Fan Fiction

Devakshi FF – My Love, My Strength (Chapter 3)

Thank you guys for your support.
But the number of comments on chapter 2 are less as compared to 1st one.
It’s so discouraging??

Please give your reviews…. And encourage me.

Here I present the 3rd chapter

Dev on his way to office. He saw a girl standing on deserted road asking for lift.
That girl is Sona.

Dev stops near her. Sona came to him.
Sona : “Hello. Please help me. Actually meri gaadi kharaab ho gayi hai. Yahaan koi taxi or auto bhi nahi hai. Aur na hi yahaan network hai… main kisi ko help ke liye bhi nahi bula paa rahi hoon. So please… it’s a request. Please help me…
Arey! Aap kuch bol kyun nahi rahe ho. Kya aap gunge (dumb) ho? Oh! I m really sorry. Accha aap mujhe ishaaron se hi bata deejiye. Main samajh jaungi. Aap kuch bolne ki koshish to keejiye.

Dev (totally frustrated) : “Are you mad?

Sona : “Oh! To aap gunge (dumb) nahi ho. To bol kyun nahi rahe the?

Dev : “Will you please shut your mouth. Pehli baat, main gunga (dumb) nahi hooon… bol sakta hoon. Aur doosri baat, jab aap continuously bole jaa rahi hain… Mujhe to kuch bolne ka mauka hi nahi de rahi. To main kaise bolun. (in a frustrated tone).

Sona : “Ab main kuch bolun?

Dev : “Ab bolne ke liye kuch reh aya hai.

Sona : “Kuch kaha aapne?

Dev : “Main kahaan kuch bolunga. Boliye aap.

Sona : “Aa gaya mujhe samajh ki aap bol sakte hain. And so sorry, maine aapko bolne ka mauka hi nahi diya.
Please mujhe lift de deejiye. Mujhe meri friend se milne jana tha, wo bahut der se mera wait kar rahi hai.

Dev : “Ok… jaldi chaliye! Mujhe bhi meeting ke liye jaana hai.

Then both of them sat inside car.

In the car:
Sona : “Thank you so much! Agar aap mujhe lift nahi dete, to pata nahi mujhe aur kitni der wait karna padta.

Dev : “Aap humesha hi aise chatter box banke ghoomti ho?

Sona : “Excuse me! What you mean?

Dev : “Kabhi chup to ho jaya keejiye. Aapki non-stop bak bak ne mere sar mein dard (headache) laga di hai.

Sona : “Mr. Rude kaheen ke. Huh… Fine nahi karti aapse baat. Mujhe bhi aapse baat karne ka koi shaunk nahi hai. Main to bas aapko thank you bol rahi thi. Aapko to ismein bhi problem hai.

Dev : “Fir shuru ho gayi.

Sona : “Main kahaan kuch bol rahi hun. Aap aise hi mujhe badnaam mat keejiye.

At that time, Dev’s condition was worth watching.

After 10 minutes journey… they reached the restraunt.

Sona : “Bas! Yaheen utaar deejiye. & thank you so much.

Dev dropped her there & zoomed off his car towards his office as he was not in mood to listen her bak bak.

Sona : “Kya ajeeb aadmi hai ye! Ye to bolne par bhi ban lagayega.
Engrossed in all these thoughts, Sona walk inside the restraunt. She not even noticed Elena, who was waving her hand.

Elena come towards Sona.
Elena : “Hua kya hai tujhe? Tabeeyat to theek hai?

Sona : “Arey! Yaar elena, kya bataun tujhe! Ek ladka…
And Elena cutoff her sentence.

Elena : “Ooo…To ye ladke ka chakkar hai. Tabhi main sochun… tujhe hua kya hai. Ab teri bimari acche se samajh aa gayi… (giggling)

Sona (in angry tone) : “Ab tu apni bakwaas band rakh. Apne dimag ke ghodon ko zara shaant kar le. Aisa kuch nahin hai. Wo to aaj ek rude ladke se mili… Poora ka poora mood kharab kar diya usne.

Elena : “Hua kya? Ye to bata. Badtameezi ki kya usne tujhse?

Sona : “Agar aisa kuch karta, fir to usko accha sabak sikhati.

Elena : “To fir bata na, aakhir baat kya hai?

Sona : “Pata hai… kya bola usne, keh raha tha ki aap aise chatter box banke ghoomti ho kya… Aur to aur ye bhi bol raha tha ki mere bolne se uske sar mein dard (headace) ho raha hai…

Elena was ROFLING hearing all this.
Which makes Sona more angry.

Sona : “Tujhe to bas hansna hi aata hai. Maine koi joke nahi sunaya.

Elena : “To ye joke se kam tha kya!

Sona : “Please Elena! Ab mujhe is baare mein baat nahi karni.
Actually us Mr. Rude ke baare mein baat karna to door ki baat hai, main to sochna tak nahi chaahti…
Waise bhi hum log yahaan time spend karne aaye the, uske baare mein discuss karke time waste karne nahi.

Elena : “OK Mam! As you wish.

DEV’S OFFICE

On seeing Dev frustrated, his secretary Tina asked

Tina : “Sir, are you alright? I mean sab theek to hai na? Kuch problem hai to, you can discuss with me.

Dev : “Nahin! Nahin! Tina, aisi koi baat nahi hai. Wo bas subah aate samay ek pagal ladki se mila… bas usi ne saare mood ka satyanash kar diya.

Tina (to herself) : “Sir aur… ladki. Ye kya majra hai!

When Dev didn’t get any response from Tina.
Dev : “Tina! Tum kahaan kho gayi?

Tina : “Wo… kuch nahi Sir, bas us ladki ke baare mein soch rahi thi.

Dev : “Chodo us ladki ko. Abhi aadhe ghante mein hamari meeting hai. Sab ready hai na?

Tina : “Yes Sir! Everything set.

Then Dev got busy with his work & Sona with Elena.

Please do comment.

Share
Published by