Fan Fiction

Devakshi FF – My Love, My Strength (Chapter 5)

So sorry for being late

Chapter 5

The whole scenario was witnessed by Sonakshi who was standing at a few distance away from Dev & she was looking quite impressive as well as shocked on seeing Dev’s behaviour with that boy.
Sonakshi(to herself) : “Ye kya dekha maine! Ye Mr. Rude kisise pyar se baat kar sakta hai…. Infact ye kisise baat bhi kar sakta hai. Mujhe to laga tha….ye bolne pe ban lagaega.
Main to soch rahi thi ki ye humesha mute & angry mode mein hi hota hai….lekin aaj bhagwaan ne meri ye galat fehmi finally door kar di.
Yeh itna bhi bura insaan nahi hai.
Chalo aaj iska ek aur rang dekhne ko mila, jo pehle wale se kaafi accha hai.”

Dev turned back & saw Sonakshi standing in front of her who was busy in talking to herself.
Dev(to himself) : “kyun har baar isse takraa jaata hun.”

Dev(to Sonakshi) : “Aap mera peecha kar rahi hain kya? Har baar mujhe pareshaan karne ke liye mere peeche aa jaati hain.”

Sona : “Aapki problem kya hai? Aur main aapka peecha kyun karungi, mujhe koi shaunk nahi hai apna mood kharaab karne ka. Isliye aap apni is galat fehmi ko door keejiye Mr.”

Dev : “Mujhe bhi koi shaunk nahi hai aapse baat karne ka.”

Sona : “To main konsa aapko bol rahi hun ki…..please mujhse baat keejiye. Main aapse baat kiye bina nahi reh sakti. Huh…”

Dev : “To khadi kyun hain? Jaaiye na…”

Sona : “Jaa hi rahi hun.”
and she goes from there.

In a few minutes, Ishwari & her daughters came out.
Dev : “Aap logon ne itni der kyun laga di?”

Ishwari : “Aaj bheed hi itni hai….to itna samay lagega hi.”

Dev : “Accha! Ab wo sab chod. Jis kaam ke liye aaye the, wo karen..”

Ishwari : “Haan! Chalo”

After distributing blankets among the poor…
Dev : “Chalo, ab main tum logon ko ghar chod aata hun.”

Neha : “Bhai aap rehne do. Aapko meeting ke liye isi raaste se to jaana hai. Agar aap hume chodne ghar aaoge…..to aapko to double raasta pad jaaega.”

Ishwari : “Haan Dev, tu jaa. Hum log chale jaaenge. Hum ghar se doosri gaadi mangwa lete hain.”

Dev : “Abhi meri meeting mein time hai. Isliye main tum logon ko ghar chodne jaa raha hun. Is that clear to you?”

Nikki : “Bhaiya ki zid ke aage kisi aur ki chali hai kya!”

Ishwari : “Accha bhai! Tu maanane walon mein se to hai hi nahi. Chal fir…”

And they sat down in car.
Ishwari found a bracelet under the front passenger seat. She took the bracelet in her hand & shows to Dev.
Ishwari : “Dev! Ye kiska hai?”

Nikki : “Bhaiya ki girlfriend ka hi hoga.”

Ria : “Naam kya hai bhaiya unka?”

Dev : “Apna dimag faltoo mein mat chalao. Aisa kuch nahi hai.”

Neha : “To kaisa hai bhai?”
Dev’s sisters started teasing him.
Ishwari Also joined them.

Ishwari : “Dev! Tujhe kitni baar bola hai ki usey hum logon se bhi mila. Main bhi to milun apni bahu se.”

Neha, Ria, Nikki : “Hume bhi to milna hai apni bhabhi se.”

Dev remembered the day when he gave lift to Sona. He was boiling with anger. He wanted to teach Sona a lesson…bcoz of her, his family got a chance to tease her.

Dev : “Ye usi ladki ka hoga jisko maine kuch din pehle lift di thi. Aur kuch nahi hai….”

He took bracelet from Ishwari’s hand & throw it out.

Neha : “lekin aapne isko faink kyun diya? Agar wo ladki mil jaati aapko, to aap usko wapis de dete.”

Nikki : “Exactly bhaiya! Kitna beautiful bracelet tha.”

Dev : “Kya pata wo mujhe milegi yaa nahi, to main aise hi kisi ki cheez rakh ke kya karun. Isliye faink diya.”

