Fan Fiction

“Door Desh Se Aaya Hai Mera Shehzaada” Shot 3

Shot 3.

Wo abhi kuch soch rahii k Ayesha ne bade excited hokar kaha..

Ayesha: You know What Fiza….

Fiza us kii tarff mutwaja hogayii.. What?? Us ne apnii ek eyebrows upper kii.

Ayesha samjh gayii k wo us kii bat sun’nne main interested hai…. Pehle wo us ka andaz dekh kar muskrayii phir jaise apnii khushii par qabu na paate hue keh diya.. tum jan’tii ho Shami bhaii poore 5 saal bad Pakistan aarhen hain….

Wo chonkii… zahir hai is baat se us ka kiya lena dena wo kiun koi expression detii… itnii bhi pagal nahii thi wo…. aur na hi use kisi ladke ki baat sun’ne koi dilchaspii… phir bhi Ayesha ka dil na dukhe yehii soch kar… k us kii dost ko na mehsoos ho k …fiza ko us kii khushii ka koi khalyal hii nahii hai… kahin wo galat na samjh le issi liye.. use sar hilana pada… kehte hain kisi kii khushii kii vajeh ban’ne se bada koi sawab nahii hota… ager ap kii ek harkat kisi ko jayaz khushii dede toh yeh ap kii 100 nekiyun k baraber hota hai… so ager us ne bhi us kii khushii main shamil hone ke liye garden hilayii toh kiya farq padta….

Fiza muskradii… aur poochne lagii.. Acha??

Ayesha: haan… Shamii bhai na boht serious qism k insaan hai… bachhpan main hum sab un se bohat darty the… halanke woh hum se umer main sirf 3 saal hii bade hain… par bade toh hain na… aur bachpan se hii bhai boht strict rahen hain..

Fiza: tum uhen Shami bhai kiyun kehtii ho… un ka poora naam kiya hai??… woh khud hairaan reh gayii… akhir usse khud nahii samjh aarha tha k us ne yeh sawal kiyun kiya?? Akhir kiyun?? Usse uss kii baat sun’ne main qatayin dilchaspii na thii phir yeh sawal kiyun us ne poocha… wo hairan reh gayii..

Kiyun k un ka naam Ehteshaam hai aur sab un ko ghar main pyar se shamii bulaate hain… us ne Laparwaahii se kandhe achkadiye yeh keh kar.

Fiza: Ohh!! Acha. Phir wo chup hogayii.

Ayesha apnii kalayii pe bandhiii gharii ko dekhey ja rahii thii bar bar.. us ka ek paon bar bar zameen se uthta aur neeche par raha tha… jaise aksar hum kisi ke intezar main idhar udhar dekhty hue apne paon ko harkat main laaty hain… Ayesha bhii ussii haalat main thii…

Fiza aap paas ke manazir dekh rahii thii… us ne bhii apnii kalayii pe bandhii branded wrist watch dekhii.. Time taqreeban 10: 24 minute hue the… us kii flight 10 baj kar 5 minute par land huii thii ab jo k Airport pe unn shehzaade sahib ka intezaar karte karte 10 baj kar 24 minute hogaye the.. usse thorii sii khafgii dar aayii… yuh ke usse intezaar karna aur karana shadeed na pasand tha.. usse un ajnabii insaan ke liye Pakistan main aate hii intezaar karna pada tha… waise kehty hain lakdiyan zyada intezaar karwatii hain mager yahaan toh us ko in janab ne 19 minute intezaar karwa tha… aur aage kitna intezaar baqii tha usse maloom na tha.

Bas woh idher udhar dekh kar time ke guzerne ka intezaar kar rahii thii. Tabhii us kii nazar sark kinaare pe chal rahii ek zayeef khatoon pe pad gayii… wo aurat budhii thii issi liye road cross karne se qasir thii … aur road cross karne main dekat ka shikaar horahii thii… iss se dekha na gaya wo khud ko us kii madad ko jaane se rok na payii… wo Aysha ko bagair bataye bhaagtii huii us aurat ke qareeb aa ponchii… woh aurat ka haath thaame gariun ko haath se rukne ka ishara kartii huii agge ko chalne lagii… jab us ne us mayeumer (old age) aurat ko us kii manzil tak pochaya toh woh aurat usse khoob duayen dene lagii…

Aruat: Khudawand tumen humesha khush aur salamat rakhe..

Wo muskradii aur kehne lagii… Amen

Tab uss budhii aurat ne kaha SumaAmen.

Ye keh kar wo agge chalii tab fiza kii nazer uss ke bags ke paas khare saksh pe padii.. wo saksh uss kii tarf peeth kiye khara tha.. usse samjh nahii aya woh kon hai yeh aur un ke bags ke pas kiya kar raha hai… phir uss ne us saksh ke aas paas nazar dorayii toh Ayesha bhi kahin nazar nahii aa rahii thii.. wo dhere se qadam uthate hue us saksh ke qareeb ja rukii… us ne 2 second socha phir us ke kandhe pe haath se 2 dafa thapthapaya..

