nahi mila.. Apni behen swara se dur raha main.. Aur jab wapis aaya to laga ki.. Ab iss ghar ka beta ban paunga lekin nahi.. Bhai ko ye gawara nahi tha.. Wo property jo hume baraabar hisso me milni thi.. Usme bhi unka hissa bada kar diya gaya.. Maine khushi khushi wo bhi accept kiya kyunki wo mere bade bhai hain.. Mere paas kuchh nahi tha ragini sivaaye tumhare.. socha tha ki tumhara sath milega to mere adhura pann khatm ho jayega.. Shayad tum mujhse pyaar karogi par nahi.. Ye bhi bhai ko manzoor nahi tha.. Tumhe bhi chheen liya unhone mujhse.. Ab meri zindgi me kya reh gaya ragini? Ab zindgi me jeene ke liye bacha hi kya hai?

Ragini was crying hearing all this.. She couldn’t do anything..

Ragini: kamse kam..Aapke paas aapke apne to hain.. Humare paas to wo bhi nahi hain.. Apne apno ke liye to jee sakte hain na aap?
Aditya: kyu jiyu main unke liye.. Mujhe aajtak mila hi kya apno se? Tum.. (Looked at her) tumhe bhi to apna maana tha maine.. Tumne kya diya mujhe?
Ragini: (crying) Hum.. Hume maaf kar dijiye.. Halaat kuch aise the ki..par ab aap please hume bhula kar apni zindgi me aage badh jaiye.. Humari shaadi ho chuki hai.. Aapke bade bhai ab humare pati hain.. Khair.. (Wiped her face) hum bhul hi gaye the ki aapko sab neeche intezaar kar rahe hain.. Please aa jaaiye..
Aditya: main neeche aa jaunga ragini.. Main apni zindgi me aage bhi badh jaunga.. Bass mere ek sawaal ka jawaab dedo..(ragini looked at him confused) Kya tum iss shaadi se khush ho?

Ragini got shocked hearing this.. She didn’t know how to lie from him.. But then..she turned back.. Tears rolled down from her eyes..

Ragini: Neeche aa jaaiyega please..

She went out of the room and aditya stood there crying and upset.. He got confused that she’s not happy with this marriage..ragini was wiping her tears on her way to dining table.. Then she suddenly saw laksh coming from the other side.. He also saw her coming so he came forward to her..

Laksh: kaha reh gayi thi tum? (He saw her teary eyes) Ohhh… (lifted her face up holding her chin..she looked up) toh ho gayi tumhari tumhare puraane ashiq se meeting?

She angrily removed his hand.. And moved on to go but he held her arm…and pulled her closer..she got shocked and looked at him angrily..

Laksh: (angrily) uss aditya ke paas isiliye bheja tha taaki wo dekh le tumhe acche se.. samajh le ki tum ab meri patni ho..aur ab wo tumhe aankh utha ke bhi na dekhe.. Warna main bhool jaunga ki wo mera bhai hai.. Aur tum bhi.. Ab devar hai wo tumhara.. Sirf ek ye hi rishta hai tum dono me.. Got that?

Then he dragged her with himself to the downstairs..aditya came out of his room and saw them going hand in hands

@Raglak’s room..
Ragini was in room lying on bed and lost in her thoughts.. Just then the door opened.. She knew it would be laksh.. She immediately closed her eyes to pretend that she’s sleeping so that laksh wouldn’t irritate her..he came in and saw that she’s sleeping…

Laksh: Waise to nakhro me raat bhar jaag sakti hai.. But aaj so gayi..

Then he saw her carefully for a minute and came near her from her side.. .then he slowly removed a flick of hair from her face and smiled.. Then he brought his face near to kiss on her forehead..ragini felt his closeness and got nervous..clutched her lehenga in her fist..but she didn’t open her eyes.. Laksh was about to kiss on her forehead but then he realised something and stopped….then he took up the blanket and placed it over ragini comfortably.. After this he went to change his formal clothes… After he entered in washroom.. Ragini opened her eyes and realised that he cares for her..but then she reminded that he has forcefully married her.. And living with him is like a curse for her.. Then the door of washroom opened and she closed her eyes immediately.. he came out wearing black T-shirt and lower..then he lied on the bed and slept..

Next day…
Laksh was in his office.. He was sitting on his moving chair with his head resting back and eyes closed.. He was looking tensed and irritated.. He was thinking about his steady life with ragini.. He wanted to live his married life with ragini.. He was just thinking how to start their married life.. Just then

Secratory: Sir..may I come in..
Laksh: (in same gesture) come in..
Secratory: Sir.. Ye kuch clients ki files hai.. Sir ne kaha hai ki aap inko check karke forward kar dijiye..
Laksh: (looked at him a bit angrily) Malhotra ji.. Aapko iss office me aaye hue kitna time ho gaya hai?
Secratory: Sir… 10 saal.. Par k..kyu sir?

