Activity

WHO ALL LOVE THIS BEAUTIFUL SONG

O jaana
Khoya khoya rehta hai
Dil tadap ye kehta hai
Tu hai mere jeene ki wajah
O jaana..

Ishq hai aansu ishq hai naghma
Ishq (See more) sukoon hai raahat hai
Ishq hai sehra ishq hai dariya
Ishq junoon hai zahmat hai (x2)

Tanha adhoora sa
Khaamosh lamha sa
Tehra hua hai dil yahaan
Mehsoos kar le tu
Jazbaat ki khushbu
Khud se karun kya mai bayaan

Dard hai jo halka sa
Khaab khaab chalka sa
Tu muskuraaye har jagah
O jaana..

Khoya khoya rehta hai
Dil tadap ye kehta hai
Tu hai mere jeene ki wajah
O jaana..

Kis pe karun zaahir
Hain dard kya aakhir
Kyon sukoon mujh se khafa
Betaab lamhon mein
Benaam aashqon mein
Yeh aaks kis ka ban gaya
Ghum ko aazmaane de
Dil ko chot khaane de
Kya h chale kuch to pata

O jaana
Khoya khoya rehta hai
Dil tadap ye kehta hai
Tu hai mere jeene ki wajah
O jaana.. O jaana o jaana..
Please sign up or sign in to like or comment on this post.
Yes No