Fan Fiction

KISMAT KA KHEL TWINJ – Episode 2

At Sarna Office:

Kunal’s PA: Good Morning Ma’am

Twinkle: Kaun ho tum!

Kunal’s PA: Mein Chinki. Aisa kyu pooch rahe hai

Twinkle: Aur mein kaun

Chinki (Mahira sharma): meri boss ki behen

Twinkle (Fake anger): Uss se pehle tum meri best friend ho. Ainda se muzhe Ma’am mat bulao

Chinki: Theek he meri maa gussa thuk do.

Chinki and twinkle giggles.

Twinkle: Kya hua. Sab busy dikh rahe hai.

Chinki: Ek important deal hai. Sab sara kaam chodke us deal ke kaam mein lage pade hai.

Twinkle: Usme itna imporatnace kya hai

Chinki: Kya bol rahi ho twinkle. Tuzhe to pata hai humaara company loss mein chal raha hai. Agar yeh deal final hogyana, humaara saari losses bhrti hojaayenge.

Twinkle: Acha. Yeh important deal kiske saath hai?

Chinki: Sarna’s haina. Vo log naya company start kar rahe hai. Us office building ka kaam hum karvarahe hai.

Twinkle: Sarna’s? Yeh naam to meine kahi pe suna hai. Oh shit? Us deal ka pen drive mere paas hai. Sun mein yeh bhai ko deke aati hu.

Chinki: Kya bol rahi ho? Sir ka meeting chal raha hai Sarna’s ke saath jaldi jao.

Kunal’s Cabin

Kunal: Yes Mr. Sarna. We are ready with our quotes and some sample designs. So, I will mail them, if you are satisfied with that, we wil go forward

Kunj: Yes Mr. Taneja. Our team will go through your designs and we will get back to you. Can you give some briefing of your designs.

Kunal: Sure. Excuse me.

Kunal is searching for pen drive. Just then twinkle entered Kunal’s cabin.

Twinkle: Bhai! Kya dhondh rahe ho? Pen drive? Yeh raha.

Kunal: Thank you twinkle.

Kunal gave the briefing of the designs and quotes to Kunj

Kunj: Ok. Mr.Taneja. mail the details. My team will go through them and get back to you.

Kunal: Thank you Mr. Taneja.

After meeting

Twinkle: Kya hua bhai?

Kunal: Yeh deal bahot important hai twinkle. Bas deal pakka hojaaye

Twinkle: Hojaayega bhayya. Designs bahot ache hai. Aap dekhna. Hum sab log milke koshish karenge. Aap muzhe bhool gaye kya.

Kunal: Par tum to fashion designer hona

Twinkle: Fashion designer ho to kya. Aap bhool gaye mera elective architecture hai jisme meine ek project bhi kiya tha. Apni taraf se mein bhi is project keliye contribute karungi aur apni 100% dungi.

Kunal: Agar teri help chahiye to mein jaroor bataunga. Yeh batao tune us se mila?

Twinkle: Ji bhai.Unko meine apni faisla batayi. Bas unki taraf se ha hojaaye.

Kunal: Tu fikar mat kar. Tuzhse nahi to aur kis se impress hoga.

Twinkle: Hm. Aapke tabiyat kaisa hai?

Kunal: Thodisi weakness hai. Par sham tak theek hojaaunga.

Twinkle: Ek kaam karo aap ghar jaake rest karlo.

Kunal: Hmm. Tu bhi chalna.

Twinkle: Nahi bhai. Mein aur chinki bahar jaa rahe hai. Mein sham tak aajaungi.

Kunal: Theek hai. Apna kyaal rakhna. Bye.

Twinkle: Aap bhi. Bye.

Twinkle and chinki @ Hauz khas market.

Twinkle: Acha yeh batao. Vo bhi aa raha hai.

Chinki: Oh. Ankit? Ha. Usko bhi meine bulaaya. Hum teeno bachpan se ache dost hai. PHir bhi aaj muzhe us se baat karne keliye bahot dar lag raha hai.

Twinkle: Jab pyaar karte ho, darna mat. Agar dar rahi ho iska matlab, tu us se pyar nahi kar rahi.

