Fan Fiction

“Door desh se aaya hai mera shehzada” Shot 2

Shot 2.

Fiza jaldi se packing karne main masroof hogayii… aj us ki khushi ka koi thikana nahii thaa… aj us ka barson purana sapna poora hone ja raha tha… wo sapna jo us ne bachpan main apne aba aur dada se kahaaniyan sun’te hue dekha tha… khoobsoorat sapna… ab wo waqt aagya tha.. ke wo us ka sapna haqiqat main badal jaye… who boht boht khush thii boht boht zada khush….

Fiza.. Ami hum yeh kapre daal rahen hain bag main yeh theek rahnge na?? woh kapron ko khud pe rakh ke ami se pooch rahii thii… bade hi dilchasp andaaz main…

Shaista: haan jii mere bachii yeh theek rahenge ap rakh len.

Phir jaise use kuch yaad aaya ho… wo thora sa muh bana kar bolii..

Fiza: Umm amii yeh sleevless hain aur kiya wahn pe sleevless chalty hain?? Humara matlab hum ne kabhi Ayesha ko sleevless pehnty nhai dekha na..

Amii: toh fiza beta ap koi aur dresses choose karlen na… waise bhi itne saarii dresses padi hain ap ki… jis ko ap ek dafa pehn’ne k baad dekhtii bhi nahii…. Un main koi len jaayen.,..

Fiza ko apni ami kii baat pasand aayi… waise fiza ko ek baar pehna hua kapra dobara pehn’na axha nahii lagta tha.. par iss baar pata nahii fiza ko amii ki baat pe ghusa nahii balke pyar aaya tha… yeh shayad issiliye tha kiyun ke fiza ka mood boht khushgawar tha… par fiza ko is bat gor kar rahii thii… wo jhat se almari kii tarff gayii aur apne saare ache ache kapre select karne lagii..

*****

Sham ko fiza kii packing hogayii thii… wo boht khush nazer aa rahii thii.. Us se milne us kii kuch friends aayin huii thii.. yeh log fiza ke kamre main chil out kar rahii thii…

Asma jo ke fiza kii kaafi achii dost thii… wo ab use apni trip ke bare main poosch rahii thii… wo yeh jan’ne main dilchaspii le rahi thii.. ke uss k abu jaan ne use Pakistan jaane kii ijaazat kaise de dii… kiya wo jan’te nahii Pakistan ko kis nazer se dekha jaata hai??..

Asma: Fiza uncle ne tumen permission kaise de dii yaar… kaise tum ne unhen manaya??
Fiza ne gardan mod kar use dekha jo apne bed pe sheet theek kar rahii thii…. aur phir muskradii..

Asma ko achamba hua..

Asma: Fiza chalo yaar bata bhi do.

Fiza ab us ke paas akar baith gayii thii.. toh sun…. wo us kii tarf hi dekh rahii thii….

Fiza: Hum logon ne jaise apne dimag main Pakistan kii image banayii hui hai… Pakistan waisa nahii hai… yeh humara dil kehta hai… aur iss baat ki tasdeeq karn ke liye main wahn jaana chahti hun,… humra dil kehta hai… wahn zaroor kuch na kuch toh badlega humarii zindagii main… kiya?? yeh hum nahii jan’te but yes I really want to go there… aur yeh baat tum log boht ache se jan’tii ho.. k Fiza apne dil kii baat ko kabhii unsuna nahii kartii… humra joh dill kehta hai hum wo karte hain… Toh abujaan ko man’na hi tha… wo ab garden uthaye sab kii tarff ungalii ka ishara kiye badi sii muskrahat liye dekhe ja rahii thii..

Kiya waqyi wo nahii jan’tii thii.

Priya: Acha toh fiza madam ap ka dil yeh nahi raha ke wahn shayad kisi ko ap ka intezaar ho?? Priya fiza kii college friend thii aksar in ka ek dusre ke ghar aana jaana rehta tha.. aur ab Priyu fiza ko ched rahii thii.

Fiza: acha jii bachun ap ko kiya lagta hai?? Us ne ulta priyu se sawal kiya.

Priyu ka chehra dekhne muqabil tha.. fiza halki sii mukradii tab jaake priyu ko bhi thorii rahat mili…

Priyu: bol na fiza… agr wahn pe koi tera shehzada mil gaya toh??

Fiza: hum nahii jan’te… uss ne zara se kandhe achkadiye.

