Fan Fiction

KRPKAB-DEVAKSHI REUNION -Part 6

Part 1 – https://www.tellyupdates.com/krpkab-devakshi-reunion-part-1/
Part 2 – https://www.tellyupdates.com/krpkab-devakshi-reunion-part-2/
Part 3 – https://www.tellyupdates.com/krpkab-devakshi-reunion-part-3/
Part 4 – https://www.tellyupdates.com/krpkab-devakshi-reunion-part-4/
Part 5 – https://www.tellyupdates.com/krpkab-devakshi-reunion-part-5/

Recap: Asha and Ishwari talk. Bejoy and Asha have an argument!

Dev is dischareged the next day and is coming home .

Sona is with him in the car on the way back from hospital. Ishwari is in the other car

Nikki and Ria – meet him at the entrance and hug him silently.
They hug Sona also.

Ishwari comes out and goes to get Pooja ki thali.

Dev- Ma ..yeh sab nahi chahiye!!

Nikki Ria take Dev to his room. Sona stops outside
.
Dev realizes –Sona is not around and stops at the staircase to look for her . Sona kahan hai!

Sona , tum wahan kyun khadi ho. Andar chalo.

Sona doesn’t move.

Nikki and Ria are not sure ..but listening to Dev, Nikki calls Sona – di chalo na.
Sona still doesn’t move.

Ishwari comes to Sona’s side and tells her – andar aao beta.

Sona- nahi auntyji main ab chalti hoon..main baad main aaongi. She turns to leave

Dev – agitated – comes back – kahan ja rahi ho.. pulls her by her hand and almost drags her with him.

Sona – settles and pulls out her hand- theek hain main chal rahi hoon..aap aise mat karo.(she is upset)

They all reach Dev’s room.

Dev lies down . Sona is standing there uncomfortably while Nikki starts chatting

Ishwari comes in with Bhola and some medicines for Dev.

Ishwari- Sona beta- yeh Dev ki dawaiya hain..inko tumhi sambhalo.. kaun se kab deni hai..yeh parche par lika hai..(gives Sona ).

Nikki Ria ,chalo bhai ko aaram karne do. Everyone leaves

Dev is looking at Sona .trying to read her mind

Sona is silently putting the medicines on the side table . takes out one and hands over to Dev with a glass of water.

Sona- aapki dawai.

Dev- tum ab bhi naraz ho mujh se ( taking the medicine and using that opportunity to hold her hand and make her sit close to him)

Sona – pata nahi Dev. Main samajh bhi rahi hoon aur nahi bhi..mujhe lagta hain main bahut darr gayi hoon- phir se hurt na ho jaon..

Dev – Sona mujhe second chance do –main abki tumko shikayat ka koi mauka nahi doonga

Sona- Dev let me tell you – maine Hritik se sagai na karne ka faisla kar liya hai!! Usse baat karni hogi mujhe. Main ussey pyar nahi karti!

Dev – elated – Sona ..I am so glad!! Tum sirf mujh se pyar karti ho.. mujhe maloom hai ( comes and tries to hug her but she moves away.)

Sona -Par iska matlab yeh nahi hai ki main aap se shaadi ke liye ready hoon…main aapko puri tarah trust nahi kar pa rahi ki aap mujhe phir se hurt nahi karoge!

Dev aap shaadi karne ke liye iss liye suddenly tayyar ho gaye they na kyun ki main Hritik ke saath move on kar rahi thi..ab aap par woh talwar nahi hai.. aur iss liye main chahati hoon ki aap phir se sochen apne faisle ke baare main.

Shaadi karne ke baad – yeh chance nahi hoga (she turns her face to hide her tears)

Dev- Sona – yeh tum kya baat kar rahi ho.. ofcourse main shaadi karna chahata hoon tumse..

Sona- aapne Ma se baat kar li

Dev-Sona yeh mera decision hai..humara decision hai..ma ko maloom hai. Maine ma ko bhi bola tha aur tumhe bhi bol raha hoon..
mere tumhare rishtey ke beech koi teesra nahi aa sakta jab tak hum khud usey na laye.
Aur yeh main samajh gaya hoon. Ma se rishta ek taraf – tumhara mera rishta ek taraf.
Main dono main se koi ek nahi chunuga. Dono hi nibahunga

Ishwari – comes in -maaf karna beta- maine tum logon ki baat sun li.

Sona, main yeh to nahi kahungi ki jo dev ne kiya aur jis wajah se kiya usse tum bhool jao.. kyunki main janti hoon yeh sab tumhare liye aasan nahi hai.

Bus itna samajhana chahoongi ki Dev aur maine jo kiya who ek galat faisla tha aur usko aur mujhe yeh acchi tarah samajh aa gaya hai

Main jhoot nahi bolongi –ki main is rishtey se darr gayi thi-bahut darr gayi thi – tum ne mere Dev ko badal diya tha..aur mujhe laga kahin wo h itna na badal jaye ki mujhe hi bhool jaye..

Apne darr ki wajah se main yeh dekh hi payi ki Dev badal to gaya tha par kahin behtar ho gaya tha-

mujhe jab tak tum dono ke barey main pata tum nahi chala tha –Dev ne aisa kuch nahi kiya tha jisse ki mujhe yeh lagta ki Dev mujhse door ho jayega- par tumhe uske paas dekh kar maine hi yeh darr mann main bitha liya

Main kitni galat thi..tumhare Dev ki zindagi se jaane ke baad ..Dev to Dev hi nahi raha- main to apne bete ko khona nahi chaahti thi par hua bilkul ulta hi ..mera beta aur who aacha insaan jo Sona ne banaya tha –sab kho gaye..reh gaya ek kamzor , dukhi aur pareshan Dev.

Tumne theek kaha tha Sona- tumne 3 mahine main who kar diya tha jo 28 saal ki meri parvarish nahi kar payi..

Ab main yeh samajh gayi hoon aur bahut khush hoon ki mere Dev ko aise Jeevan sangani milne ja rahi hai to usko aur nikharti hai!!

Gives Sona a close hug and has tears in her eyes!

Pichli baar faisla Dev ne kiya tha –par is baar yeh haq sirf Sona ka hai. Woh jo kahegi , jaise kahegi waise hi hoga!

Bus yeh yaad rakhna beta –ki mujhe aur Dev hum dono ko tumhari zaroorat hai!! ( folds her hands as if to plead ).

Ishwari leaves

Sona : ( all tears and confused) : Dev –ma ne yeh kaha ki unki meri zaroorat hai!!!

Dev – pulls and hugs her ..unhone ye bhi kaha ki – Dev ko tumhari zaroorat hai!!

Nikki : comes in – Bhai – mujhe bhi Sona di sorry bhabi ki zaroorat hain..

Sona pull away from Dev embarrassed and smiling now

Dev still holding her ..looks at Nikki and smiles mischieviously

Haan theek hai..par mera haq pehla hai. Aur abhi tu yahan se ja ..

Nikki giggles and leaves. Dev hugs Sona again!!

Precap: Sona talks to Bejoy in Asha’s presence.

Share
Published by