Chinki: Aisa nahi hai twinkle. Mein apni pyaar izhaar karne ke baad agar vo mana kardiya tho…

Twinkle: Toh. Hum dost hai. Dost hi rahenge.

Chinki: Bolna aasan hai. Jab kisi dost se pyaar karogi tab pata chalega.

Twinkle: Tu dar mat. Mein hoon na. Aaj kuch bhi karke teri  mann ki baat us se batade.

Ankit (Ankit mohan): Hai twinkle. Hello chinki.

Chinki smiles ar ankit with slight blush.

Twinkle murmers with chinki: Aaj us se bata de. Agar kuch hogya to mein samhal lungi. All the best.

Twinkle: hai ankit. Kya hua. Thoda late hogya.

Ankit: nahi yaar. Kaam mein phas gaya. Theek hai apni adde pe chale.

Twinkle: Chalo.

Coastarica café

Ankit: Kya loge.

Twinkle: Wahi same. Aur is baar mein leke aati hu. Tum dono baat kare.

Twinkle murmers with chinki: Mein order lene jaa rahi hu. Der mar kar. Bata de.

Chinki smiles.

Twinkle watches them form bar counter.

Chinki: Ankit. Mein bahot dino se tumhe kuch bolna chahti hu.

Ankit: Mein bhi

Chinki: pehle tum bolo.

Ankit: nahi tumne shuru kiya. Tum bolo. Ladies first.

Chinki: Theek hai. Par promise karo uski wajah se hamare dosti par koyi asar nahi panda chahiye.

Ankit: I promise.

Chinki: Ankit woh.. woh.. Hum dono bachpan se ache friends hai. Yeh baat aisa bolna sahi hai ki nahi muzhe nahi pata. Phir bhi bata rahi hu. Ankit! Pata nahi itna dinoki hamaari dost mein pata nahi kab tumhaare liye feel karne lagi hu. Agar tum kisi se flirt karte ho to bahot gussa aata hai. Agar tum muzhe ignore karte to bahot dukh hota hai. Agar tum do din keliye dikhte nahi to tumhe miss karne lagti hu. I think I am in love with you.

Ankit: Mein kabhi nahi socha tha ki tum aisa baat karogi.

Chinki: I am sorry muzhe aisa baat nahi karna chahiye. Par kal hi ghar mein meri shaadi ki baat ho raha tha to meine socha ki

Ankit: Acha. Theek hai. Toh mein tumhaare ghar kab aau?

Chinki: Kya?

Ankit: Are ristha lekar.

Chinki: Muzhe samazh nahi aara

Twinkle came to both of them: Are budhu tuzhe samzh nahi aara. Woh to tum se shaadi karna chaahta hai.

Ankit: ha Chinki mein bhi yeh baat bahot dino se tumhe bolna chahta hoon. Par ab pooch raha hu. Miss chinki sharma! Will you marry me?

Chinki cried out of joy and accepted Ankit’s proposal.

Twinkle: Oy! Rona dhona baad mein. Mein abhi se bata rahi hu tumhaari roke se leke reception tak sabka dresses mein hi design karungi.

Ankit: Shaant ho ja meri maa. Pehle humane ghar emin batayenge. Phir nay eh sab.

Twinkle: Muzhe pata hai sab log maan jaayenge. Tum log tension mat lo. Waise bhi humaare families bhi bahot close hai. Aur tum dono ek dusre keliye perfect ho.

Ankit: Aur madam aapki baat kya hai.

Twinkle: mereliye shaadi waadi baad mein. Pehle muzhe apne boutique kholni hai. Uske baad hi shaadi.

Sarna mansion

Usha: Aagaye tum. Thake huye lag rahe ho. Fresh hoke aaja. Dinner lagadungi.

Kunj and usha at dinner table

Usha: beta tumne us se baat kiya. Kya boli woh.

Kunj: Maa muzhe lagta hai, us se apne career ke baare mein sochna chahiye. Uske baad hi shaadi ka maamla aayega.

Usha: Woh kya soch rahi hai?

Kunj: Usne muzhe bataya to tha. Mein ne us se koyi jawab nahi diya. Pehle usko apni career mein settle hone de.

Screen freezes at the faces of Kunj and twinkle.

Share
Published by