Ander se use yeh sawal boht ajeeb laga tha.. kiya waqyi aisa hosakta tha?? Wo samjh nahi paayi… hosaka hai k koi us ka bhi intezaar kar raha ho… hosakta hai us ke liye bhi us ka shahzada bana ho kahin dur desh… par wo in sab batun se anjaam apne hi dhun main jiye ja rahii thii… mohbat use karnii aati thii lekin samjh nahii aatii thii… woh na kabhi kisi relationship main rahii thii… aur nahii us ka dil kabhi kisi kiye dhadka tha… toh aj iss sawal ne kiyun use ajeeb mahsoos karaya tha… kiya ab uss ki zindagii main mohbat ke aane ka waqt ho gya tha… kehte hain har cheez ka apna aik waqt muqrar hota hai… shayad us ki zinadgii main bhi mohbat dastak dene walii thii.. na jaane kiyun log aksar yeh bhul jaate hain.. mohbat koi jaan bujh kar karta nahii hai woh toh aik khalis ehsaas hai… ek khalis ehsaas.. jo mehsus hota hai… kisi ko dekhne se kisi k paas aane….

*****
Aglii subah sab us ko airport pe chhodne gaye the… kiyun k subah us kii flight thii… abu ke gale se gardan modi toh amii ne geeli ankhon se apnii betii ko gale laga liya….

Fiza: Amii ap itna senti kiyun horahii hain… hum wapis ajyenge… hum konsa humesha keliye ja rahen hain… wo ab hug broke karte hue keh rahii thii…

Amii kii ankhon main halke se ansoo ubhar aaye the.. jisse dekh kar us ne muh banaya… amii ne musrkara kar apnii shehzaadi ka maatha chuma… aur dher saarii duaon ke saath betii ko rukhsat kiya… wo ab haath se bye boltii huii plan main ja baithii thii…

Abu ab amii ke kandho pe haath rakhe ghar wapis chalne ka ishara kar rehe the… lekin Maa abhi bhi apnii betii ko dekhna chahtii thii…

Flight ab jaa chukii thii…. Wo 2 ghantoo ka safer tha… India se Pakistan ka safer. Wo khirkii se bahir humrah chalte badlon ka manzer dekhe ja rahii thii.. Safer dekhte dekhte kab pursukoon guzer gaya use maloom hi nahii pada..

Flight karachii Jinnah International airport pe landing kar rahii thii… us ka dil zor se dhadhkne laga tha… yeh kiya horaha tha..usse..nahii … pata …. Thaa…bas zor se dhadak raha tha..


Wo airport se bahir aayi sab kuch boht same same hi lag raha thaa. Jaise India aur Pakistan … us ne boht hairan hoke har tarff dekha kahin wo wapis india main hii toh nahii thii…. Kiya farq tha?? Yeh sawal us ke ander yeh zahir hue the … india aur pakitan kii sarzameen par … koi waqt wo bhi tha jab yeh zameen bhi India kii dhartii kehlaati thii.. yeh border jis ne us zameen ke tukre kar diye the… warna khushboo toh aj bhii us zameen ki waisii hii thii… dil choo lene walii apnii mehk.

Wo abhii apnii soch se bahir niklii hii thii k Ayesha ne use door se pukar liya… wo apnii soch se bahir aayii aur us ke labon pe ek toyal muskraht ayyaan huii…

Wo bhagii huii us ke paas aayii… wo donon gale lagii zor se…

Ayesha: toh akhir tum aa hii gayii madam.

Fiza ne kandhe achkadiye. (Shrug)

Fiza: chalen??

Ayesha: kahn madam rukiye toh zara abhi unehn toh aane deeje…

Wo hairaan huii… koi aur bhi aane wala tha…. Par kaun?? Kiyun?? Kaise yeh itefaaq kiyun hua tha??… who sochne lagii.. ..

Ayesha: Haan
Uss kii haan ne usse sawlon ka silsila khatam karne par majboor kar diya tha..

Fiza: kaun?? Us ne hairat zada hoke poocha.

Ayesha: Mera cousin. He is coming from America… toh Ami ne kaha uss ko lete aana…. Bs un kii flight land hone walii hai.

Fiza: Axha??

Ayesha: Yeah.


Precap: Ehteshaam and fiza faceoff..


Regards

Anosha(Anee)

Anee

Lovely daughter of Mummy and Papa (parents)!!! Crazy fan of "Vikram sakhalkar" and "Harshad Chopra" ❤❤ ❤ Loves reading,writing and painting.

Share
Published by