Laksh got up.. Then he came towards him.. And stood in front of him putting his hands in his pockets..

Laksh: 10 saal ho gaye.. (Grinding his teeth) Toh bhi aap mere paas ye clients ki files leke aa rahe hain checking ke liye..
Secratory: (a bit scared) s..s..sir wo..

Laksh took out his hands and held his shoulders..

Laksh: (shouted in anger) Arey kya sir sir? Aapko main itna free lagta hu ki ye faltu ke kaam main karunga.. (Left him) ye sab kaam aditya ke hain.. Jaake usey do ye files.. (Showing a finger to him) aur aage se aise stupid orders le kar mere paas aaye to..to..you know what I can do to you..

Then he put his hand back and sat on his chair..

Secratory: (hesitated) s..sir.. To in…files ka …k..kya karu?
Laksh: (got angry and irritated) Apne sir par maar lijiye inko… Arey ye files aditya ke paas leke jaaiye… And get lost now..
Secratory: le..lekin sir.. Aa..aa..aditya sir to office aa hi nahi rahe hain..
Laksh: (angrily) kyu?
Secratory: pata nahi sir.. Jab se aapki shaadi hui hai.. Uske baad se wo office nahi aaye..

Laksh thought for a second..

Laksh: Ok..Ye files yaha rakhiye aur daffaa ho jaaiye yaha se..

Secratory placed the files on his table and went from there.. Laksh was thinking something..

Laksh: Iss aditya ka kuch karna padega..

On the other side in Mahesheari Mansion..sujata and anpurna were not in the house.. Aditya and swara were talking in swara’s room…

Aditya: (crying silently) aur tu jaanti hai.. Uske baad wo bina koi jawaab diye chali gayi.. (Then he came forward infront of swara) Main jaanta hu swara.. Koi baat to zarur hai.. Ragini uss trah ki ladki nahi hai jaisa hum samajh rahe hain usey..
Swara: Bhai.. Tujhe aisa isliye lag raha hai kyunki tu pyaar karta hai ussey.. (Moving ahead) Jaanta hai jab parineeta bhabhi unki shaadi ke agle din undono ke kamre me galti se bina knock kiye gayi to unhone kya dekha? Unhone dekha ki wo dono ekdusre ke behad kareeb.. Baaho me baahe..daal (she turned back and saw that aditya was getting irritated hearing this so she stopped) Bhai.. I know thoda mushkil hai.. Par bhool jaa usey.. Wo tere laayak nahi hai.. (Grinding teeth) wo sirf wo laksh bhai ke layak hi thi.. (Normally) please bhai.. Uske liye apni life barbaad mat kar.. Just move on..
Aditya: (expressions were like he’s fed up) Haan..swara… (Wiped tears) Tu theek keh rahi hai.. Mujhe apni zindgi me aage badhna hoga.. Anyways.. Wo sanskaar..? Tujhe uske baare me kuch pata chala? Sorry yaar.. Main apni problems me itna gum ho gaya ki bhool hi gaya that tera saath bhi dena hai mujhe.. Anyways.. Ab hum dono milke sanskaar ko dhundhenge..
Swara: (with her teary eyes smiled) haan bhai.. Ab sanskaar ko dhundhna hai.. Ye shaadi n all ke chakkar me humara kaam adhura reh gaya tha.. But ab usey poora karna hoga.. Laksh bhai ke rest house me hi jaake check karna hoga ki…
(Interrupted)
Ragini: Wo waha nahi hain..

Swara and aditya turned back.. They saw ragini.. And swara got angry..

Swara: Tum kyu aayi ho yaha?
Ragini: swara..wo sanskaar bhai..
Swara: tumhe jhoothi care dikhane ki koi zarurat nahi hai ragini.. Chali jaao yaha se.. Hum khud dhundh lenge sanskaar ko..
Ragini: Swara ek baar humari baat to..
Swara: hume koi baat nahi sunni tum jaisi dhokebaaz ladki ki..

Ragini’s eyes were filled with tears.. Even aditya’s eyes were teary..

Ragini: aditya kam se kam aap to humari baat sun lijiye..
Swara: Ragini.. Tum yaha se chali jao please… Tum aise nahi jaogi na..?

Then he came to her and held her arm pulling her out..

Swara: chalo yaha se..
Ragini: (removing her hand from her arm) swara please swara ek baar humari baat sun lo… Swara please.. Swara…. Sanskaar bhai theek hain.. Wo wo ab laksh ke paas nahi hain swara..

Swara stopped stunned.. She turned back.. And aditya also looked up at her.. In shock..

