Episodic Analysis

kuch rang pyar ke aise bhi 13th june analysis

Bose house –
Asha is bothered about the story for her novel. She doesn’t find a gud story. Saurabh and Dadi suggest some story but Asha rejects. Sona tells her own story which ends unhappy and cries. But Asha denies to write sad story. Elena consoles Sona.

Dixit house –
Engagement preparations are going on. Ishwari asks for dev to try his sherwani but he is not home. She calls him but he doesn’t pick. She gets worried.

Dev’s office –
Natasha comes. Dev asks her to sit. He feels much difficulty to tell her. Dev is very tensed.
D (to see natasha) – thank god, tum aa gayi.
N- thank god. Dev aapko idea idea bhi nahi h ki meri dadi aapke naam se mujhe kitna chidha (tease) rahi thi. Abhi raste me meri friends ka jab call aaya to unhonne unhe bhi bata diya ki main aapse milne aayi hoon. (She blushes) unhe lagta hai ki mujhe aapse kuch jyafa hi pyar ho gaya hai aur ab aapki ye impatience. Sham tak wait nahi kar sakte the kya?
D(tensed)- ye baat sham tak wait nai kar sakti. Tum please betho.
N(feels happy) – dev koi surprise hai kya? I have no idea ki aap itne romantic ho sakte hain.
D- kuch baat karni hai. Betho na please.
N-ok.
They both sit.
N-aap kitne alah hain dev. Aapne mujhe yahan bulaya hai. Mujhe khushi bhi ho rahi hai aur nervousness bhi. Mujhe bilkul samjh nahi aa raha ki aapne mere liye kya plan kIya hai.
D- actually mujhe aapse kuch baat karni hai.
N-to bataiye na.
By saying this she holds his hand but he removes his hand and she notices this. Dev gets up.
D- aap bahot achi hain. Smart, intelligent, hard working, beautiful. Aapko jitna main like karta hoon usse kahin jyada main aapki respect karya hoon. Aap jis ladke ki bhi life me aayengi wo lafka is duniya ka sabse khushnaseeb ladka hoga.
After listening this natasha also feels that something is wrong there. She gets serious.
N-dev, problem kya hai?
D (with much difficulty)- main tumse shadi nahi kar sakta. I don’t love you.
Natasha gets up in shock.
N- you what?
D- i know ki maine bahot galat kita hai. Aaj sham ko humari sagai hone wali hai aur ab jakar main tumhe bata raha hoon. Its not right. I know ki main jo kar raha hoon wo galat hain lekin i can’t get married to you. Main aisa kese kar sakta hoon jab main tumhare liye wesa feel hi nahi karta. Lekin honestly mujhe pata hi nahi tha ki main aisa feel karta hoon. Its not fair. Main ye baat tumse chhupa ke nahi reh sakta tha. I know ki tumhare sath bahot galat hua hai. Tum ye deserve nahi karti.
N- to kisse karte hain?
D- kya?
N-pyar? Dev you said you don’t love me. To phir aap kisse pyar karte hain?
D(hesitates) – natasha aisa nahi hai. I didn’t mean to hurt you.
N- kya baat yahi hai ki aap abhi mere liye wo feel nahi karte jo main aapke liye feel karti hoon? I don’t think so. Kyunki agar itni chhoti si baat hoti to aap mujhse shadi karne ke liye inkaar nahi karte. Aap mujhse time maang sakte the lekin…… i am sure ki aap kisi aur se pyar karte hain.
Deb is unable to answer.
N- come on dev. Aapne khud mujhse kaha tha ki aap ye baat nahi chhupa sakte. And you that ye janna mera haq hai.
Finally dev says.
D-ms. Bose.
N(shocked)- sonakshi? I don’t understand dev ko aap dr. Bose ko pyar karte hain to ye sab kya tha? Aapko pata tha ki main aapse……. mere dad ne aapki mom se humari engagement ke……
D- mujhe khud pata nahi tha ki main aisa feel karta hoon. Agar mujhe pata hota to main baat ko itna aage kyun badhata? Mujhe ye pata tha ki wo maa ke liye kitne important hain par mere liye kab itni important ban gayi…. pata hi nahi chala…
N- galti meri bhi hai, mujhe thoda andaza tha is baat ka lekin aap humesha yahi kehte rahe ki ms. Bose aapki sirf ek dost hain. Aur phir aapne mujhse engagement ke liye haan keh di to mujhe laga ki ye meri galatfahmi thi. Mujhe laga aap log sirf achche dost the.
D- i am sorry. Genuinely i am sorry. I didn’t want to mislead you. Main tumhe hurt nahi karna chahta tha. Par mujhe pata hi nahi chala ki main kab ms. Bose ke liye feel karne laga.
N- sonakshi…. her name is sonakshi, dev.
D- i know par main ye kehna chahta hoon ki maine ye abi tak ms. Bose ko bhi nahi bataya. She doesn’t know. Aur mujhe ye bhi nahi pata ki wo kesa feel karengi? What i mean to say is main sabse pehle ye tumhe bata raha hoon kyunki you deserve to know this. Tum ek achi ladki ho.
N(cries) – you are right dev. Main bahot achi ladki hoon lekin Bas aapke liye hi nahi.
Dev feels bad for her.
D- tum batao natasha, agar main kuch bina bataye tumse shadi kar leta to kya wo sahi hota? Kya tum khush reh pati? Kya tum ek achi life jee pati? Kya hum khush reh pate?
N- shayd aap sahi keh rahe hain dev. Ye sab janne ke baad hum kabhi khush nahi reh pate.
Dev wants to talk to mr. Gujral regarding cancellation of engagement. But natasha does not want him to talk to her father because mr. Gujral will not understand him. Dev insists saying its his mistake so let him do.
N- thank you, its happy birthday to me.
Natadha is Compltly shocked and heartbroken. Dev feels guilty.

Dixit house –
Again engagement preparation. Ishwari gets worried about dev and calls Teena. Teena tells that dev and natasha both were in office. Dev left 5 min before. Ishwari disconnects phone and thinks what is the matter going on.

Bose house –
Sona is crying badly. Elena and Saurabh try to cheer up sona but all in vain.

Dixit house –
Dev comes and inform all that engagement is cancelled. All are shocked

Precap – 27 saal me pehli baar hua Dev ko hua pyar ka ehsaas. Ab Dil hai ki manta nahi, kya kare ye bhi kuch janta nahi. Suraj niklna chahta hai par chand chhupne ko taiyar nahi. Waqt jese ruk gaya ho par ab Dev rukne ko taiyar nahi. (Dev rings the doir bell of bose house. Sona open the door thinking its milkman and offers utensil, but she shocked to see, its dev there.

Finally guys natasha’s chapter is closed and the mist awaited love story is about to begin.

Asmita...

Love to be "ALONE"...

Share
Published by