Fan Fiction

KRPKAB- DEVAKSHI REUNION – Part 4

Part 1 – Part 1
Part 2 – Part 2
Part 3 – Part 3

Recap : Elena helps Sona realise that she still loves Dev and will not be happy marrying Hritik.Asha supports

Hospital :

Asha Elena and Shona reach hospital

Dev is resting with Nikki and Ishwari by his side.

He sees them and tries to get up :

Dev : Auntyji , Elena – kaise hain aap log.

Asha: Theek hain Dev babu. Aap ab kaisa feel kar rahe hain?

Ishwari gets up and comes to meet them at the door and says a silent Namaste (which looks like she is asking for apology to Sona’s mother ) Sona’s mother holds her hands in hers and gives her a glance as if she understands

Ishwari and Nikki go out .

Elena- Dev aapne to sabko dara diya tha!!

Dev smiles- haan main kuch dino se kafi darawana ho gaya hoon!! Ab koshish karoonga ki phir sab theek ho jaye..(gives a hopeful look to Sona).

Asha – Sona tu doctor se jake pooch Dev babu kab tak discharge honge , Elena tub bhi ja

Sona – surprised –Ma –Doctor abhi aayenge to pata chal hi jayega..

Asha :Acha to theek hai…mujhe Dev babu ..I mean Dev se akele main kuch baat karni hai..tum log bahar jao..

Sona is confused. Elena smiles and takes confused Sona .

Dev is left nervous.

Asha : Beta– ghuma phira ke baat karne ka koi time aur mauka bacha nahi hai. Aapne jo kal kiya woh kissi bhi situation main justified nahi hai..aur main is wajah se yeh baat nahi kar rahi hoon..I hope aap is baat ko samjenge..

She gives him a serious stern look and continues

Dev aap kya plan hai.. aap Shona se shaadi karne wale hain ya yuhi obsessive lover ban ke uski zindagi main dhakhal dete rahenge. Na khud move on honge na meri beti ko..

Dev :Aunty – I am very sorry, meri wajah se kal aap logon ko bahut embarrasament face karna para.

Asha: main kal ki baat nahi kar rahi hoon. Main Shona ki zindagi ki baat kar rahi hoon Dev. Aap kya chahetey hai. Please saaf bataaye.

Dev: Ab main Sona se shaadi karna chahta hoon

Asha : aur aapki ma?

Dev: Woh maan jayengi

Asha: is emotional blackmail ke baad to maan hi jayengi..jaise aap maan gaye they Shona ko chodne ke liye ..unke emotional blackmail se

Dev: Aunty – aap sahi keh rahi hai.. maine jo galti ki who ma nahi karegi..emotional ho kar yeh faisla nahi legi ..balki iss liye legi kyunki..main unke liye important hoon aur Sona mere liye.

Par most importantly , aunty ab main peeche nahi hatne wala. Yeh mera promise hain and trust me abki main koi promise nahi torunga!!

Asha : yeh sab humare liye aur Shona ke liye bhi bahut difficult hoga . par main yeh janti hoon ki meri beti ki khushi mere liye sabse important hai..

Dev ab iss bar koi galati nahi kar sakte ..warna aap Shona ko tod denge. Aur yeh main nahi chahti.

Aap sure hain ki apki ma is rishtey se khush hai.. aur yadi nab hi khush hain to aap is baat ke liye ready hain ki nahi.. ??

Mujhe ekdum se koi jawab nahi chahiye..aap soch lijiye , Ishwariji se baat kar lijiyeaur kal tak mujhe bata dejeye.. humme bhi Shona ke future ke baare main decision lena hai..aise baar baar aage peeche nahi kar sakte .(.Asha is tensed )

Main aapko ek din ka time de sakti hoon Dev par isse jyada nahi..

Dev: Aunty –mujhe koi time nahi chahiye ab …maine decide kar liya hai ..Sona meri zindagi main se ab kahin nahi jayegi ma mane ya na mane.

Jahan tak ma ka sawal hain who Sona ko hamesha pasand karti thi par woh kuch samay ke liye darr gayi ki main shayad unhe bhool jaon..par ab who apni galti maan bhi rahi hai aur Sona ki ahmiyat bhi samajh rahi hain to who iss rishtey ko accept kar lengi

Asha: Dev ..aapki ma ka darr galat nahi tha..shadi ke baat aise hota hi hai..pati patni ka rishta sabse important ho jata hai. Ma baap ke rishtey se bhi jyada. Aap ke saath bhi aisa hi hoga. Kya aap ne is barey main socha hai..kya aapki ma is ke liye prepared hain.

apni ma ke iss insecurity ko kaise deal karenge iske liye bhi sochiye.. aur tab Shona ke baare main phir se sochiye..nahi to iss kisse ko yahin khatam keejeye…

Baar baar confuse karne se ya hone se life nahi chalegi Dev. Aur sirf pyar karte rehne se bhi kuch nahi hoga .. shaadi to karni paregi ya aap se ya kissi aur se…

to aapke paas choice 2 hee hain ..ya to aap Shona se shaadi kijiye ya Sona ko hamesh ke liye bhool jaiye aur usse kissi aur se shaadi karne dijiye ..aur uski zindagi se hamesh ke liye nikal jaiye.

Sucha pyar taakat deta hai. Sahi decision lene ki taqat aur use nibhane ki bhi..phir woh pyar chahe ma ke liye ho ya Sona ke liye!

Dev : nods and gives her a very serious look!! As if in a trance .

Ab main chalti hoon Dev aur mijhe umeed hai..aap meri baat par gaur karoge

Dev : aunty ..he just holds both her hands and gives her a silent assurance .Main aap se ab bhi keh raha hoon Auntyji..ma(Asha is taken aback) mera decision abh nahi badlega .Main Sona se shaadi karoonga..

Asha smiles ( thinks – abhi yeh baat kissi se nahi kehni . Main kal tak wait karoongi)

Asha comes out and sends Sona and Elena inside

She sees Ishwari and goes to her. Ishwari is sitting alone in a corner . Asha goes and sits next to her.

Asha: Ishwari ji – ab aap kaisi hain.. bachon ke galat faisele se maa baap ko kitni takleef hoti hain main samajh sakti hoon.

Ishwariji- (not able to look up)..main ..(and starts crying )

Precap: Asha talks to Ishwari . Asha and Bejoy have an argument
Sorry guys: episode was becoming too long if I added Ishawari and Asha’s converstation per the promised precap!! So have saved it for next one!!

Share
Published by