Swara: (stunned) k..kya kaha tumne? Mera sanskaar..? Wo agar laksh bhai ke paas nahi hai to kaha hai.. ?
Ragini: (held her hands) ye hi to hum tumhe kabse batane ki koshish kar rahe hain swara.. Hum nahi jaante ki ab sanskaar bhai kaha hain.. Bass itna jaante hain ki ab wo laksh se bohot durr hain.. Aur safe hain..
Aditya (coming forward to her..suspiciously) tum ye sab kaise jaanti ho?
Ragini: Kyunki humne khud bhai ko yaha se jaane ke liye…. (She realised something and stopped)
Aditya: kya? Ragini bolo..
Ragini: nahi kuch nahi.. (Wiped her tears) swara.. Hume bass ye pata lagana hai ki bhai is waqt kaha hai…
Aditya: ragini nahi… Mujhe ye sab kuch samajh nahi aa raha.. Laksh bhai se tumhari shaadi.. Sanskaar ka chhoot jaana.. Tumne unse jaane ko kaha…..????? Clear all this to us first… Phir hi hum koi baat karenge..
Ragini: aditya hum keh rahe hain na…
Swara: Ragini please batao hume.. Poori baat batao hume.. Kyu ki tumne laksh bhai se shaadi..? Sanskaar kaise chhuta? (held her shoulders) batao ragini.. Aur agar laksh bhai ko iss baare me pata chala toh..
Ragini: (in a rage) laksh ne khud chhoda hai unhe…

Swara and aditya both got stunned..

Swara: Bhai ne chhoda hai sanskaar ko..? Ye…ye tum kya keh rahi ho ragini.. ?
Ragini: Haan.. (Ragini’s eyes were filled with tears) hu..hum sach keh rahe hain swara.. Laksh shuru se ye baat jaante the ki hum sanskaar bhai ki chhoti behen hain..
Swara: Kya??
Ragini: Haan..(Tears fell from ragini’s eyes.. And she turned back and started walking) jab hum iss ghar me aaye to laksh ne hume……

She told them all the incidents happened between her and laksh.. And what he has done to her in the last few days..She told them how he had kept sanskaar to get her.. And had warned her to kill him..

Ragini: (crying) ……Unhone humse humare bhai ki zindgi ki qeemat maangi.. Aur hum humare bhai ke liye apna sab kuch dene ko taiyaar bhi ho gaye the.. Lekin isse unko tassali nahi milti.. Isliye hume neecha dikhane ke liye.. Apni zidd poori karne ke liye.. Unhone sabke saamne humse shaadi karne ki baat rakh di.. humne socha ki abhi haan kar dete hain aur shaadi ke waqt jab wo bhai ko chhod denge tab hum bhi yaha se chale jayenge.. Lekin….. (Then she described that wedding incident too.. And how she got married to laksh forcefully) lekin abhi bhi bhai ki jaan ko khatra tha… Isliye humne raat ko unke doodh me behoshi ki dawaa mila di.. Aur phir unke behosh hone ke baad humne unke phone se msg karke unke aadmi ko sanskaar bhai ko yaha se kahi dur bhejne ko keh diya..
Swara: Ragini.. Main jaanti hu sanskaar kaha hoga.. Wo aksar apni badi maa ke baare me bataya karta tha.. Wo wahi hoga..
Ragini: (turned back crying) haan swara.. Bhai waha gaye the par..
Aditya: par?
Ragini: Unhone badi maa ko humari aur laksh ki shaadi ke baare me bataya aur badi maa.. Unko heart attack aa gaya.. Aur wo… (She cried more) aur wo hume chhod kar chali gayi… Aur phir uske baad bhai bhi waha se chale gaye.. Pata nahi kaha.. Pata nahi kaha honge..kis haal me honge.. Humari wajah se kitna kuch ho gaya.. Sab ki wajah hum hain..
Swara: Nahi ragini..is sabki wajah nahi ho tum.. Tum to mere sanskaar ke zinda hone ki wajah ho.. Warna bhai to kabka marwa chuke hote mere sanskaar ko… Tumne apne bhai ki jaan ke liye apni zindgi..apne sapne daao par laga diye..aur main..? Maine pata nahi kya kya bola tumhe.. Ek baar bhi tumhari baat nahi suni.. How stupid I was..

Aditya was standing silently crying but in anger..

Aditya: aisa kaise kar sakte hain wo..? Apni ego ke liye tumhari zindgi barbaad kar di unhone.. Pyaar karte hain wo tumse? Aisa hota hai pyaar? main unhe aisa nahi karne dunga.. Wo aisa nahi kar sakte ragini.. Main abhi jaake bhai ko…
Ragini: Nahi… Nahi aditya Aisa kuch mat kijiyega.. Wo…waise bhi aapko pasand nahi karte.. Aur agar aap humare liye unke paas gaye to…
Aditya: Mujhe koi fark nahi padta ragini.. Aaj main bhai ko btaunga ki asli pyaar kya hota hai..

