Fan Fiction

Devakshi FF – My Love, My Strength (Chapter 6)

Hello guys.
Here I present you the next chapter.
But before stating, I want to make it clear.
I m getting a very less response which is very discouraging?
If in this chapter, I dont get good response…. Then I will discontinue this FF

Chapter 6

NEXT MORNING
Sona was soundly sleeping. Elena comes to her room. Firstly she opened the curtains and called out Sona’s name to wake her up. But she didn’t. Then she shake her shoulder and say “Sona! Meri Kumbhkaran, uth jaa ab to. Poora din soti rahegi kya? It’s already 11:45 am.
On hearing this, Sona quickly opened her eyes & sat on the bed.
Sona : “What? 11:45? Main itni der tak so rahi thi.

Elena : “Raat ko tera mood off tha na, to owl bani thi.
Which made Sona recollects the events of last day. This made her sad.

Sona (with a sad smile) : “Haan yaar! Kal raat neend hi nahi aa rahi thi. Bas usi baare mein soche jaa rahi thi.

Elena : “Pehle tu mujhe yeh bata, kal hua kya tha?

Sona : “Elena! Chod na, mujhe us baare mein na to sochna hai, aur na hi koi baat karni hai.

Elena : “Lekin mujhe sunana hai. Tu bol. Aise hi dard ko apne andar chupaane ki purani aadat hai teri. Kisise na to is baare mein baat karegi, lekin khud sochkar apne aap to dard deti rahegi. I know how important that bracelet was for you.

Sona : “I Love You yaar! Agar tu nahi hoti, to mera kya hota.

Elena : “Agar main nahi hoti, to tera kuch nahi hota. Tu bas duniya ke saamne badi strong bani ghoomti hai, andar se to ekdum bacchi hai. Chotti chotti baton ko dil pe laga leti hai.
I just wish ki teri life mein jo bhi aaye, wo tujhe samjhe, teri is masumiyat ko samjhe, aur tujhe is duniya ki saari khushiyaan de.

Sona : “Tujhse zada acche se mujhe or koi samajh nahi sakta.

Elena : “jese tu mujhe kuch kam samajhti hai.
And then they hugged each other.

Elena : “Ye kuch zada hi emotional ho gaya na. mujhe to apni bidaai wali feeling aa rahi hai. (Said jokingly)

Sona : “tu kabhi nahi sudhregi.

Elena : “Sona! Tu mujhe main topic se mat bhatka. Mujhe wo baat bata.
Then Sona narrated the whole incident to her.

Elena : “Wo insaan theek to hai na. aise kaise wo tera bracelet faink sakta hai. Ek baar mujhe mile to sahi, use accha maza chakhungi.

Sona : “Chod usko. Hume kya lena dena ussey. Jo hogya, ab uske baare mein baat karke koi faayda nahi.
Elena knows how important that bracelet was for Sona and how hurt she is after losing that. So to cheer her up, she thought of something.
Elena : “Mere dimag mein bohot hi accha stress relieving idea hai.

Sona : “Kya?

Elena : “Shopping.

Sona : “Great. Chal chalte hain.

Elena : “Aise hi chalegi?

Sona : “Oh! Haan. Ruk, main abhi ready hoke aati hun.
In the next 20 minutes, Sona got ready wearing a beautiful red top & jeans. And then, the girls left for mall.

AT MALL
Girls were shopping.
Dev had also came to that mall for meeting. His gaze fell on Sona. He remembered his mother’s words.
*FLASHBACK*
Last night, when Dev was thinking about how to makeup for his mistake. His mother came to his room.
Ishwari : “Dev! Tu pareshaan lag raha hai beta. Kya baat hai? Khaane ke waqt bhi tera dhyaan kaheen aur hi tha.

Dev : “Maa! Aaj mujhse bahut badi galati ho gayi. Ab mujhe samajh nahi aa raha main kya karun?

Ishwari : “Kya hua?

Dev : “Maa! Aaj maine jo bracelet fainka tha na, wo us ladki ki maa ka tha. Wo uski maa ki aakhiri nishani thi uske paas.

Ishwari : “Dev! Ye to tune bahut hi galat kiya. Us bechari ko kitna dukh hua hoga.

Dev : “Maa! Jaanta hun main. Mujhse kitni badi galati ho gayi.