Wo saksh phone pe baat kar raha tha.. us kii tap karne se wo peeche murta hua phone pe kuch iss tarah keh ke “I’ll talk to you later” phone band karne apne coat kii jeb main dal diya…

Ab pehne hue kale chashme ko utar kar sanjeedgii se poochne laga… “Yes”

Wo us ke chehre ko dekhkar besakhta reh gayii … wo boht handsome tha.. itna handsome ladka shayd hi us ne kabhi kahin dekha tha.. par wo tha.. woh neeli rang kii shirt pe black coat main malboos tha.. us ke chehre pe ek ajeeb sa noor tha… aisa jo kisi sache insaaf insaan kii peshaniun pe hota hai…

Par who un ladkiun main se nahii thii jo kisi handsome ladke ko dekhte hii us pe fida hojaye yaa us k ishq main girftaar hojaye… use khud pe kabu paana aata tha.. wo khud ko kisi kii tarf attract hone se rok saktii thii..aur wo is waqt bhii yahii karna chahtii thii.. wo us kii tarf attract nahii hona chahtii thii.. kabhii bhii nahii… aur uss se toh kabhii bhii nahii jis ne usse Pakistan main aaty hii 30 minute khumkhuan ka khuwar karwaya itnii tezz garmii main intezaar karwaya..

“Yes” uss ne dobara yeh word dohraya.

Us ne hawas wapis pa liye.. aur ab wo khud ko control kartii huii.. us ke samne sar uthaye poochhne lagii… heyy Mister who are you?? And what are you doing here??

Excuse me.. Bye the way who are you to asking this question from me?? Us ne sakhat lehje main poocha.

Wo jaise us kii jurat pe bharkii thii.. “Oh Acha so mera hi sawal mujh se??”

Ohh no, no not like that.. I’m just asking you…

I can understand everything…

Really?? What you understand?? Us ne ek eyebrows uthayii.

Yehii ke this is the game of boys like you.. You know na who is came from outside the country and then usesy loot lo.

Ek besakhta hassi rawaan huii us k Labon pe.. wo garden ko hilate hue.. hass raha tha… waise wo boht sakht mizaaj ka tha.. lekin is ladkii kii baat pe usse hassi aayii thii.

Us kii hasii ne mazeed us ka para high kar diya… Excuse me.. iss main hasne walii kiya baat hai… kiya hum ne koi joke mara hai. Wo jaise chilayii thii..

Wo usse dekh kar chup hogaya.. wo ghusse se laal hote hue dikhayii dii thii.. wo jaise serious hogya.. itne main.. Ayesha bhii wahaan unke paas ponch gayii..

Ayesha ko Fiza ka tapta hua chehra dikhayii diya wo jaise chonk gayii.. heyy Fiza what happen yaarr.. ghusse main naak kiyun tamatar jaisii laal kii huii hai tum ne.. haan jan’tii hun tamatar mehenge hain thore par tumahrii naak se kaam chalega behen.

Wo thora sa muskraya fiza ne Ayesha ko dekha.

Aur See tum dono mill bhii gaye.. main toh awain preshaan horahii thii..

Kiya?? You know him?? Fiza shocked

Ayesha: Haan yaarr… he is my cousin Dr. Ehteshaam Ali.

Wo hairat se Ehteshaam ko dekhne lagii.

Ehteshaam Aise hi us ke samne khara usse hi dekh raha tha.. lekin boht dischasp andaaz main.

Aur Shamii Bhai ap inn se mil hi liye hain merii friend Fiza Saeed from India.

Interesting… woh muskraate hue bola tha… so nice to meet you Miss Saeed… us ne haath badhte hue keh tha.

Wo sirf Muskradii lekin fake…

Uss ne bhi gardan jhatakte hue haath wapis le liya…. Yeh ladkii.. kehta hua aage chala gaya..

Peeche woh dono chal dii un ka luggage driver ne car kii diki main rakh liya tha.

Ab wo dono jaakar car main baith gayinn …Ehteshaam front kii nishist pe baitha to wo dono peeche kii seats par.

Aise in ka airport se ghar tak ka safer shuru hogaya..

Fiza ne Ayesha se us ke uss jaga se chale jaane ka poocha… k wo kahaan gayii thii nazar nahii aarahii thii… aur yeh ajeeb insaan (joh k usse laga tha) kab aaya??

Ayesha ne detail car main bethe bethe batadii k jab woh uss mayeumer khatoon kii madad karne ke liye thii us ayan waqt pe woh bahir aaya tha.. aur wo apne car driver ko parking lot se car laane liye kehne ko ko gayii thii uss kii call nahii mil rahii thii. Tab usse wahaan jana pada aur wo un ka intezaar kar raha tha.. yeh bata kar wo chup hogayii…

Tab fiza soch main padh gayii… khirkii se bahir dekhte hue… yeh intezaar bhi kitna ajeeb hota hai na… par yeh bhii sach hai k intezaar ke baad milne wala phal bhii toh meetha kehlaata hai…

Pehle Ayesha ne Fiza ka intezaar kiya… fiza kii soorat Ayesha ko meetha phal mila… phir dono ne Ehteshaam ka intezaar kiya…Wo aaya toh Ayesha aur us ko meetha phal mila…. phir Ehteshaam ne Ayesha ka intezaar kiya… jab wo car leke aayii toh un ko meetha phal mila… ab yeh teenun ghar jaane ka intezaar kar rahe the… aur ghar ponch ke unhen meetha phal milega… yahii hotii hai intezaar kahaaniii… kabhi kabhii toh intezaar khud boht intezaar karwata hai… yeh baat us ne jaan lee thii.. aage zindagii usse aur kitnii baaten sikhaane walii thii usse toh ilim hii nahii tha.

To be contined….

Anee

Lovely daughter of Mummy and Papa (parents)!!! Crazy fan of "Vikram sakhalkar" and "Harshad Chopra" ❤❤ ❤ Loves reading,writing and painting.

Share
Published by