He was about to go out..

Ragini: Aapko humari kasam hai aditya Aap aisa kuch nahi karenge..

Aditya: stopped… He turned back and came to ragini..

Aditya: Kyu ragini…? Kyu? Kyu sahogi tum ye sab…
Ragini: sehna hoga hume.. Hume humare bhai ko dhundhna hai.. uske liye hume aap logo ka saath chahiye…. Aur agar laksh ko pata chal gaya ki aaplog humare saath hain to wo hume aaplogo se alag kar denge.. Phir hum..hum kabhi nahi dhoondh payenge humare bhai ko.. Isliye jo jaisa chal raha hai.. Chalne dijiye..
Swara: par ragini tum.. Tum laksh bhai ke saath reh paogi? Bardaasht kar paaogi unhe?

Ragini got stunned.. She thought for a minute.. Then she took a sigh..

Ragini: (determined) haan.. Haan hum rahenge..

Then suddenly a voice came.. ” Swara…ragini” ragini immediately wiped her tears..

Ragini: Maa aa gayi.. Hum jaate hain neeche..

Then she went out.. And swara followed her too…

@Raglak’s room..

In the night ragini was standing infront of the mirror and taking out her bangles..laksh entered and saw that She was tensed and missing in some thoughts… He came towards her but she didn’t notice.. She was thinking something else.. Laksh brought his face near her ear..and wispered..

Laksh: Mujhe jaan se maarne ka plan bana rahi ho? (She looked up in mirror and he Smirked) Marr to main pehle hi gaya tha tum par..

Then he brought his face more closer but ragini immediately reacted.. She turned back pushing him away..

Ragini: (angrily) Dur rahiye aap humse..

Then she turned back in anger and her hand got hit to a vase placed on the dressing table that was broken and sharp..

Ragini: Aahhh…

She immediately held her hand…that got hurt and it started bleeding… Laksh got tensed and worried..

Laksh: Ragini kya hua? Dikhao mujhe..

He held her hand to see that.. But she pulled it away..

Ragini: (angrily) humne kaha na dur rahiye humse..

Laksh got angry.. And ragini moved aside and kept removing her bangles angrily without caring about her wound.. But it was bleeding more.. Laksh was looking at her and her hand angrily..

Laksh: (standing behind her) Ragini main keh raha hu ki apna haath dikhao mujhe..
Ragini: Kyu dikhaye hum aapko apna haath.. Doctor hain aap? Theek kar denge humare zakhm ko.. Oh.. (Smiled in a satire) Hum to bhool hi gaye.. Aapko zakhm theek karna nahi.. Sirf zakhm dena aata hai..

Laksh was looking at her angrily.. He was getting hyper.. Then ragini was about to from there just then he held her arm and pinned her tighly to the wall..ragini got shocked and irritated and tried to free herself..

Ragini: Chhodiye hume.. Hum aapse keh rahe hain..
Laksh: (putting a finger on her lips angrily) Chup… Ek dum chup…

Ragini’s eyes got bigger and teary red in anger.. Both of them were looking into eachother’s eyes.. After that laksh took out a first aid box from the drawer of the dressing table and ragini stood straight there.. He moved to her..

Laksh: (angrily) Haath dikhao apna..

Ragini didn’t react and removed her eyes in attitude.. This was making laksh more angry..

Laksh: (grinding teeth) ragini……

He forcely held her injured hand up..ragini was trying not to show her hand but his grip was tight.. He saw that is was bleeding badly and the cut was big.. He immediately took out the cotton and wiped her blood cleaning the cut.. Ragini was getting irritated but she couldn’t do anything.. She removed her eyes.. And let him do whatever he was doing.. After a minute.. Laksh put a Antiseptic on it which feels a bit hurting on the wounds..

Ragini: (tightly closed her eyes) Sssss…..

He looked up.. But he didn’t react.. Ragini was trying to remove back her hand but he didn’t gave her any chance.. Then he removed down his eyes and blowed slowly on her wound.. Ragini looked at laksh..he was busy in treating over her cut.. Tears were falling from her eyes.. Due to that pain.. But she was looking at laksh.. Then he put a bandage on it carefully.. and left her hand…he put the first aid box back and went out of the room in anger.. Ragini was just looking om at him.. And wondering that what kind of person he is.. He cares..but he doesn’t.. She then removed her eyes and looked at her woundand reminded when he was treating her wound.. Then she remebered something that disturbed her and she removed her eyes being irritated..

Precap- Laksh’s plan to keep aditya away from his ragini.. Laksh’s surprise for ragini that shocked her more than anything!

plss comment

Share
Published by