Ishwari : “Tune ussey maafi maangi?

Dev : “Maafi to maangi, lekin maa main usko bohot hurt kiya hai.

Ishwari : “Wo to hai hi. Lekin tujhse jo bhi ban pade apni galati ko sudharne ke liye, wo karna.

Dev : “Mujhe to yeh tak nahi pata ki ussey kabhi milunga bhi, yaa..

Ishwari : “Ye sab tu kismat pe chod de. Agar kismat mein tujhse use dard dena likha tha, to usey door karna bhi zaroor hoga. Tu intezaar karna, wo tujhe mil jaaegi.

*FLASHBACK ENDS*

Dev’s lips curved into a smile when he saw Sona. He thought to himself “Maa! Sahi kaha tha tune… Hamari kismat mein milna likha tha.
Then he went towards Sona.
Dev : “Hi
But Sona ignored him.
Elena : “Sona! Ye kon hai? Tu ise jaanti hai?

Sona : “Yahi hai.. wo Mr. Rude.
Elena lost her temper when she heard so. She was already very angry because of what Dev did.

Elena : “Kuch zada hi himmat hai tumhari. Pehle isko itna hurt kiya, aur ab aake hi bol rahe ho.

Dev : “Aap galat samajh rahi hain, main to bas…

Elena : “Tum jo bhi karne aaye the, chup chaap yahaan se chale jaao.

Sona : “Elena!please Chod na.

Elena : “Sona! Tu chup kar. Main acche se jaanti hun, aise ladkon ko kaise handle karte hain

Dev : “Dekhiye, meri baat to suniye.

Elena : “Hume tumse koi baat nahi karni. Chal Sona.

Dev ( looking towards Sona) : “Please, mujhe ek mauka deejiye.
But Elena hold Sona’s hand & took Sona with her. Sona was constantly looking towards Dev.
She wanted to hear, what he has to say. She herself don’t know the reason why she wanted so. But she saw something in his eyes, that made her feel so. The truthfulness, guilt was clearly visible in his eyes.

When they reached the parking area.
Sona : “Oh! No. Ele maine dad ke liye kuch khareeda tha, lekin waheen reh gaya. Tu bas yaheen ruk, main abhi aai.

Elena : “Main bhi chalti hun tere saath.

Sona : “Tu yaheen ruk, main aati hun.
Saying so she ran inside the mall. She saw Dev standing at the same place where he was when they left. He was looking very sad.

Sona came towards him.
Sona : “Excuse me.
Hearing Sona’s voice, a smile came on Dev’s face. He looked towards her.

Dev : “I know, aap mujhse bohot gussa hain. Aapko mujhe jitni daant lagani hai, laga lena. Waise aapki friend ne bhi bohot lagai hai, aap bhi laga lena. Main bilkul bhi gussa nahi kaunga. I promise. Bas pehle jo mujhe kehna hai, wo kehne deejiye.
He takes out bracelet from his pocket and forwarded towards Sona.
Dev : “Aap yeh mat sochna ki ye main koi naya khareed ke laya hun. Yeh wahi hai, aapki maa ki nishani.
Which made Sona very very happy. She happily took that bracelet.

Sona : “Thank you so much. Lekin apne to ise faink diya tha na.

Dev : ” haan, faink diya tha. Lekin ise doondha bhi to jaa sakta hai. To bas dhoondh liya.

Sona : “Really? Aapne isko dhoondha. I can’t believe this.

Dev : “Why can’t you believe? Main itna bhi emotionless insaan nahi hoon. Main jaanta hun kitna dard hota hai, jab aapki sabse pyaari cheez aapse cheen jaati hai. I’m really very Sorry. Pata nahi mujhe kya ho gaya tha. Actually mere ghar wale na meri shadi ke peeche kab se pade hain. To bas jab unhone meri gaadi mein aapka bracelet dekh, to unko laga meri girlfriend ka hai.

Sona was laughing very hard.
Dev : “Kya hua?

Sona : “Aapko itna bolte hue dekhke surprised hoon. Mujhe to laga tha aap bolne pe ban lagaoge, lekin aap bhi non stop bol sakte ho.
To which Dev also smiled.

***********************************

PRECAP
Devakshi Friendship

Share
Published by