Neha : “Lo ghar bhi aa gaya in sab baaton mein.”

Dev : “tum log jaao. Main bhi apni meeting ke liye chalta hun.”

When Dev was passing by same temple, he saw Sona coming out.
He was so much angry on her because of that bracelet fiasco. So he stopped his car and came out. He went to Sona.

Sona : “Excuse me! Aap fir se aa gaye. Maine bola na mujhe aapse koi baat nahi karni….fir kyun”

Dev : “Wahi to main tumse poochna chahta hun. Tumne jaan boojhkar apna bracelet meri gaadi mein choda tha na.”

Sona : “To wo bracelet aapki gaadi mein choot gaya tha.” (Happily)

*Flashback*

The same day when Dev & Sona met for first time.
In evening.
Sona was crying. Shekhar came to her.

Shekhar : “Kya hua mere bacche ko? Aise kyun ro rahe ho?”

Sona : “Dad! Wo jo mom ka bracelet tha na. Wo mujhse kaheen gum ho gaya. Maine sab jagah check kiya, pata nahi kahaan chala gaya.”

Shekhar : “Oh! To ye baat hai. Koi baat nahi beta. Agar wo bracelet nahi hai ab tumhare paas. Tumhari mom ka pyar to humesha tumhare sath hi hai na.”

Sona : “Dad! Wo mere paas mom ki aakhiri nishani thi. Jab bhi main usko pahanti thi, mujhe aisa lagta tha ki mom mere saath hain. Lekin pata nahi apni carelessness ki wajah se maine use kahaan gum kar diya.”

*Flashback ends*

Sona : “ Thank you so much. Aapko pata bhi nahi ki wo bracelet mere liye kitna keemti hai.
Please deejiye na….”

Dev : “Maine to usko faink diya.”

Sona : “What?”

Dev : “Actually wo bracelet meri maa ko mila. Aur usko dekh kar meri maa aur behne sochne lagi ki ye meri girlfriend ka hai…”

Sona : “Accha! Wo aapko tease kar rahe honge. Aur aapne usko faink diya.
Bina soche ki wo kisike liye kitna important hai.”
Sona had tears in her eyes.

Dev : “Please aap roiye mat. Main bilkul waisa hi bracelet aapke liye laa dunga.”
Dev was feeling guilty for what he did.

Sona : “kya aap us bracelet se judi meri yaaden bhi laa denge mujhe…”

Dev was confused.

Sona : “Nahi samajh aa raha. Main batati hun…. wo mere liye sirf ek bracelet nahi tha. Meri mom ki mere paas aakhiri nishani thi. Kya laa paayenge aap meri mom ki yaadon ko.”

Dev : “I’m really sorry. Pata nahi us samay mujhe kya ho gaya tha.”

Sona went from there.

Dev could not concentrate on his meeting. He was busy thinking about Sona. Becoz of him, Sona lost her bracelet.

At night

Sona had tears in her eyes. She was looking at her mom’s photograph.
Sona : “I’m Sorry mom. Main aapki aakhiri nishani ko sambhaal nahi paayi.”

Elena called her.
Elena : “Sona! Aaj poora din kidhar gayab thi tu. Na aaj mujhse mili….aur na hi koi call kiya. Is everything alright?

Sona : “Haan Elena! Sab theek hai.”

Elena : “Sona! Tu ro rahi hai?”

Sona : “Main kyun roungi?”

Elena : “Madam tu mujhse jhooth nahi bol sakti, samjhi na. Main tujhe bohot acche se jaanti hun. Ab ye bata kya hua? Kyun ro rahi hai?”

Sona : “Wo jo mom ka bracelet mujhse gum hua tha…..wo usi ki gaadi mein reh gaya tha jisne us din mujhe lift di thi.”

Elena : “Ab mil gaya bracelet, to ro kyun rahi hai?”

Sona : “Mila hi to nahi na. Us badtmeez , sadu aadmi ne usko kaheen faink diya.”

Elena : “Lekin kyun?”

Sona : “Chod na. Kya baat karni us baare mein. Accha ab main phone rakhti hun. Kal milenge.”

On the other side, Dev also seems disturbed.
Dev : “Mujhse bohot badi galati hui hai. Maine usko kitna hurt kiya hai. Mujhe kuch to karna hi padega…”

********************************

That’s it for today.
& Again i m really sorry for the delay.
Next time zada wait nahi karwaungi….

Share
Published by